kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta
tu chhod raha hai to khata is men tiri kya
har shakhs mira saath nibha bhi nahin sakta
pyase rahe jaate hain zamane ke savalat
kis ke liye zinda huun bata bhi nahin sakta
ghar dhund rahe hain mira raton ke pujari
main huun ki charaghhon ko bujha bhi nahin sakta
vaise to ik aansu hi baha kar mujhe le jaae
aise koi tufan hila bhi nahin sakta
kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta
tu chhod raha hai to khata is mein teri kya
har shakhs mera sath nibha bhi nahin sakta
pyase rahe jate hain zamane ke sawalat
kis ke liye zinda hun bata bhi nahin sakta
ghar dhund rahe hain mera raaton ke pujari
main hun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta
waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae
aise koi tufan hila bhi nahin sakta
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
main to dariya hun samundar mein utar jaunga
girte hain samundar mein bade shauq se dariya
lekin kisi dariya mein samundar nahin girta
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
ghar sajane ka tasavvur to bahut baad ka hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise
laakh talvaren badhi aati hon gardan ki taraf
sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise
qahqaha aankh ka bartao badal deta hai
hansne vaale tujhe aansu nazar aaen kaise
phuul se rang juda hona koi khel nahin
apni mitti ko kahin chhod ke jaaen kaise
koi apni hi nazar se to hamen dekhega
ek qatre ko samundar nazar aaen kaise
jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'vasim'
us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
ghar sajaane ka tasawwur to bahut baad ka hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise
lakh talwaren badhi aati hon gardan ki taraf
sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise
qahqaha aankh ka bartao badal deta hai
hansne wale tujhe aansu nazar aaen kaise
phul se rang juda hona koi khel nahin
apni mitti ko kahin chhod ke jaen kaise
koi apni hi nazar se to hamein dekhega
ek qatre ko samundar nazar aaen kaise
jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'wasim'
us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise
unhen thahre samundar ne duboya
jinhen tufan ka andaza bahut tha
main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
main tire sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hava
tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hava
tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar
tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hava
gaah shorida-sar gaah khamosh-tar tujh men poshida hain raaz sab basta-sar
tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hava
tu baharon ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghhubar-e-safar
tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hava
vusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar
tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hava
main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa
tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar
tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa
gah shorida-sar gah khamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar
tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa
tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghubar-e-safar
tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa
wusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar
tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa
nazron se napta hai samundar ki wusaten
sahil pe ek shakhs akela khada hua
tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa
tu miri ibtida tu miri intiha main samundar huun tu sahilon ki hava
teri manzil bane mera har rasta main samundar huun tu sahilon ki hava
roz-o-shab mauj-dar-mauj huun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta huun sar
haath aata nahin phir bhi daman tira main samundar huun tu sahilon ki hava
meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab
kuchh nahin ik tiri aarzu ke siva main samundar huun tu sahilon ki hava
tu hi manzil miri tu hi had hai miri tujh se vabastagi nam-zad hai miri
tu na ho gar to main khud men kho jaunga main samundar huun tu sahilon ki hava
khushbuon se tiri ye mahakta safar yuun hi jaari rahega mire auj par
tu masafat miri main tira rasta main samundar huun tu sahilon ki hava
tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa
teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa
roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta hun sar
hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa
meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab
kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa
tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri
tu na ho gar to main khud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa
khushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par
tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa
dost ahbab se lene na sahaare jaana
dil jo ghabrae samundar ke kinare jaana
sitare chup hain ki naghma-sara samundar hai
sitare chup hain ki naghhma-sara samundar hai
shab-e-khamosh ke dil ki sada samundar hai
sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho
ki rud-bar ke aage khula samundar hai
vo dekhta hai mire iztirab ko hans kar
main tez-rau huun vo thahra hua samundar hai
mah-o-nujum dikhate hain aaina us ko
falak ke samne chehra-numa samundar hai
mita chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab
hava saron men hai aur zer-e-pa samundar hai
nazar men surat-e-sahil abhi nahin aai
mire safar ka har ik marhala samundar hai
sitare chup hain ki naghma-sara samundar hai
shab-e-khamosh ke dil ki sada samundar hai
sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho
ki rud-bar ke aage khula samundar hai
wo dekhta hai mere iztirab ko hans kar
main tez-rau hun wo thahra hua samundar hai
mah-o-nujum dikhate hain aaina us ko
falak ke samne chehra-numa samundar hai
mita chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab
hawa saron mein hai aur zer-e-pa samundar hai
nazar mein surat-e-sahil abhi nahin aai
mere safar ka har ek marhala samundar hai
chhed kar jaise guzar jati hai doshiza hawa
der se khamosh hai gahra samundar aur main
hote hain wahi ilm ke darje mein samundar
hote hain vahi 'ilm ke darje men samundar
aata hai samona jinhen kuuze men samundar
ik roz padhane se mu'allim nahin bante
banta hai samundar bhi to 'arse men samundar
pyase ko bhi lazzat ki padi hai ye sitam hai
ab kya kare batlaiye aise men samundar
ab chhin ke bhi khush nahin talab vo ham se
qismat se hamen mil gaya badle men samundar
mushkil men bhi kuchh ho to vo bad-hal lagega
abad hai jis ke bhi mohalle men samundar
jab nikle tamanna liye ham ek nadi ki
phir rukte nahin dekh ke raste men samundar
paani ke bhi shohrat ke taqaze hain juda sab
mithe men nadi nahr hain khare men samundar
'gauhar' ki mohabbat men koi duub na jaae
rahta hai isi baat ke khadshe men samundar
hote hain wahi 'ilm ke darje mein samundar
aata hai samona jinhen kuze mein samundar
ek roz padhane se mu'allim nahin bante
banta hai samundar bhi to 'arse mein samundar
pyase ko bhi lazzat ki padi hai ye sitam hai
ab kya kare batlaiye aise mein samundar
ab chhin ke bhi khush nahin talab wo hum se
qismat se hamein mil gaya badle mein samundar
mushkil mein bhi kuchh ho to wo bad-haal lagega
aabaad hai jis ke bhi mohalle mein samundar
jab nikle tamanna liye hum ek nadi ki
phir rukte nahin dekh ke raste mein samundar
pani ke bhi shohrat ke taqaze hain juda sab
mithe mein nadi nahr hain khaare mein samundar
'gauhar' ki mohabbat mein koi dub na jae
rahta hai isi baat ke khadshe mein samundar
band ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai
chamak raha hai khema-e-raushan dur sitare sa
dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein
kati hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghao ye dariya ko rasta de kar
rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par
sahra-e-be-karan ko samundar likhenge hum
samundar ada-fahm tha ruk gaya
ki hum panw pani pe dharne ko the
ye mere dil ki hawas dasht-e-be-karan jaisi
wo teri aankh ke tewar samundaron wale
aap sagar hain to sairab karen pyase ko
aap baadal hain to mujh dasht pe saya kijiye
main ghar basa ke samundar ke bich soya tha
utha to aag ki lapton mein tha makan mera
apne lahu se pyas bujhani hai ta-hayat
ab raste mein koi samundar na aaega
~ Anwar Ansari
kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki
samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut
ai fana tut sakegi na kabhi kashti-e-umr
main kisi aur samundar mein utar jaunga
nakhuda hai maut jo dam hai so hai baad-e-murad
azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yar ka
You have reached the end.