ghazalKuch Alfaaz

dil ko darun-e-khana hi bahlao ghar raho tum ko qasam hai bhiid men mat jaao ghar raho zinda rahe to yaar bahut mahfilen bahut filhal mere anjuman-arao! ghar raho maana ki iid milna bhi dastur hai magar sinon se lag ke maut na phailao ghar raho chaukhat na paar karna ki bahar hai qatl-e-am galiyon men chal rahi hai ajal daav ghar raho mahbub ko bhi le ke maroge tum apne saath gar ishq hai to ishq na jatlao ghar raho dariya-e-khun hai qariya-o-bazar men ravan tah kar ke rakh do yaaro abhi naav ghar raho ik mufti-e-sakhi ka hai fatva ki thiik hai ghar rah ke chahe mai hi piye jaao ghar raho faris! hamen bhi shauq-e-mulaqat hai magar puure karenge baad men sab chaav ghar raho dil ko darun-e-khana hi bahlao ghar raho tum ko qasam hai bhid mein mat jao ghar raho zinda rahe to yar bahut mahfilen bahut filhaal mere anjuman-arao! ghar raho mana ki id milna bhi dastur hai magar sinon se lag ke maut na phailao ghar raho chaukhat na par karna ki bahar hai qatl-e-am galiyon mein chal rahi hai ajal daw ghar raho mahbub ko bhi le ke maroge tum apne sath gar ishq hai to ishq na jatlao ghar raho dariya-e-khun hai qariya-o-bazar mein rawan tah kar ke rakh do yaro abhi naw ghar raho ek mufti-e-sakhi ka hai fatwa ki thik hai ghar rah ke chahe mai hi piye jao ghar raho faris! hamein bhi shauq-e-mulaqat hai magar pure karenge baad mein sab chaw ghar raho

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Rehman Faris

yahii dua hai yahii hai salaam ishq ba-khair mire s abhii rufqa-e-kiraam ishq ba-khair dayaar-e-hijr ki sooni udaas galiyon men pukaarta hai koi subh-o-shaam ishq ba-khair main kar raha tha dua ki guzaarishein us se so kah gaii hai udaasi ki shaam ishq ba-khair bade ajeeb hain shahr-e-junoon ke baashinde hamesha kahte hain ba'd-az-salaam ishq ba-khair ye rah zaroor tumhaare hi ghar ko jaati hai likha hua hai yahaañ gaam gaam ishq ba-khair bayaan ki hai ghazal-waar daastaan-e-ishq so is kitaab ka rakha hai naam ishq ba-khair ufuq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi abhii mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair

Rehman Faris

2 likes

mujhe garz hai sitaare na mahtaab ke saath chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam nibha rahe ho ta'alluq bade hisaab ke saath main is li.e nahin thakta tire ta'aqub se mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun sawaal khatm nahin hogaa is javaab ke saath KHamosh jheel ke paani men vo udaasi thii ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath jata diya ki mohabbat men gham bhi hote hain diya gulaab to kaañte bhi the gulaab ke saath main le udoonga tire khadd-o-khaal se ta'beerna dekh mirii taraf chashm-e-neem-khwaab ke saath are ye sirf bahaana hai baat karne ka mirii majaal ki jhagda karoon janab ke saath visaal-o-hijr ki sarhad pe jhut-pute men kahii vo be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath shikasta aaina dekha phir apna dil dekha dikhaai dii mujhe taa'beer-e-KHvaab KHvaab ke saath vahaañ miloonga jahaan dono vaqt milte hain main kam-naseeb tire jaise kaamyaab ke saath dayaar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain ki roza khole tire aur sharaab-e-naab ke saath tum achchhii dost ho so meraa mashwara ye hai mila-jula na karo faaris'-e-kharaab ke saath

Rehman Faris

4 likes

sar-b-sar yaar ki marzi pe fida ho jaana kya ghazab kaam hai raazi-b-raza ho jaana band aankhoñ vo chale aayen to vaa ho jaana aur yuñ phoot ke rona ki fana ho jaana ishq men kaam nahin zor-zabardasti ka jab bhi tum chaaho juda hona juda ho jaana teri jaanib hai b-tadreej tarqqi mirii mire hone ki hai me'raaj tira ho jaana tere aane ki basharat ke siva kuchh bhi nahin baagh men sukhe darakhton ka haraa ho jaana ik nishaani hai kisi shahar ki barbaa dii ki naarwa baat ka yak-lakht rawa ho jaana tang aa jaaun mohabbat se to gahe gahe achha lagta hai mujhe teraa KHafaa ho jaana si diye jaayen mire hont to ai jaan-e-ghazal aisa karna mirii aankhoñ se ada ho jaana be-niyaazi bhi vahii aur ta'alluq bhi vahii tumhein aata hai mohabbat men KHuda ho jaana azdaha ban ke rag-o-pai ko jakad leta hai itnaa aasaan nahin gham se rihaa ho jaana achchhe achhon pe bure din hain lihaaza faaris achchhe hone se to achha hai bura ho jaana

Rehman Faris

2 likes

raat aa baithi hai pahluu men sitaaro takhliya ab ha men darkaar hai khilwat so yaaro takhliya aankh vaa hai aur husn-e-yaar hai peshe-e-nazar shash-jihat ke baqi-maanda sab nazaaro takhliya dekhne vaala tha manzar jab kaha darvesh ne kaj-kulaaho baadshaaho taaj-daaro takhliya gham se ab hogii barah-e-raast meri guftugoo dosto teemaar-daaro gham-gusaaro takhliya chaar jaanib hai hujoom-e-na-shanaayaan-e-sukhan aaj poore zor se faaris pukaaro takhliya

Rehman Faris

2 likes

KHaak udti hai raat-bhar mujh men kaun firta hai dar-b-dar mujh men mujh ko KHud men jagah nahin milti tu hai maujood is qadar mujh men mausam-e-giriya ek guzarish hai gham ke pakne talak thehar mujh men be-ghari ab mira muqaddar hai ishq ne kar liya hai ghar mujh men aap ka dhyaan KHoon ke maanind daudta hai idhar-udhar mujh men hausla ho to baat ban jaa.e hausla hi nahin magar mujh men

Rehman Faris

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rehman Faris.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rehman Faris's ghazal.