bastiyaan Dhoondh rahi hain unhen veeraanon men vahshatein badh gaiin had se tire deewaanon men nigah-e-naaz na deewaanon na farzaanon men jaankaar ek vahii hai magar an-jaanon men bazm-e-may be-khud-o-be-taab na kyun ho saaqi mauj-e-baada hai ki dard uthata hai paimaanon men main to main chaunk u thii hai ye faza-e-khaamosh ye sadaa kab ki sooni aati hai phir kaanon men sair kar ujde dilon ki jo tabeeyat hai udaas jee bahl jaate hain akshar inheen veeraanon men wusaaten bhi hain nihaan tangi-e-dil men ghaafil jee bahl jaate hain akshar inheen maidaanon men jaan eemaan-e-junoon silsila jumbaan-e-junoon kuchh kashish-ha-e-nihaan jazb hain veeraanon men khanda-e-subh-e-azal teergi-e-shaam-e-abad dono aalam hain chhalakte hue paimaanon men dekh jab aalam-e-hoo ko to naya aalam hai bastiyaan bhi nazar aane lagin veeraanon men jis jagah baith ga.e aag laga kar utthe garmiyaan hain kuchh abhii sokhta-saamaanoń men vahshatein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz daamanoń men hai ye aalam na garebaanon men ek rangeeni-e-zaahir hai gulistaan men agar ek shaadabi-e-pinhaan hai biyaabaanon men jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaaz-e-junoon kuchh biyaabaan nazar aa.e hain garebaanon men ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo aasaar-e-junoon bhi nahin deewaanon men ab vo saaqi ki bhi aañkhen na raheen rindon men ab vo saaghar bhi chhalakte nahin may-khaanon men ab vo ik soz-e-nihaani bhi dilon men na raha ab vo jalwe bhi nahin ishq ke kaashaanon men ab na vo raat jab ummeedein bhi kuchh theen tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsaano men ab tira kaam hai bas ahl-e-wafa ka paana ab tira naam hai bas ishq ke gham-khaanon men ta-b-kai waada-e-mauhoom ki tafseel firaq shab-e-furqat kahii kattee hai in afsaano men
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
Umair Najmi
59 likes
More from Firaq Gorakhpuri
kuchh na kuchh ishq ki taaseer ka iqaar to haius ka ilzaam-e-taghaful pe kuchh inkaar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-daar to hai teraa deewaana kisi kaam men hushyaar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaqa-e-jamaal KHair deedaar na ho hasrat-e-deedaar to hai maarake sar hon usii barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talwaar to hai sar patkane ko patkata hai magar ruk ruk kar tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewaar to hai ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gayana sahi jaur magar jaur ka iqaar to hai tujh se himmat to padi ishq ko kuchh kehne ki KHair shikwa na sahi shukr ka izhaar to hai is men bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak KHair iqaar-e-mohabbat na ho inkaar to hai kyun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigaah ye jhijak kis li.e ik kushta-e-deedaar to hai kaii unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kaar to hai sehar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho jalwa-e-husn to hai ishq-e-siyahkaar to hai chaunk uthte hain firaq aate hi us shokh ka naam kuchh saraasimagi-e-ishq ka iqaar to hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitnii raat hai har kaayenaat se ye alag kaayenaat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jeena jo aa gaya to ajal bhi hayaat hai aur yuñ to umr-e-khizr bhi kya be-sabaat hai kyun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khu dii khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-samaan banaa diya vo dil qaraar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushgaafiyaan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toda hai la-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kya kaayenaat hai gardoon sharaar-e-bark-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bharii raat raat hai gum ho ke har jagah hain z-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti b-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis li.e ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti ka khuloos-e-nihaan na pooch jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuñ to hazaar dard se rote hain bad-naseeb tum dil dukhaao waqt-e-museebat to baat hai unwaan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visaal bas fursat-e-hayaat firaq ek raat hai
Firaq Gorakhpuri
1 likes
haath aa.e to vahii daaman-e-jaanaan ho jaa.e chhoot jaa.e to vahii apna garebaan ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mehram-e-be-gaana-numa husn yuñ laakh chhupe laakh numayaan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut door hai kaifiyyat-e-ishqus ki har be-khabri manzil-e-irfaan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to tadap jaata hooñ mirii hasti tira bhoola hawa paimaan ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalwa-gah-e-naaz bane dil vahii hai jo saraapa tira armaan ho jaa.e paak-baazaan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaa.e sahal ho kar hui dushwaar mohabbat teri use mushkil jo banaa len to kuchh aasaan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis roop men jis bhes men ho ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijraan ho jaa.e kuchh mudaava bhi ho majrooh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pashemaan ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshaan kyun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaa.e jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khu dii jo ye bujh jaa.e charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaa.e sar-e-shooreeda diya dasht-o-bayaabaan bhi diye ye mirii khoobi-e-qismat ki vo zindaan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai firaq kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
1 likes
aayi hai kuchh na pooch qayamat kahaan kahaan uf le gaii hai mujh ko mohabbat kahaan kahaan betaabi-o-sukoon ki hui manzilen tamaam bahlaaen tujh se chhut ke tabi'at kahaan kahaan furqat ho ya visaal vahii iztiraab hai teraa asar hai ai gham-e-furqat kahaan kahaan har jumbish-e-nigaah men sad-kaif be-khu dii bharti phiregi husn ki niyyat kahaan kahaan raah-e-talab men chhod diya dil ka saath bhi firte li.e hue ye museebat kahaan kahaan dil ke ufuk tak ab to hain parchaaiyaan tiri le jaa.e ab to dekh ye vehshat kahaan kahaan ai nargis-e-siyaah bataa de tire nisaar kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahaan kahaan nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye ye gham kahaan kahaan ye masarrat kahaan kahaan begaangi par us ki zamaane se ehtiraaz dar-parda us ada ki shikaayat kahaan kahaan farq aa gaya tha daur-e-hayaat-o-mamaat men aayi hai aaj yaad vo soorat kahaan kahaan jaise fana baqa men bhi koi kamii si ho mujh ko pa dii hai teri zaroorat kahaan kahaan duniya se ai dal itni tabi'at bharii na thii tere li.e uthaai nadaamat kahaan kahaan ab imtiyaaz-e-ishq-o-hawas bhi nahin raha hoti hai teri chashm-e-inaayat kahaan kahaan har gaam par tareeq-e-mohabbat men maut thii is raah men khule dar-e-rahmat kahaan kahaan hosh-o-junoon bhi ab to bas ik baat hain firaq hoti hai us nazar ki sharaarat kahaan kahaan
Firaq Gorakhpuri
1 likes
deedaar men ik turfah deedaar nazar aaya har baar chhupa koi har baar nazar aaya chhaalon ko biyaabaan bhi gulzaar nazar aaya jab chhed par aamada har khaar nazar aaya subh-e-shab-e-hijraan ki vo chaak-garebaani ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya ho sabr ki betaabi ummeed ki maayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thii chhaai hui dil par is mulk ka har khitaa taataar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thii vo jaati hui duniya kya aakhri lamhon men beemaar nazar aaya ghash kha ke gire moosa allah-ree maayusi halka sa vo parda bhi deewaar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hasti men makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yuñ to hua jo kuchh be-kaar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko ma'amura-e-aalam ki koi gham-e-furqat men gham-khwaar nazar aaya shab kat gaii furqat ki dekha na firaq aaKHir tool-e-gham-e-hijraan bhi be-kaar nazar aaya
Firaq Gorakhpuri
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Firaq Gorakhpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Firaq Gorakhpuri's ghazal.







