kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta tu chhod raha hai to khata is men tiri kya har shakhs mira saath nibha bhi nahin sakta pyase rahe jaate hain zamane ke savalat kis ke liye zinda huun bata bhi nahin sakta ghar dhund rahe hain mira raton ke pujari main huun ki charaghhon ko bujha bhi nahin sakta vaise to ik aansu hi baha kar mujhe le jaae aise koi tufan hila bhi nahin sakta kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta tu chhod raha hai to khata is mein teri kya har shakhs mera sath nibha bhi nahin sakta pyase rahe jate hain zamane ke sawalat kis ke liye zinda hun bata bhi nahin sakta ghar dhund rahe hain mera raaton ke pujari main hun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae aise koi tufan hila bhi nahin sakta