kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha
Zubair Ali Tabish
48 likes
ashk-e-naadaan se kaho baad men pachhtaayenge aap girkar meri aankhoñ se kidhar jaayenge apne lafzon ko takallum se giraakar jaana apne lehje ki thakaavat men bikhar jaayenge ik teraa ghar tha meri had-e-musaafit lekin ab ye socha hai ki ham had se guzar jaayenge apne afkaar jala daalenge kaaghaz kaaghaz soch mar jaayegi to ham aap bhi mar jaayenge isse pahle ki judaai ki khabar tumse mile hamne socha hai ki ham tumse bichhad jaayenge
Khalil Ur Rehman Qamar
50 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Jigar Moradabadi
ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Jigar Moradabadi
1 likes
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
duniya ke sitam yaad na apni hi vafaa yaad ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad shaayad ki mire bhoolne waale ne kiya yaad chheda tha jise pahle-pahl teri nazar ne ab tak hai vo ik naghma-e-be-saaz-o-sada yaad jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazishus vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin ab tak hai tire dil ke dhadkane ki sadaa yaad haan haan tujhe kya kaam mirii shiddat-e-gham se haan haan nahin mujh ko tire daaman ki hawa yaad main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha kyun aa gaii aise men tiri laghizish-e-paa yaad kya lutf ki main apna pata aap bataaun kijeye koi bhooli hui khaas apni ada yaad
Jigar Moradabadi
2 likes
aankhoñ ka tha qusoor na dil ka qusoor tha aaya jo mere saamne meraa ghuroor tha tareek misl-e-aah jo aankhoñ ka noor tha kya subh hi se shaam-e-bala ka zuhoor tha vo the na mujh se door na main un se door tha aata na tha nazar to nazar ka qusoor tha har vaqt ik khumaar tha har dam suroor tha bottle baghal men thii ki dil-e-na-suboor tha koi to dardmand-e-dil-e-na-suboor tha maana ki tum na the koi tum sa zaroor tha lagte hi thes toot gaya saaz-e-aarzoo milte hi aankh sheesha-e-dil choor choor tha aisa kahaan bahaar men rangeeniyon ka josh shaamil kisi ka khoon-e-tamanna zaroor tha saaqi ki chashm-e-mast ka kya keejie bayaan itnaa suroor tha ki mujhe bhi suroor tha paltee jo raaste hi se ai aah-e-na-muraad ye to bataa ki baab-e-asar kitnii door tha jis dil ko tum ne lutf se apna banaa liyaus dil men ik chhupa hua nashtar zaroor tha us chashm-e-may-farosh se koi na bach sakaa sab ko ba-qadar-e-hausla-e-dil suroor tha dekha tha kal jigar ko sar-e-raah-e-may-kada is darja pee gaya tha ki nashshe men choor tha
Jigar Moradabadi
1 likes
sabhi andaaz-e-husn pyaare hain ham magar saadgi ke maare hain us ki raaton ka intiqaam na pooch jis ne hañs hañs ke din guzaare hain ai sahaaron ki zindagi waalo kitne insaan be-sahaare hain laala-o-gul se tujh ko kya nisbat naa-mukammal se isti'aare hain ham to ab doob kar hi ubharenge vo rahen shaad jo kinaare hain shab-e-furqat bhi jagmaga utthi ashk-e-gham hain ki maah-paare hain aatish-e-ishq vo jahannam hai jis men firdaus ke nazaare hain vo humeen hain ki jin ke haathon ne gesu-e-zindagi sanwaare hain husn ki be-niyaaziyo pe na ja be-ishaare bhi kuchh ishaare hain
Jigar Moradabadi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







