dil-e-nadan tujhe hua kya hai akhir is dard ki dava kya hai foolish heart what ails you pray? can antidotes this ache allay? ham hain mushtaq aur vo be-zar ya ilahi ye majra kya hai i'm ardent and she turns away lord! what is this game you play? main bhi munh men zaban rakhta huun kaash puchho ki muddaa kya hai i too am capable of speech just ask me what i want today jab ki tujh bin nahin koi maujud phir ye hangama ai khuda kya hai when but for you, naught else exists why then o lord this noisy fray? ye pari-chehra log kaise hain ghhamza o ishva o ada kya hai ... ... shikan-e-zulf-e-ambarin kyuun hai nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai ... ... sabza o gul kahan se aae hain abr kya chiiz hai hava kya hai ... ... ham ko un se vafa ki hai ummid jo nahin jante vafa kya hai from her i hope for constancy who knows it not, to my dismay haan bhala kar tira bhala hoga aur darvesh ki sada kya hai good you do and goodness reap what else does the dervish say jaan tum par nisar karta huun main nahin janta dua kya hai to you i do bequeath my life i know not what it is to pray main ne maana ki kuchh nahin 'ghhalib' muft haath aae to bura kya hai ghalib's worthless i accept but if comes free then why delay? dil-e-nadan tujhe hua kya hai aakhir is dard ki dawa kya hai foolish heart what ails you pray? can antidotes this ache allay? hum hain mushtaq aur wo be-zar ya ilahi ye majra kya hai i'm ardent and she turns away lord! what is this game you play? main bhi munh mein zaban rakhta hun kash puchho ki muddaa kya hai i too am capable of speech just ask me what i want today jab ki tujh bin nahin koi maujud phir ye hangama ai khuda kya hai when but for you, naught else exists why then o lord this noisy fray? ye pari-chehra log kaise hain ghamza o ishwa o ada kya hai ... ... shikan-e-zulf-e-ambarin kyun hai nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai ... ... sabza o gul kahan se aae hain abr kya chiz hai hawa kya hai ... ... hum ko un se wafa ki hai ummid jo nahin jaante wafa kya hai from her i hope for constancy who knows it not, to my dismay han bhala kar tera bhala hoga aur darwesh ki sada kya hai good you do and goodness reap what else does the dervish say jaan tum par nisar karta hun main nahin jaanta dua kya hai to you i do bequeath my life i know not what it is to pray main ne mana ki kuchh nahin 'ghaalib' muft hath aae to bura kya hai ghalib's worthless i accept but if comes free then why delay?
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
More from Mirza Ghalib
hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Mirza Ghalib
0 likes
dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya
Mirza Ghalib
0 likes
dil laga kar lag gaya un ko bhi tanhaa baithna baare apni bekasi ki ham ne paai daad yaa hain zavaal-aamada ajzaa aafreenash ke tamaam mehr-e-gardoon hai charaagh-e-rahguzar-e-baad yaa hai tarhuhum-aafreen aaraish-e-be-daad yaa ashk-e-chashm-e-daam hai har daana-e-sayyaad yaa hai gudaaz-e-mom andaaz-e-chakeedan-ha-e-khoon neesh-e-zamboor-e-asl hai nashtar-e-fassaad yaa naa-gawaara hai ha men ehsaan-e-saahib-daulataan hai zar-e-gul bhi nazar men jauhar-e-faulaad yaa jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kaar vaa kam-tareen mazdoor-e-sangeen-dast hai farhaad yaa qatra-ha-e-khoon-e-bismil zeb-e-daamaan hain asad hai tamasha kardani gul-cheeni-e-jallaad yaa
Mirza Ghalib
1 likes
raftaar-e-umr qat-e-rah-e-iztiraab hai is saal ke hisaab ko barq aftaab hai meena-e-may hai sarv nashaat-e-bahaar se baal-e-tadarrav jalwa-e-mauj-e-sharaab hai zakhmi hua hai paashnaa pa-e-sabaat ka ne bhaagne ki goon na iqaamat ki taab hai jaadaad-e-baada-noshi-e-rindaan hai shash-jihat ghaafil gumaan kare hai ki geeti KHaraab hai naz zaraa kya hareef ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqaab hai main na-muraad dil ki tasalli ko kya karoon maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se qaasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai zaahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki garz jo daana daam men hai so ashk-e-kabaab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-laala-zaar ya'ni ye har varq warq-e-intikhaab hai
Mirza Ghalib
1 likes
koh ke hon baar-e-khaatir gar sadaa ho jaaie be-takalluf ai sharaar-e-jasta kya ho jaaie beza-aasa nang-e-baal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar rihaa ho jaaie wus'at-e-mashrab niyaaz-e-kulfat-e-vahshat asad yak-bayaabaan saaya-e-baal-e-huma ho jaaie
Mirza Ghalib
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mirza Ghalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.







