KHaak udti hai raat-bhar mujh men kaun firta hai dar-b-dar mujh men mujh ko KHud men jagah nahin milti tu hai maujood is qadar mujh men mausam-e-giriya ek guzarish hai gham ke pakne talak thehar mujh men be-ghari ab mira muqaddar hai ishq ne kar liya hai ghar mujh men aap ka dhyaan KHoon ke maanind daudta hai idhar-udhar mujh men hausla ho to baat ban jaa.e hausla hi nahin magar mujh men
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa
Zubair Ali Tabish
102 likes
More from Rehman Faris
yahii dua hai yahii hai salaam ishq ba-khair mire s abhii rufqa-e-kiraam ishq ba-khair dayaar-e-hijr ki sooni udaas galiyon men pukaarta hai koi subh-o-shaam ishq ba-khair main kar raha tha dua ki guzaarishein us se so kah gaii hai udaasi ki shaam ishq ba-khair bade ajeeb hain shahr-e-junoon ke baashinde hamesha kahte hain ba'd-az-salaam ishq ba-khair ye rah zaroor tumhaare hi ghar ko jaati hai likha hua hai yahaañ gaam gaam ishq ba-khair bayaan ki hai ghazal-waar daastaan-e-ishq so is kitaab ka rakha hai naam ishq ba-khair ufuq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi abhii mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair
Rehman Faris
2 likes
raat aa baithi hai pahluu men sitaaro takhliya ab ha men darkaar hai khilwat so yaaro takhliya aankh vaa hai aur husn-e-yaar hai peshe-e-nazar shash-jihat ke baqi-maanda sab nazaaro takhliya dekhne vaala tha manzar jab kaha darvesh ne kaj-kulaaho baadshaaho taaj-daaro takhliya gham se ab hogii barah-e-raast meri guftugoo dosto teemaar-daaro gham-gusaaro takhliya chaar jaanib hai hujoom-e-na-shanaayaan-e-sukhan aaj poore zor se faaris pukaaro takhliya
Rehman Faris
2 likes
main kaar-aamad hooñ ya be-kaar hooñ main magar ai yaar teraa yaar hooñ main jo dekha hai kisi ko mat bataana ilaaqe bhar men izzat-daar hooñ main KHud apni zaat ke armaaye men bhi sifar feesad ka hisse-daar hooñ main aur ab kyun bein karte aa ga.e hon kaha tha na bahut beemaar hooñ main mirii to saari duniya bas tumhi ho galat kya hai jo duniya-daar hooñ main kahaanii men jo hota hi nahin hai kahaanii ka vahii kirdaar hooñ main ye tay karta hai dastak dene vaala kahaan dar hooñ kahaan deewaar hooñ main koi samjhaaye mere dushmanon ko zaraa si dosti ki maar hooñ main mujhe patthar samajh kar pesh mat aa zaraa sa rahm kar jaan-daar hooñ main bas itnaa soch kar kijeye koi hukm badaa munh-zor khidmat-gaar hooñ main koi shak hai to be-shak aazma le tira hone ka da'we-daar hooñ main agar har haal men KHush rahna fan hai to phir sab se badaa fankaar hooñ main zamaana to mujhe kahtaa hai faaris magar faaris ka parda-daar hooñ main unhen khilna sikhaata hooñ main faaris gulaabon ka suhoolat-kaar hooñ main
Rehman Faris
5 likes
mujhe garz hai sitaare na mahtaab ke saath chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam nibha rahe ho ta'alluq bade hisaab ke saath main is li.e nahin thakta tire ta'aqub se mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun sawaal khatm nahin hogaa is javaab ke saath KHamosh jheel ke paani men vo udaasi thii ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath jata diya ki mohabbat men gham bhi hote hain diya gulaab to kaañte bhi the gulaab ke saath main le udoonga tire khadd-o-khaal se ta'beerna dekh mirii taraf chashm-e-neem-khwaab ke saath are ye sirf bahaana hai baat karne ka mirii majaal ki jhagda karoon janab ke saath visaal-o-hijr ki sarhad pe jhut-pute men kahii vo be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath shikasta aaina dekha phir apna dil dekha dikhaai dii mujhe taa'beer-e-KHvaab KHvaab ke saath vahaañ miloonga jahaan dono vaqt milte hain main kam-naseeb tire jaise kaamyaab ke saath dayaar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain ki roza khole tire aur sharaab-e-naab ke saath tum achchhii dost ho so meraa mashwara ye hai mila-jula na karo faaris'-e-kharaab ke saath
Rehman Faris
4 likes
vida-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh men main KHud to zinda raha vaqt mar gaya mujh men sukoot-e-shaam men cheekhen sunaai deti hain tu jaate jaate ajab shor bhar gaya mujh men vo pahle sirf mirii aankh men samaaya tha phir ek roz ragon tak utar gaya mujh men kuchh aise dhyaan men chehra tira tuluua' hua ghuboob-e-shaam ka manzar nikhar gaya mujh men main us ki zaat se munkir tha aur phir ik din vo apne hone ka elaan kar gaya mujh men khandar samajh ke mirii sair karne aaya tha gaya to mausam-e-gham phool dhar gaya mujh men gali men goonji KHamoshii ki cheekh raat ke vaqt tumhaari yaad ka bachcha sa dar gaya mujh men bataa main kya karoon dil naam ke is aangan ka tiri umeed pe jo saj-sanwar gaya mujh men ye apne apne muqaddar ki baat hai faaris main is men simtaa raha vo bikhar gaya mujh men
Rehman Faris
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rehman Faris.
Similar Moods
More moods that pair well with Rehman Faris's ghazal.







