ghazalKuch Alfaaz

'aashiq the shahar men jo purane sharaab ke hain un ke dil men vasvase ab ehtisaab ke vo jo tumhaare haath se aa kar nikal gaya ham bhi qatil hain usii khaana-kharaab ke phoolon ki sej par zaraa aaraam kya kiyaus gul-badan pe naqsh uth aa.e gulaab ke soye to dil men ek jahaan jaagne laga jaage to apni aankh men jaale the KHvaab ke bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhen dariyaa ravaan-davaan hain chamakte saraab ke kis tarah jama keejie ab apne aap ko kaaghaz bikhar rahe hain puraani kitaab ke

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Adil Mansuri

zameen chhod kar main kidhar jaaunga andheron ke andar utar jaaunga mirii pattiyaan saari sookhi hui naye mausamon men bikhar jaaunga agar aa gaya aaina saamne to apne hi chehre se dar jaaunga vo ik aankh jo mirii apni bhi haina aayi nazar to kidhar jaaunga vo ik shaKHs awaaz dega agar main khaali sadak par thehar jaaunga palat kar na paaya kisi ko agar to apni hi aahat se dar jaaunga tiri zaat men saans li hai sadaa tujhe chhod kar main kidhar jaaunga

Adil Mansuri

4 likes

chehre pe chamchamaati hui dhoop mar gaii suraj ko dhalta dekh ke phir shaam dar gaii mabahoot se khade rahe sab bas ki line men koolhe uchaalti hui bijli guzar gaii suraj vahii tha dhoop vahii shahar bhi vahii kya cheez thii jo jism ke andar tithir gaii KHvaahish sukhaane rakkhi thii kothe pe dopahar ab shaam ho chali miyaan dekho kidhar gaii tahleel ho gaii hai hawa men udaasiyaan khaali jagah jo rah gaii tanhaaii bhar gaii chehre baghair niklaa tha us ke makaan se rusvaaiyon ki had se bhi aage khabar gaii rangon ki surkh naaf daakhilya gul-aftaab andhi hawaaein khaar khatk kaan bhar gaii

Adil Mansuri

0 likes

chaaron taraf se maut ne ghera hai zeest ko aur us ke saath hukm ki ab zindagi karo baahar gali men shor hai barsaat ka suno kun dii laga ke aaj to ghar men pade raho chhod aa.e kis ki chat pe jawaan-saal chaand ko KHaamosh kis li.e ho sitaaro javaab do kyun chalte chalte ruk ga.e veeraan raasto tanhaa hooñ aaj main zaraa ghar tak to saath do jis ne bhi mud ke dekha vo patthar ka ho gaya nazrein jhuk aa.e dosto chup chup chale chalo allah rakhe teri sehar jaisi kam-sini dil kaanpata hai jab bhi tu aati hai shaam ko veeraan chaman pe roee hai shabnam tamaam raat aise men koi nanhi kali muskur aa.e to aadil hawaaein kab se bhi deti hain dastaken jal dii se uth ke kamre ka darwaaza khol do

Adil Mansuri

0 likes

bismil ke tadapne ki adaaon men nasha tha main haath men talwaar li.e jhoom raha tha ghoonghat men mire KHvaab ki taabeer chhupi thii mehn dii se hatheli men mira naam likha tha lab the ki kisi pyaali ke honton pe jhuke the aur haath kahii gardan-e-meena men pada tha hammam ke aaiine men shab doob rahi thii cigarette se naye din ka dhuaan phail raha tha dariyaa ke kinaare pe mirii laash pa dii thii aur paani ki tah men vo mujhe Dhoondh raha tha maaloom nahin phir vo kahaan chhup gaya aadil saaya sa koi lams ki sarhad pe mila tha

Adil Mansuri

0 likes

jeeta hai sirf tere li.e kaun mar ke dekh ik roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh manzil yahiin hai aam ke pedon ki chaanv men ai shehsawaar ghode se neeche utar ke dekh toote pade hain kitne ujaalon ke ustukhwaan saaya-numa andhere ke andar utar ke dekh phoolon ki tang-daamani ka tazkira na kar KHushboo ki tarah mauj-e-saba men bikhar ke dekh tujh par khulenge maut ki sarhad ke raaste himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh dariyaa ki wusaaton se use naapte nahin tanhaaii kitnii gahri hai ik jaam bhar ke dekh

Adil Mansuri

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Adil Mansuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Adil Mansuri's ghazal.