ghazalKuch Alfaaz

apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise ghar sajane ka tasavvur to bahut baad ka hai pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise laakh talvaren badhi aati hon gardan ki taraf sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise qahqaha aankh ka bartao badal deta hai hansne vaale tujhe aansu nazar aaen kaise phuul se rang juda hona koi khel nahin apni mitti ko kahin chhod ke jaaen kaise koi apni hi nazar se to hamen dekhega ek qatre ko samundar nazar aaen kaise jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'vasim' us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise ghar sajaane ka tasawwur to bahut baad ka hai pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise lakh talwaren badhi aati hon gardan ki taraf sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise qahqaha aankh ka bartao badal deta hai hansne wale tujhe aansu nazar aaen kaise phul se rang juda hona koi khel nahin apni mitti ko kahin chhod ke jaen kaise koi apni hi nazar se to hamein dekhega ek qatre ko samundar nazar aaen kaise jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'wasim' us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Waseem Barelvi

apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de

Waseem Barelvi

7 likes

rang be-rang hon KHushboo ka bharosa jaa.e mirii aankhoñ se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaa.e main ne muddat se koi KHvaab nahin dekha hai haath rakh de mirii aankhoñ pe ki neend aa jaa.e main gunaahon ka taraf-daar nahin hooñ phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaa.e kuchh badi sochon men ye sochen bhi shaamil hain waseem kis bahaane se koi shahar jalaya jaa.e

Waseem Barelvi

1 likes

kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai mohabbaton men kab itnaa hisaab hota hai bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena udaas rahne se chehra KHaraab hota hai use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi jo haar jaa.e vahii kaamyaab hota hai jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahin hota to koi aaj ka izzat-maab hota hai jise main likhta hooñ aise ki KHud hi padh paanv kitaab-e-zeest men aisa bhi baab hota hai bahut bharosa na kar lena apni aankhoñ par dikhaai deta hai jo kuchh vo KHvaab hota hai

Waseem Barelvi

2 likes

vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai

Waseem Barelvi

6 likes

andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai

Waseem Barelvi

10 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Waseem Barelvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.