ghazalKuch Alfaaz

chaman men kaun babulon ki daal kheenchta hai yahaañ jo aata hai phoolon ke gaal kheenchta hai vo teer baad men pahle sawaal kheenchta hai sawaal bhi jo sama'at ki khaal kheenchta hai ai pyaar baantne waale main khoob jaanta hooñ ki kitnii der men machwaara jaal kheenchta hai nikal bhi saka hooñ qaid-e-takhayyulaat se gar vo shaKHs kheench le jis ka khayal kheenchta hai main us ke aage nahin kheenchta niyaam se teg vo sher-shah jo dushman ki dhaal kheenchta hai ye sard subh men soya sharaati suraj bas aankh khulte hi pariyon ki shaal kheenchta hai main hosh-mand hooñ KHud bhi so meri ghazalon meinna raqs karta hai 'aashiq na baal kheenchta hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Charagh Sharma

pukaarta hooñ main al-amaan al-amaan allah bacha le mere yaqeenullaah ki jaan allah vo jin ko tu ne ata kiya hai jahaan allah banaa rahe hain tire li.e hi makaan allah vo yaad aata hai sirf yaaron ke poochne par tu yaad aata hai sirf waqt-e-azaan allah tire taghaaful ki hi badaulat hooñ aaj jo hooñ mujhe koi janm-zaat kaafir na jaan allah main jab vo jannat bhi chhod aaya to duniya kya hai le main chala tu sanbhaal apna jahaan allah

Charagh Sharma

6 likes

ab ye gul gulnaar kab hai khaar hai be-kaar hai aap ne jab kah diya be-kaar hai be-kaar hai chhod kar matla ghazal damdaar hai be-kaar hai jab sipah-salaar hi beemaar hai be-kaar hai ik sawaal aisa hai mere paas jis ke saamne ye jo teri shiddat-e-inkaar hai be-kaar hai tujh ko bhi hai chaand ka deedaar karne ki talab ik diye ko raushni darkaar hai be-kaar hai may-kade ke mukhtalif aadaab hote hain charaaghh jo yahaañ par saahib-e-kirdaar hai be-kaar hai

Charagh Sharma

2 likes

vo sirf qisse kahaaniyon ke mua'mle the charaaghh rakh de charaaghhh ghisne se koi jin-vin nahin nikalte charaaghh rakh de hamaari ma'soomiyat to dekho rakh aa.e dil ham huzoor-e-jaanan ki jaise koi KHuda ka banda hawa ke aage charaaghh rakh de kisi ke s aa.e ko qaid karne ka ik tareeqa bataa raha hooñ ik us ke aage charaaghh rakh de ik us ke peeche charaaghh rakh de tujhe bahut shauq tha mohabbat ki garm lapton se khelne ka le jal gaii na hatheli ab KHush kaha tha main ne charaaghh rakh de charaaghhh le ke bhi dhoondhne se charaaghh jaisa nahin milega so rakhni hai to charaaghh se rakh nahin to pyaare charaaghh rakh de charaaghhh raushan zaroor kar to par is se pahle KHuda ki khaatir yahaañ pe faila hai jo andhera samet zer-e-charaagh rakh de main dil ki baaton men aa gaya aur utha ke le aaya us ki paayal dimaagh deta raha sadaaein charaaghh rakh de charaaghh rakh de

Charagh Sharma

13 likes

jang jitni ho sake dushwaar honi chahiye jeet haasil ho to laziz-daar honi chahiye ek 'aashiq kal salaamat shahar men dekha gaya ye khabar to surkhi-e-akhbaar honi chahiye kah rahi hai aaj-kal ghazlein kisi ke ishq men vo ki jo KHud zeenat-e-ash'aar honi chahiye ishq dono ne kiya tha KHud-kushi bas main karoon vo bhi marne ke li.e taiyyaar honi chahiye dil ki nadaani hi bas kaafi nahin hai ishq men aql bhi thodii bahut beemaar honi chahiye pyaar hai to haath us ka thaam apne haath men jang hai to haath men talwaar honi chahiye

Charagh Sharma

6 likes

mirii udaasi mire darmiyaan band karo koi saleeqe se ye itr-daan band karo padha raha hooñ main bacchon ko karbala ka nisaab tum apni tishna-labi ka bakhaan band karo zaraa samajhne ki koshish karo mire ashko vo aaj KHush hai tum apni zabaan band karo main ek shart pe raazi hooñ qaid hone ko isee qafas men miraa aasmaan band karo mujhe akelaa men karne hain KHud se kuchh baatein ye miraa hukm hai deewaaro kaan band karo ghazal men laane se gham aur badh gaya hai charaaghh shatar girao sukhun ki dukaan band karo

Charagh Sharma

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Charagh Sharma.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Charagh Sharma's ghazal.