Poetry Collection

musalsal Gazals

Ghazals are known for the variety of topics they explore in a single poem. Every couplet is independent. But some ghazals have been written in a way every sher adds to the meaning of one preceeding it. Such ghazals are known as musalsal ghazal. Here are a few selected musalsal ghazals for you to read and enjoy.

Total

6

Sher

1

Ghazal

5

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr men kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-halon se so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghhaf so ham bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baton se phuul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghhazal si ankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai shaam ko saae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan men mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men palang zaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phuul apni qabaen katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ik nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-ravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tavaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o divar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubalghhe hi sahi agar vo khvab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr men thahren ki kuuch kar jaaen 'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr mein kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ek nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-rawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tawaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi agar wo khwab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr mein thahren ki kuch kar jaen 'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain

GhazalRead Full

wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho

وہ جو ہم میں تم میں قرار تھا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو وہی یعنی وعدہ نباہ کا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو وہ جو لطف مجھ پہ تھے بیشتر وہ کرم کہ تھا مرے حال پر مجھے سب ہے یاد ذرا ذرا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو وہ نئے گلے وہ شکایتیں وہ مزے مزے کی حکایتیں وہ ہر ایک بات پہ روٹھنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو کبھی بیٹھے سب میں جو روبرو تو اشارتوں ہی سے گفتگو وہ بیان شوق کا برملا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو ہوئے اتفاق سے گر بہم تو وفا جتانے کو دم بہ دم گلۂ ملامت اقربا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو کوئی بات ایسی اگر ہوئی کہ تمہارے جی کو بری لگی تو بیاں سے پہلے ہی بھولنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو کبھی ہم میں تم میں بھی چاہ تھی کبھی ہم سے تم سے بھی راہ تھی کبھی ہم بھی تم بھی تھے آشنا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو سنو ذکر ہے کئی سال کا کہ کیا اک آپ نے وعدہ تھا سو نباہنے کا تو ذکر کیا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو کہا میں نے بات وہ کوٹھے کی مرے دل سے صاف اتر گئی تو کہا کہ جانے مری بلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو وہ بگڑنا وصل کی رات کا وہ نہ ماننا کسی بات کا وہ نہیں نہیں کی ہر آن ادا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو جسے آپ گنتے تھے آشنا جسے آپ کہتے تھے با وفا میں وہی ہوں مومنؔ مبتلا تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

GhazalRead Full

tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai

tum gul the ham nikhar abhi kal ki baat hai ham se thi sab bahar abhi kal ki baat hai begana samjho ghhair kaho ajnabi kaho apnon men tha shumar abhi kal ki baat hai aaj apne paas se hamen rakhte ho duur duur ham bin na tha qarar abhi kal ki baat hai itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba daman tha taar taar abhi kal ki baat hai aaj is qadar ghhurur ye andaz ye mizaj phirte the 'mir' khvar abhi kal ki baat hai anjan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat kal ki hai baat yaar abhi kal ki baat hai tum gul the hum nikhaar abhi kal ki baat hai hum se thi sab bahaar abhi kal ki baat hai begana samjho ghair kaho ajnabi kaho apnon mein tha shumar abhi kal ki baat hai aaj apne pas se hamein rakhte ho dur dur hum bin na tha qarar abhi kal ki baat hai itra rahe ho aaj pahan kar nai qaba daman tha tar tar abhi kal ki baat hai aaj is qadar ghurur ye andaz ye mizaj phirte the 'mir' khwar abhi kal ki baat hai anjaan ban ke puchhte ho hai ye kab ki baat kal ki hai baat yar abhi kal ki baat hai

GhazalRead Full

agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti

agar bazm-e-hasti men aurat na hoti khayalon ki rangin jannat na hoti sitaron ke dilkash fasane na hote baharon ki nazuk haqiqat na hoti jabinon pe nur-e-masarrat na khilta nigahon men shan-e-muravvat na hoti ghataon ki aamad ko savan taraste fazaon men bahki baghhavat na hoti faqiron ko irfan-e-hasti na milta ata zahidon ko ibadat na hoti musafir sada manzilon par bhatakte safinon ko sahil ki qurbat na hoti har ik phuul ka rang phika sa rahta nasim-e-baharan men nikhat na hoti khudai ka insaf khamosh rahta suna hai kisi ki shafaat na hoti agar bazm-e-hasti mein aurat na hoti khayalon ki rangin jannat na hoti sitaron ke dilkash fasane na hote bahaaron ki nazuk haqiqat na hoti jabinon pe nur-e-masarrat na khilta nigahon mein shan-e-murawwat na hoti ghataon ki aamad ko sawan taraste fazaon mein bahki baghawat na hoti faqiron ko irfan-e-hasti na milta ata zahidon ko ibaadat na hoti musafir sada manzilon par bhatakte safinon ko sahil ki qurbat na hoti har ek phul ka rang phika sa rahta nasim-e-bahaaran mein nikhat na hoti khudai ka insaf khamosh rahta suna hai kisi ki shafaat na hoti

You have reached the end.

Explore Similar Collections

musalsal Gazals FAQs

musalsal Gazals collection me kya milega?

musalsal Gazals se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.