ghazalKuch Alfaaz

vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye

Related Ghazal

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge

Jaun Elia

88 likes

jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas

Sandeep Thakur

50 likes

More from Jigar Moradabadi

kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen

Jigar Moradabadi

1 likes

aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai bhool jaata hooñ main sitam us ke vo kuchh is saadgi se milta hai aaj kya baat hai ki phoolon ka rang teri hañsi se milta hai silsila fitna-e-qayaamat ka teri khush-qaaamati se milta hai mil ke bhi jo kabhi nahin milta toot kar dil usii se milta hai kaarobaar-e-jahaan sanvarte hain hosh jab be-khu dii se milta hai rooh ko bhi mazaa mohabbat ka dil ki hum-saayegi se milta hai

Jigar Moradabadi

4 likes

ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha

Jigar Moradabadi

1 likes

jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega

Jigar Moradabadi

2 likes

sabhi andaaz-e-husn pyaare hain ham magar saadgi ke maare hain us ki raaton ka intiqaam na pooch jis ne hañs hañs ke din guzaare hain ai sahaaron ki zindagi waalo kitne insaan be-sahaare hain laala-o-gul se tujh ko kya nisbat naa-mukammal se isti'aare hain ham to ab doob kar hi ubharenge vo rahen shaad jo kinaare hain shab-e-furqat bhi jagmaga utthi ashk-e-gham hain ki maah-paare hain aatish-e-ishq vo jahannam hai jis men firdaus ke nazaare hain vo humeen hain ki jin ke haathon ne gesu-e-zindagi sanwaare hain husn ki be-niyaaziyo pe na ja be-ishaare bhi kuchh ishaare hain

Jigar Moradabadi

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jigar Moradabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.