duniya ke sitam yaad na apni hi vafaa yaad ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad shaayad ki mire bhoolne waale ne kiya yaad chheda tha jise pahle-pahl teri nazar ne ab tak hai vo ik naghma-e-be-saaz-o-sada yaad jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazishus vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin ab tak hai tire dil ke dhadkane ki sadaa yaad haan haan tujhe kya kaam mirii shiddat-e-gham se haan haan nahin mujh ko tire daaman ki hawa yaad main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha kyun aa gaii aise men tiri laghizish-e-paa yaad kya lutf ki main apna pata aap bataaun kijeye koi bhooli hui khaas apni ada yaad
Related Ghazal
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai
Tehzeeb Hafi
182 likes
More from Jigar Moradabadi
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai bhool jaata hooñ main sitam us ke vo kuchh is saadgi se milta hai aaj kya baat hai ki phoolon ka rang teri hañsi se milta hai silsila fitna-e-qayaamat ka teri khush-qaaamati se milta hai mil ke bhi jo kabhi nahin milta toot kar dil usii se milta hai kaarobaar-e-jahaan sanvarte hain hosh jab be-khu dii se milta hai rooh ko bhi mazaa mohabbat ka dil ki hum-saayegi se milta hai
Jigar Moradabadi
4 likes
aankhoñ ka tha qusoor na dil ka qusoor tha aaya jo mere saamne meraa ghuroor tha tareek misl-e-aah jo aankhoñ ka noor tha kya subh hi se shaam-e-bala ka zuhoor tha vo the na mujh se door na main un se door tha aata na tha nazar to nazar ka qusoor tha har vaqt ik khumaar tha har dam suroor tha bottle baghal men thii ki dil-e-na-suboor tha koi to dardmand-e-dil-e-na-suboor tha maana ki tum na the koi tum sa zaroor tha lagte hi thes toot gaya saaz-e-aarzoo milte hi aankh sheesha-e-dil choor choor tha aisa kahaan bahaar men rangeeniyon ka josh shaamil kisi ka khoon-e-tamanna zaroor tha saaqi ki chashm-e-mast ka kya keejie bayaan itnaa suroor tha ki mujhe bhi suroor tha paltee jo raaste hi se ai aah-e-na-muraad ye to bataa ki baab-e-asar kitnii door tha jis dil ko tum ne lutf se apna banaa liyaus dil men ik chhupa hua nashtar zaroor tha us chashm-e-may-farosh se koi na bach sakaa sab ko ba-qadar-e-hausla-e-dil suroor tha dekha tha kal jigar ko sar-e-raah-e-may-kada is darja pee gaya tha ki nashshe men choor tha
Jigar Moradabadi
1 likes
dil gaya raunaq-e-hayaat gaii gham gaya saari kaaynaat gaii dil dhadakte hi phir gaii vo nazar lab tak aayi na thii ki baat gaii din ka kya zikr teera-bakhton men ek raat aayi ek raat gaii teri baaton se aaj to waiz vo jo thii khwaahish-e-najaat gaii un ke behlaaye bhi na bahla dil raayegaansee-e-iltifaat gaii marg-e-aashiq to kuchh nahin lekin ik maseeha-nafs ki baat gaii ab junoo'aap hai garebaan-geer ab vo rasm-e-takallufaat gaii tark-e-ulft bahut baja naaseh lekin us tak agar ye baat gaii haanmaze loot le jawaani ke phir na aayegi ye jo raat gaii haanye sarshaariyaani ki aankh jhapki hi thii ki raat gaii nahin milta mizaaj-e-dil ham se ghaliban door tak ye baat gaii qaid-e-hasti se kab najaat jigar maut aayi agar hayaat gaii
Jigar Moradabadi
3 likes
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







