ab wo galiyan wo makan yaad nahin
ab vo galiyan vo makan yaad nahin kaun rahta tha kahan yaad nahin jalva-e-husn-e-azal the vo dayar jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin koi ujla sa bhala sa ghar tha kis ko dekha tha vahan yaad nahin yaad hai zina-e-pechan us ka dar-o-divar-e-makan yaad nahin yaad hai zamzama-e-saz-e-bahar shor-e-avaz-e-khizan yaad nahin ab wo galiyan wo makan yaad nahin kaun rahta tha kahan yaad nahin jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin koi ujla sa bhala sa ghar tha kis ko dekha tha wahan yaad nahin yaad hai zina-e-pechan us ka dar-o-diwar-e-makan yaad nahin yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar shor-e-awaz-e-khizan yaad nahin