ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Related Ghazal
chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha
Kushal Dauneria
54 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
to kya ye aakhiri KHvaahish hai achha bhool jaaun jahaan bhi jo bhi hai tere alaava bhool jaaun to kya ye doosra hi ishq asli ishq samjhoon to pehla tajarbe kii den men tha bhool jaaun to kya itnaa hi aasaan hai kisi ko bhool jaana ki bas baaton hi baaton men bhulaata bhool jaaun kabhi kahtaa hooñ us..ko yaad rakhna theek hogaa magar phir sochta hooñ faaeda kya bhool jaaun ye koii qatl thodii hai ki baat aayi gaii ho main aur apna nazar-andaaz hona bhool jaaun hai itni juziyaat is saanhe kii poochiye mat main kya kya yaad rakhoon aur kya kya bhool jaaun koii kab tak kisi kii be-vafaaii yaad rakhe bahut mumkin hai main bhi rafta rafta bhool jaaun to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge javvaad ki vo hai bhi isi laaiq lihaaza bhool jaaun
Jawwad Sheikh
42 likes
shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga
Tehzeeb Hafi
84 likes
More from Jigar Moradabadi
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega
Jigar Moradabadi
2 likes
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
allah agar taufeeq na de insaan ke bas ka kaam nahin faizaan-e-mohabbat aam sahi irfaan-e-mohabbat aam nahin ye tu ne kaha kya ai naadaan fayyaazi-e-qudrat aam nahin tu fikr o nazar to paida kar kya cheez hai jo inaam nahin ya-rab ye maqaam-e-ishq hai kya go deeda-o-dil naakaam nahin taskin hai aur taskin nahin aaraam hai aur aaraam nahin kyun mast-e-sharaab-e-aish-o-tarab takleef-e-tavajjoh farmaayein aawaaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaaz-e-shikast-e-jaam nahin aanaa hai jo bazm-e-jaanan men pindaar-e-khu dii ko tod ke aa ai hosh-o-khird ke deewane yaa hosh-o-khird ka kaam nahin zaahid ne kuchh is andaaz se pee saaqi ki nigaahen padne lagin may-kash yahii ab tak samjhe the shaista daur-e-jaam nahin ishq aur gawara KHud kar le be-shart shikast-e-faash apni dil ki bhi kuchh un ke saazish hai tanhaa ye nazar ka kaam nahin sab jis ko aseeri kahte hain vo to hai ameeri hi lekin vo kaun si aazaa dii hai yahaañ jo aap KHud apna daam nahin
Jigar Moradabadi
3 likes
ab to ye bhi nahin raha ehsaas dard hota hai ya nahin hota ishq jab tak na kar chuke rusva aadmi kaam ka nahin hota toot padta hai dafa'atan jo ishqbesh-tar der-paa nahin hota vo bhi hota hai ek vaqt ki jab maa-siwaa maa-siwaa nahin hota haaye kya ho gaya tabi'at ko gham bhi rahat-fazaa nahin hota dil hamaara hai ya tumhaara hai ham se ye faisla nahin hota jis pe teri nazar nahin hotius ki jaanib KHuda nahin hota main ki be-zaar umr bhar ke li.e dil ki dam-bhar juda nahin hota vo hamaare qareeb hote hain jab hamaara pata nahin hota dil ko kya kya sukoon hota hai jab koi aasraa nahin hota ho ke ik baar saamna un se phir kabhi saamna nahin hota
Jigar Moradabadi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







