ghazalKuch Alfaaz

aaina kyun na doon ki tamasha kahein jise aisa kahaan se laaun ki tujh sa kahein jise hasrat ne la rakha tiri bazm-e-khyaal men gul-dasta-e-nigaah suwaida kahein jise phoonka hai kis ne gosh-e-mohabbat men ai KHuda afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise sar par hujoom-e-dard-e-ghareebi se daa li.e vo ek musht-e-khaak ki sehra kahein jise hai chashm-e-tar men hasrat-e-deedaar se nihaan shauq-e-inan gushekhta dariyaa kahein jise darkaar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko subh-e-bahaar pumbaa-e-meena kahein jise ghalib bura na maan jo wa'iz bura kahe aisa bhi koi hai ki sab achha kahein jise ya rab ha men to KHvaab men bhi mat dikhaaiyo ye mahshar-e-khayaal ki duniya kahein jise hai intizaar se sharar aabaad rustakhez mizgaan-e-koh-kan rag-e-khaara kahein jise kis fursat-e-visaal pe hai gul ko andaleeb zakhm-e-firaq khanda-e-be-ja kahein jise

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main

Umair Najmi

55 likes

mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai

Ahmad Abdullah

50 likes

More from Mirza Ghalib

hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

manzoor thii ye shakl tajalli ko noor ki qismat khulii tire qad-o-rukh se zuhoor ki ik khoon-chakaan kafan men karodon banaao hain paaadti hai aankh tere shaheedon pae hoor ki wa'iz na tum paiyo na kisi ko paila sako kya baat hai tumhaari sharaab-e-tahoor ki ladta hai mujh se hashr men qaateel ki kyun utha goya abhii sooni nahin awaaz soor ki aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj udti si ik khabar hai zabaani tuyoor ki go waan nahin pa waan ke nikale hue to hain ka'be se in buton ko bhi nisbat hai door ki kya farz hai ki sab ko mile ek sa javaab aao na ham bhi sair karen koh-e-toor ki garmi sahi kalaam men lekin na is qadar ki jis se baat us ne shikaayat zaroor ki ghalib gar is safar men mujhe saath le chalen haj ka savaab nazr karunga huzoor ki

Mirza Ghalib

0 likes

kab vo sunta hai kahaanii meri aur phir vo bhi zabaani meri khalish-e-ghamzaa-e-khun-rez na pooch dekh khoonaaba-fishaani meri kya bayaañ kar ke miraa roenge yaar magar aashufta-bayaani meri hooñ z-khud raftaa-e-baida-e-khyaal bhool jaana hai nishaani meri mutqaabil hai muqaabil miraa ruk gaya dekh ravaani meri qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hooñ sakht arzaan hai giraani meri gard-baad-e-rah-e-betaabi hooñ sarsar-e-shauq hai baani meri dehan us ka jo na maaloom hua khul gaii hech madaani meri kar diya zof ne aajiz ghalib nang-e-peeri hai jawaani meri

Mirza Ghalib

0 likes

zikr meraa b-badi bhi use manzoor nahin gair ki baat bigad jaa.e to kuchh door nahin vaada-e-sair-e-gulistaan hai khusa taale-e-shauq muzda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par ha men manzoor nahin qatra apna bhi haqeeqat men hai dariyaa lekin ham ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin hasrat ai zauq-e-kharaabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki goon tan-e-ranjur nahin main jo kahtaa hooñ ki ham lenge qayamat men tumhein kis ra'unat se vo kahte hain ki ham hoor nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaaful men kisi rang se ma'zoor nahin saaf durdi-kash-e-paimaana-e-jam hain ham log waaye vo baada ki afshurda-e-angoor nahin hooñ zuhoori ke muqaabil men khifaai ghalib mere daave pe ye hujjat hai ki mashhoor nahin

Mirza Ghalib

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.