tumhaare shahr ka mausam bada suhana lage main ek sham chura lun agar bura na lage
Poetry Collection
Mausam
Weather is one of the stock themes of poetry. But weather is more than the condition of a season. Poetry represents these aspects with reference to human beings and their destiny. As such, weather is both a friend and an enemy depending on what condition we are in. Some examples of this complex condition may be seen in these verses.
Total
19
Sher
13
Ghazal
6
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
la ek khum-e-sharab ki mausam kharab hai
la ik khum-e-sharab ki mausam kharab hai kar koi inqalab ki mausam kharab hai zulfon ko be-khudi ki rida men lapet de saaqi pae-shabab ki mausam kharab hai jam-o-subu ke hosh thikane nahin rahe mutrib utha rubab ki mausam kharab hai ghhunchon ko e'tibar-e-tulu-e-chaman nahin rukh se ulat naqab ki mausam kharab hai ai jaan! koi tabassum-e-rangin ki vardat phika hai mahtab ki mausam kharab hai la ek khum-e-sharab ki mausam kharab hai kar koi inqalab ki mausam kharab hai zulfon ko be-khudi ki rida mein lapet de saqi pae-shabab ki mausam kharab hai jam-o-subu ke hosh thikane nahin rahe mutrib utha rubab ki mausam kharab hai ghunchon ko e'tibar-e-tulu-e-chaman nahin rukh se ulat naqab ki mausam kharab hai ai jaan! koi tabassum-e-rangin ki wardat phika hai mahtab ki mausam kharab hai
kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota
kisi ke chhut jaane ka use kyon ghham nahin hota tira dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhare shahr men lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mire ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon men tujhe khone ka phir ham ko zara bhi ghham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar vo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota

jo un masum aankhon ne diye the wo dhoke aaj tak main kha raha hun the couplet plays on the contrast between outward innocence and inner trickery. the beloved’s “ma’soom” eyes become a metaphor for charming appearances that mislead. the speaker’s pain is not momentary; it has stretched into a lasting wound. emotionally, it is a confession of love mixed with regret and enduring hurt.
dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha
warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam
varna kya ab-o-hava chiiz hai kaisa mausam tere aane se hua shahr men achchha mausam ye mah-o-mehr izafi hain tire sar ki qasam vaqt batlati hain ankhen tiri chehra mausam dhuup men chhanv kahin mauj men tufan kahin jaisa ai dost tira muud hai vaisa mausam rang-o-bu rakhte hain sab phuul phal apni apni chashm-o-abru se alag ariz-o-lab ka mausam is qadar husn achanak mira dil tod na de ek to pyara hai tu is pe ye pyara mausam na vaba ke koi din raat na tanhai ke saal tere aate hi badal jaata hai saara mausam warna kya aab-o-hawa chiz hai kaisa mausam tere aane se hua shahr mein achchha mausam ye mah-o-mehr izafi hain tere sar ki qasam waqt batlati hain aankhen teri chehra mausam dhup mein chhanw kahin mauj mein tufan kahin jaisa ai dost tera mud hai waisa mausam rang-o-bu rakhte hain sab phul phal apni apni chashm-o-abru se alag aariz-o-lab ka mausam is qadar husn achanak mera dil tod na de ek to pyara hai tu is pe ye pyara mausam na waba ke koi din raat na tanhai ke sal tere aate hi badal jata hai sara mausam
sardi mein din sard mila har mausam bedard mila
jab mere liye koi bhi sazish na rahegi
jab mere liye koi bhi sazish na rahegi aise main to jiine ki bhi khvahish na rahegi main kaghhazi kapdon men nikal aunga lekin mujh pe kisi mausam ki navazish na rahegi vo chahe to banjar ko bhi phulon se navaze vo rutha to savan men bhi barish na rahegi jab mere liye koi bhi sazish na rahegi aise main to jine ki bhi khwahish na rahegi main kaghazi kapdon mein nikal aaunga lekin mujh pe kisi mausam ki nawazish na rahegi wo chahe to banjar ko bhi phulon se nawaze wo rutha to sawan mein bhi barish na rahegi
baithe baithe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
bikharte rabton ka hai bichhadte raston ka hai
bikharte rabton ka hai bichhadte raston ka hai december naam hai jis ka mahina hadson ka hai kahin hai aas ka badal kahin yadon ki bunden hain machalti khvahishon ka hai ye mausam barishon ka hai vahi mai-kash havaen hain vahi gum-sum fazaen hain miri pur-amn duniya men ye mausam sazishon ka hai purane 'arize saare umad aae hain ankhon men ye mausam hai sarabon ka ye mausam vasvason ka hai vahi sab rat-jage 'abrak' vahi tere gile 'abrak' ki us ke baa'd bhi har pal usi ki vahshaton ka hai bikharte rabton ka hai bichhadte raston ka hai december nam hai jis ka mahina hadson ka hai kahin hai aas ka baadal kahin yaadon ki bunden hain machalti khwahishon ka hai ye mausam barishon ka hai wahi mai-kash hawaen hain wahi gum-sum fazaen hain meri pur-amn duniya mein ye mausam sazishon ka hai purane 'arize sare umad aae hain aankhon mein ye mausam hai sarabon ka ye mausam waswason ka hai wahi sab rat-jage 'abrak' wahi tere gile 'abrak' ki us ke ba'd bhi har pal usi ki wahshaton ka hai
jaisa mud ho waisa manzar hota hai mausam to insan ke andar hota hai
garmiyon ki baad-e-sar-sar dil jalane aa gai
garmiyon ki bad-e-sar-sar dil jalane aa gai shab hui to yaad phir mujh ko rulane aa gai main tahayya kar ke baitha tha ki duniya chhod duun koi koyal 'ain us mauqa' pe gaane aa gai yaar to khud aa na paaya itna us ne kar diya yaar ki tasvir hi mujh ko manane aa gai ham samajh baithe haqiqat is jahan-e-rang ko maut phir is khvab-e-ghhaflat se jagane aa gai 'kaif' jab tuute hue the ham to vo aati na thi khud hui jab ghham-zada to muskurane aa gai garmiyon ki baad-e-sar-sar dil jalane aa gai shab hui to yaad phir mujh ko rulane aa gai main tahayya kar ke baitha tha ki duniya chhod dun koi koyal 'ain us mauqa' pe gane aa gai yar to khud aa na paya itna us ne kar diya yar ki taswir hi mujh ko manane aa gai hum samajh baithe haqiqat is jahan-e-rang ko maut phir is khwab-e-ghaflat se jagane aa gai 'kaif' jab tute hue the hum to wo aati na thi khud hui jab gham-zada to muskurane aa gai
bahut se gham december mein december ke nahin the use bhi june ka gham tha magar roya december mein
bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi jhukti aankhon ne bataya mai-kashi kya chiz hai
mere pas se uth kar wo us ka jaana sari kaifiyyat hai guzarte mausam si
aati jati hai ja-ba-ja badli saqiya jald aa hawa badli
wo log mere bahut pyar karne wale the guzar gae hain jo mausam guzarne wale the
ab ki rut mein jab dharti ko barkha ki mahkar mile mere badan ki mitti ko bhi rangon mein nahla dena
mausam ne khet-khet ugai hai fasl-e-zard sarson ke khet hain ke jo pile nahin rahe
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Mausam FAQs
Mausam collection me kya milega?
Mausam se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.