ghazalKuch Alfaaz

agar na zohra-jabeenon ke darmiyaañ guzre to phir ye kaise kate zindagi kahaan guzre jo tere aariz o gesu ke darmiyaañ guzre k abhii k abhii vahii lamhe bala-e-jaan guzre mujhe ye vaham raha muddaton ki jurat-e-shauq kahii na khaatir-e-maasoom par giran guzre har ik maqaam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha magar ham ahl-e-mohabbat kashaan kashaan guzre junoon ke sakht maraahil bhi teri yaad ke saath haseen haseen nazar aa.e jawaan jawaan guzre mirii nazar se tiri justuju ke sadqe men ye ik jahaan hi nahin saikdon jahaan guzre hujoom-e-jalwa men parwaaz-e-shauq kya kehna ki jaise rooh sitaaron ke darmiyaañ guzre khatamuaaf zamaane se bad-gumaan ho kar tiri vafaa pe bhi kya kya ha men gumaan guzre mujhe tha shikwa-e-hijraan ki ye hua mehsoos mire qareeb se ho kar vo na-gahaan guzre rah-e-wafa men ik aisa maqaam bhi aaya ki ham KHud apni taraf se bhi bad-gumaan guzre khuloos jis men ho shaamil vo daur-e-ishq-o-hawasna raayegaan k abhii guzra na raayegaan guzre usii ko kahte hain jannat usii ko dozakh bhi vo zindagi jo haseenon ke darmiyaañ guzre bahut haseen manaazir bhi husn-e-fitrat kena jaane aaj tabeeyat pe kyun giran guzre vo jin ke s aa.e se bhi bijliyaan larzatee theen mirii nazar se kuchh aise bhi aashiyaan guzre mira to farz chaman-bandee-e-jahaan hai faqat mirii bala se bahaar aa.e ya khizaan guzre kahaan ka husn ki KHud ishq ko khabar na hui rah-e-talab men kuchh aise bhi imtihaan guzre bharii bahaar men taaraaji-e-chaman mat pooch KHuda kare na phir aankhoñ se vo samaan guzre koi na dekh sakaa jin ko vo dilon ke siva muaamlaat kuchh aise bhi darmiyaañ guzre k abhii k abhii to isee ek musht-e-khaak ke gird tawaaf karte hue haft aasmaañ guzre bahut haseen sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kaanton ke darmiyaañ guzre abhii se tujh ko bahut naagawaar hain hamdam vo haadsaat jo ab tak ravaan-davaan guzre jinhen ki deeda-e-shaair hi dekh sakaa hai vo inqilaab tire saamne kahaan guzre bahut aziz hai mujh ko unhen kya yaad jigar vo haadsaat-e-mohabbat jo na-gahaan guzre

Related Ghazal

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii

Kumar Vishwas

53 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Jigar Moradabadi

ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha

Jigar Moradabadi

1 likes

kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen

Jigar Moradabadi

1 likes

vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye

Jigar Moradabadi

1 likes

jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega

Jigar Moradabadi

2 likes

aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai bhool jaata hooñ main sitam us ke vo kuchh is saadgi se milta hai aaj kya baat hai ki phoolon ka rang teri hañsi se milta hai silsila fitna-e-qayaamat ka teri khush-qaaamati se milta hai mil ke bhi jo kabhi nahin milta toot kar dil usii se milta hai kaarobaar-e-jahaan sanvarte hain hosh jab be-khu dii se milta hai rooh ko bhi mazaa mohabbat ka dil ki hum-saayegi se milta hai

Jigar Moradabadi

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jigar Moradabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.