chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se vo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai baar baar uthna usi janib nigah-e-shauq ka aur tira ghhurfe se vo ankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi vo bebak ho jaana mira aur tira danton men vo ungli dabana yaad hai khinch lena vo mira parde ka kona dafatan aur dupatte se tira vo munh chhupana yaad hai jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira aur tira thukra ke sar vo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi paana to az-rah-e-lihaz hal-e-dil baton hi baton men jatana yaad hai jab siva mere tumhara koi divana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi vo kar-khana yaad hai ghhair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf vo tira chori-chhupe raton ko aana yaad hai aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq vo tira ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhuup men mere bulane ke liye vo tira kothe pe nange paanv aana yaad hai aaj tak nazron men hai vo sohbat-e-raz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baten nirali pyaar ki zikr dushman ka vo baton men udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se jab mana lena to phir khud ruuth jaana yaad hai chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak vo thikana yaad hai shauq men mehndi ke vo be-dast-o-pa hona tira aur mira vo chhedna vo gudgudana yaad hai bavajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-havas ka vo fasana yaad hai chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai khinch lena wo mera parde ka kona dafatan aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai
Related Ghazal
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
vo ek pakshi jo gunjan kar raha hai vo mujh men prem srijan kar raha hai bahut din ho gaye hai tumse bichhde tumhein milne ko ab man kar raha hai nadi ke shaant tat par baithkar man teri yaaden visarjan kar raha hai
Azhar Iqbal
61 likes
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
More from Hasrat Mohani
aur bhi ho ga.e begaana vo ghaflat kar ke aazmaaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke dil ne chhodaa hai na chhode tire milne ka khayal baar-ha dekh liya ham ne malaamat kar ke dekhne aa.e the vo apni mohabbat ka asar kehne ko ye hai ki aa.e hain ayaadat kar ke pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salaah baith rahiye gham-e-hijraan pe qanaat kar ke dil ne paaya hai mohabbat ka ye aali rutba aap ke dard-e-dawaakaar ki khidmat kar ke rooh ne paai hai takleef-e-judaai se najaat aap ki yaad ko sarmaaya-e-raahat kar ke chhed se ab vo ye kahte hain ki sambhalon hasrat sabr o taab-e-dil-e-beemaar ko gharaat kar ke
Hasrat Mohani
0 likes
hai mashq-e-sukhan jaarii chakki ki mashqat bhi ik turfah tamasha hai hasrat ki tabeeyat bhi jo chaaho saza de lo tum aur bhi khul khelo par ham se qasam le lo ki ho jo shikaayat bhi dushwaar hai rindon par inkaar-e-karam yaksar ai saaqi-e-jaan-parvar kuchh lutf-o-inaayat bhi dil bas-ki hai deewaana us husn-e-gulaabi ka rangeen hai usii roo se shaayad gham-e-furqat bhi KHud ishq ki gustaakhi sab tujh ko sikha degi ai husn-e-haya-parvar shokhi bhi sharaarat bhi barsaat ke aate hi tauba na rahi baaki baadal jo nazar aa.e badli meri niyat bhi ushshaq ke dil naazuk us shokh ki khoo naazuk naazuk isee nisbat se hai kaar-e-mohabbat bhi rakhte hain mire dil par kyun tohmat-e-betaabi yaa naala-e-muztar ki jab mujh men ho quwwat bhi ai shauq ki bebaki vo kya teri KHvaahish thii jis par unhen ghussa hai inkaar bhi hairat bhi har-chand hai dil shaida hurriyat-e-kaamil ka manzoor-e-dua lekin hai qaid-e-mohabbat bhi hain shaad o safee shaair ya shauq o vafaa hasrat phir zaamin o mahshar hain iqbaal bhi vehshat bhi
Hasrat Mohani
0 likes
aasaan-e-haqeeqi hai na kuchh sahl-e-majaazi maaloom hui raah-e-mohabbat ki daraazi kuchh lutf o nazar laazim o malzoom nahin hain ik ye bhi tamannaa ki na ho shobda baazi dil khoob samajhta hai tire harf-e-karam ko har-chand vo urdu hai na turki hai na taazi qaaim hai na vo husn-e-rukh-e-yaar ka aalam baaki hai na vo shauq ki hangaama-nawaazi ai ishq tiri fateh bahr-haal hai saabit mar kar bhi shaheedaan-e-mohabbat hue ghaazi kar jald ha men khatm kahii ai gham-e-jaanaan kaam aayegi kis roz tiri seena-gudaazi maaloom hai duniya ko ye hasrat ki haqeeqat khilwat men vo may-khwaar hai jalvat men namaazi
Hasrat Mohani
0 likes
yaad kar vo din ki teraa koi saudaai na tha bawajood-e-husn tu aagaah-e-raanaai na tha ishq-e-roz-afzoon pe apne mujh ko hairaani na thii jalwa-e-rangeen pe tujh ko naaz-e-yaktaai na tha deed ke qaabil thii mere ishq ki bhi saadgi jabki teraa husn sargarm-e-khud-aaraai na tha kya hue vo din ki mahv-e-aarzoo the husn o ishqrabt tha dono men go rabt-e-shanaasaai na tha tu ne hasrat ki ayaan tahzeeb-e-rasm-e-aashiqi is se pahle e'tibaar-e-shaan-e-ruswaai na tha
Hasrat Mohani
0 likes
kya vo ab naadim hain apne jaur ki roodaad se laaye hain meerut jo aaKHir mujh ko faizaabaad se sair-e-gul ko aayi thii jis dam sawaari aap ki phool utha tha chaman fakhr-e-mubaarakbaad se har kas-o-na-kas ho kyunkar kaamgaar-e-be-khu dii ye hunar seekha hai dil ne ik bade ustaad se ik jahaan mast-e-mohabbat hai ki har soo b-e-uns chhaai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se ab talak maujood hai kuchh kuchh laga laaye the ham vo jo ik lapka kabhi na khaak-e-jahaan aabaad se daava-e-taqva ka hasrat kis ko aata hai yaqeen aap aur jaate rahen peer-e-mugaan ki yaad se
Hasrat Mohani
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hasrat Mohani.
Similar Moods
More moods that pair well with Hasrat Mohani's ghazal.







