la ek khum-e-sharab ki mausam kharab hai
la ik khum-e-sharab ki mausam kharab hai kar koi inqalab ki mausam kharab hai zulfon ko be-khudi ki rida men lapet de saaqi pae-shabab ki mausam kharab hai jam-o-subu ke hosh thikane nahin rahe mutrib utha rubab ki mausam kharab hai ghhunchon ko e'tibar-e-tulu-e-chaman nahin rukh se ulat naqab ki mausam kharab hai ai jaan! koi tabassum-e-rangin ki vardat phika hai mahtab ki mausam kharab hai la ek khum-e-sharab ki mausam kharab hai kar koi inqalab ki mausam kharab hai zulfon ko be-khudi ki rida mein lapet de saqi pae-shabab ki mausam kharab hai jam-o-subu ke hosh thikane nahin rahe mutrib utha rubab ki mausam kharab hai ghunchon ko e'tibar-e-tulu-e-chaman nahin rukh se ulat naqab ki mausam kharab hai ai jaan! koi tabassum-e-rangin ki wardat phika hai mahtab ki mausam kharab hai