dekha nahin chaand ne palat kar ham so ga.e KHvaab se lipt kar ab dil men vo sab kahaan hai dekho baghdaad kahaaniyon se hat kar shaayad ye shajar vahii ho jis par dekho to zaraa varq ult kar ik khauf-zada sa shaKHs ghar tak pahuncha kaii raaston men bat kar kaaghaz pe vo nazm khil uthi hai ug aaya hai phir darakht kat kar babar ye parind thak ga.e the baithe hain jo KHaak par simat kar
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Idris Babar
ek din khwaab-nagar jaana hai aur yoonhi khaak-basar jaana hai umr bhar ki ye jo hai be-khwabi ye usii KHvaab ka harjaana hai ghar se kis vaqt chale the ham log KHair ab kaun sa ghar jaana hai maut ki pahli alaamat saahib yahii ehsaas ka mar jaana hai kisi taqreeb-e-judai ke baghair theek hai jaao agar jaana hai shor ki dhool men gum galiyon se dil ko chup-chaap guzar jaana hai
Idris Babar
2 likes
tiri gali se guzarne ko sar jhukaaye hue faqeer hujra-e-haft-aasman uthaaye hue koi darakht saraaye ki jis men ja baitheen parinde apni pareshaaniyaan bhulaaye hue mire sawaal vahii toot-foot ki zad men javaab un ke vahii hain bane-banaaye hue ha men jo dekhte the jin ko dekhte the ham vo KHvaab KHaak hue aur vo log saa.e hue shikaariyon se mire ehtijaaj men babar darakht aaj bhi shaamil the haath uthaaye hue
Idris Babar
1 likes
ab masafat men to aaraam nahin aa saka ye sitaara bhi mire kaam nahin aa saka ye mirii saltanat-e-khwab hai aabaad raho is ke andar koi bahraam nahin aa saka jaane khilte hue phoolon ko khabar hai ki nahin baagh men koi siyah-faam nahin aa saka har hawa-khwah ye kahtaa tha ki mahfooz hooñ main bujhne waalon men mira naam nahin aa saka main jinhen yaad hooñ ab tak yahii kahte honge shahzaada kabhi naakaam nahin aa saka dar hi lagta hai ki raaste men na rah jaaun kahii kahlawaa deejie men shaam nahin aa saka
Idris Babar
0 likes
kisi ke haath kahaan ye khazana aata hai mire aziz ko har ik bah aanaa aata hai zaraa sa mil ke dikhaao ki aise milte hain bahut pata hai tumhein chhod j aanaa aata hai sitaare dekh ke jalte hain aañkhen malte hain ik aadmi li.e sham-e-fasana aata hai abhii jazeera pe ham tum naye naye to hain dost daro nahin mujhe sab kuchh ban aanaa aata hai yahaañ charaaghh se aage charaaghh jalta nahin faqat gharaane ke peeche ghar aanaa aata hai ye baat chalti hai seena-b-seena chalti hai vo saath aata hai shaana-b-sh aanaa aata hai gulaab cinema se pahle chaand baagh ke baa'd utar padunga jahaan kaarkh aanaa aata hai ye kah ke us ne semester break kar daala suna tha aap ko likhna likh aanaa aata hai zamaane ho ga.e dariyaa to kah gaya tha mujhe bas ek mauj ko kar ke ravana aata hai chhalk na jaa.e mira ranj meri aankhoñ se tumhein to apni khushi ko chhup aanaa aanaa hai vo roz bhar ke khalaai jahaaz udaate phiren ha men bhi raj ke tamaskhur udh aanaa aata hai pachaas meel hai khushki se bahriya-town bas ek ghante men achha zam aanaa aata hai break-dance sikhaaya hai naav ne dil ko hawa ka geet samundar ko g aanaa aata hai mujhe defence ki lingva-franka naiiñ aati tumhein to sadr ka qaumi tar aanaa aata hai mujhe to KHair zameen ki zabaan nahin aati tumhein mirrikh ka qaumi tar aanaa aata hai
Idris Babar
0 likes
vo gul vo khwab-shaar bhi nahin raha so dil ye khaaksaar bhi nahin raha ye dil to us ke naam ka padaav hai jahaan vo ek baar bhi nahin raha pada hai KHud se vaasta aur is ke b'ad kisi ka e'tibaar bhi nahin raha ye ranj apni asl shakl men hai dost ki main ise sanwaar bhi nahin raha ye vaqt bhi guzar nahin raha hai aur main KHud ise guzaar bhi nahin raha
Idris Babar
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Idris Babar.
Similar Moods
More moods that pair well with Idris Babar's ghazal.







