ai maut unhen bhulae zamane guzar gae aa ja ki zahr khaae zamane guzar gae o jaane vaale aa ki tire intizar men raste ko ghar banae zamane guzar gae ghham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se najat paae zamane guzar gae kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar men aae zamane guzar gae jan-e-bahar phuul nahin aadmi huun main aa ja ki muskurae zamane guzar gae kya kya tavaqquat thiin aahon se ai 'khumar' ye tiir bhi chalae zamane guzar gae ai maut unhen bhulae zamane guzar gae aa ja ki zahr khae zamane guzar gae o jaane wale aa ki tere intizar mein raste ko ghar banae zamane guzar gae gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yas sab se najat pae zamane guzar gae kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main aa ja ki muskurae zamane guzar gae kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'khumar' ye tir bhi chalae zamane guzar gae
Related Ghazal
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
bulaati hai magar jaane ka nahin ye duniya hai idhar jaane ka nahin mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nahin zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho chale ho to thehar jaane ka nahin sitaare noch kar le jaaunga main khaali haath ghar jaane ka nahin vaba phaili hui hai har taraf abhii maahol mar jaane ka nahin vo gardan naapta hai naap le magar zaalim se dar jaane ka nahin
Rahat Indori
59 likes
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
tere jaisa koi mila hi nahin kaise milta kahii pe tha hi nahin ghar ke malbe se ghar banaa hi nahin zalzale ka asar gaya hi nahin mujh pe ho kar guzar gaii duniya main tiri raah se hata hi nahin kal se masroof-e-khairiyat main hooñ she'r taaza koi hua hi nahin raat bhi ham ne hi sadaarat ki bazm men aur koi tha hi nahin yaar tum ko kahaan kahaan dhoonda jaao tum se main bolta hi nahin yaad hai jo usii ko yaad karo hijr ki doosri davaa hi nahin
Fahmi Badayuni
33 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Khumar Barabankavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Khumar Barabankavi's ghazal.







