aap hi apne zara jaur-o-sitam ko dekhen ham agar arz karenge to shikayat hogi
Top 20 Sher Series
Shayari of Wazir Ali Saba Lakhnavi
Shayari of Wazir Ali Saba Lakhnavi ek clean reading flow me, writer aur full-detail links ke saath.
Total
20
Sher
20
Featured Picks
Series se pehle kuch standout sher padhein.
dil men ik dard utha ankhon men aansu bhar aae baithe baithe hamen kya janiye kya yaad aaya
baat bhi aap ke aage na zaban se nikli lijiye aae the ham soch ke kya kya dil men
kahte hain mere dost mira haal dekh kar dushman ko bhi khuda na kare mubtala-e-ishq
aadam se baghh-e-khuld chhuta ham se ku-e-yar vo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj
tiri talash men mah ki tarah main phirta huun kahan tu raat ko ai aftab rahta hai
mere baghhal men rah ke mujhi ko kiya zalil nafrat si ho gai dil-e-khana-kharab se
kaleja kanpta hai dekh kar is sard-mehri ko tumhare ghar men kya aae ki ham kashmir men aae
kaaba banaiye ki kalisa banaiye dil sa makan havale kiya hai janab ke
hua dhuup men bhi na kam husn-e-yar kanhayya bana vo jo sanvla gaya
sakin-e-dair huun ik but ka huun banda ba-khuda khud vo kafir hain jo kahte hain musalman mujh ko
kaabe ki samt sajda kiya dil ko chhod kar to kis taraf tha dhyan hamara kidhar gaya
ulfat-e-kucha-e-janan ne kiya khana-kharab barhaman dair se kaabe se musalman nikla
khud-raftagi hai chashm-e-haqiqat jo va hui darvaza khul gaya to main ghar se nikal gaya

You have reached the end.
Explore Similar Collections
Shayari of Wazir Ali Saba Lakhnavi FAQs
Wazir Ali Saba Lakhnavi Top 20 me kya milega?
Wazir Ali Saba Lakhnavi ke selected sher readable cards, internal detail links, aur writer discovery ke saath milenge.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.