bada viran mausam hai kabhi milne chale aao har ik janib tira ghham hai kabhi milne chale aao hamara dil kisi gahri judai ke bhanvar men hai hamari aankh bhi nam hai kabhi milne chale aao mire hamrah garche duur tak logon ki raunaq hai magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao tumhen to ilm hai mere dil-e-vahshi ke zakhmon ko tumhara vasl marham hai kabhi milne chale aao andheri raat ki gahri khamoshi aur tanha dil diye ki lau bhi maddham hai kabhi milne chale aao tumhare ruuth ke jaane se ham ko aisa lagta hai muqaddar ham se barham hai kabhi milne chale aao havaon aur phulon ki nai khushbu batati hai tire aane ka mausam hai kabhi milne chale aao bada viran mausam hai kabhi milne chale aao har ek jaanib tera gham hai kabhi milne chale aao hamara dil kisi gahri judai ke bhanwar mein hai hamari aankh bhi nam hai kabhi milne chale aao mere hamrah garche dur tak logon ki raunaq hai magar jaise koi kam hai kabhi milne chale aao tumhein to ilm hai mere dil-e-wahshi ke zakhmon ko tumhaara wasl marham hai kabhi milne chale aao andheri raat ki gahri khamoshi aur tanha dil diye ki lau bhi maddham hai kabhi milne chale aao tumhaare ruth ke jaane se hum ko aisa lagta hai muqaddar hum se barham hai kabhi milne chale aao hawaon aur phulon ki nai khushbu batati hai tere aane ka mausam hai kabhi milne chale aao
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Adeem Hashmi
kisi jhooti vafaa se dil ko bahaana nahin aata mujhe ghar kaaghazi phoolon se mehkaana nahin aata main jo kuchh hooñ vahii kuchh hooñ jo zaahir hai vo baatin hai mujhe jhoote dar-o-deewar chamkaana nahin aata main dariyaa hooñ magar bahta hooñ main kohsaar kii jaanib mujhe duniya kii pasti men utar jaana nahin aata zar-o-maal-o-javahar le bhi aur thukra bhi saktaa hooñ koii dil pesh karta ho to thukraana nahin aata parinda jaanib-e-dana hamesha ud ke aata hai parinde kii taraf ud kar kabhi daana nahin aata agar sehra men hain to aap KHud aa.e hain sehra men kisi ke ghar to chal kar koii veeraana nahin aata hua hai jo sadaa us ko naseebon ka likha samjha adeem apne ki.e par mujh ko pachtana nahin aata
Adeem Hashmi
2 likes
tere li.e chale the ham tere li.e thehar ga.e tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar ga.e kat hi gaii judaai bhi kab ye hua ki mar ga.e tere bhi din guzar ga.e mere bhi din guzar ga.e tu bhi kuchh aur aur hai ham bhi kuchh aur aur hain jaane vo tu kidhar gaya jaane vo ham kidhar ga.e raahon men hi mile the ham raahen naseeb ban gaiin vo bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar ga.e vaqt hi judaai ka itnaa taveel ho gaya dil men tire visaal ke jitne the zaKHm bhar ga.e hota raha muqaabla paani ka aur pyaas ka sehra umad umad pade dariyaa bifar bifar ga.e vo bhi ghubaar-e-khwaab tha ham bhi ghubaar-e-khwaab the vo bhi kahiin bikhar gaya ham bhi kahiin bikhar ga.e koii kanaar-e-aabjoo baitha hua hai sar-nigoon kashtii kidhar chali gaii jaane kidhar bhanwar ga.e aaj bhi intizaar ka vaqt hunoot ho gaya aisa laga ki hashr tak saare hi pal thehar ga.e barish-e-wasl vo hui saara ghubaar dhul gaya vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar ga.e aab-e-muheet-e-ishq ka bahar ajeeb bahar hai taire to ghark ho ga.e doobe to paar kar ga.e itne qareeb ho ga.e apne raqeeb ho ga.e vo bhi adeem dar gaya ham bhi adeem dar ga.e us ke sulook par adeem apni hayaat-o-maut hai vo jo mila to jee uthe vo na mila to mar ga.e
Adeem Hashmi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Adeem Hashmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Adeem Hashmi's ghazal.







