duniya men huun duniya ka talabgar nahin huun bazar se guzra huun kharidar nahin huun zinda huun magar ziist ki lazzat nahin baaqi har-chand ki huun hosh men hushyar nahin huun is khana-e-hasti se guzar jaunga be-laus saaya huun faqat naqsh-ba-divar nahin huun afsurda huun ibrat se dava ki nahin hajat ghham ka mujhe ye zoaf hai bimar nahin huun vo gul huun khizan ne jise barbad kiya hai uljhun kisi daman se main vo khaar nahin huun ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se main us ki inayat ka talabgar nahin huun go dava-e-taqva nahin dargah-e-khuda men but jis se hon khush aisa gunahgar nahin huun afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar' kafir ke muqabil men bhi din-dar nahin huun duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun bazar se guzra hun kharidar nahin hun zinda hun magar zist ki lazzat nahin baqi har-chand ki hun hosh mein hushyar nahin hun is khana-e-hasti se guzar jaunga be-laus saya hun faqat naqsh-ba-diwar nahin hun afsurda hun ibrat se dawa ki nahin hajat gham ka mujhe ye zoaf hai bimar nahin hun wo gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai uljhun kisi daman se main wo khar nahin hun ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se main us ki inayat ka talabgar nahin hun go dawa-e-taqwa nahin dargah-e-khuda mein but jis se hon khush aisa gunahgar nahin hun afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar' kafir ke muqabil mein bhi din-dar nahin hun
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Akbar Allahabadi
zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge
Akbar Allahabadi
2 likes
apni girah se kuchh na mujhe aap deejie akhbaar men to naam mira chaap deejie dekho jise vo pioneer office men hai data bahr-e-khuda mujhe bhi kahii chaap deejie chashm-e-jahaan se haalat-e-asli chhupi nahin akhbaar men jo chahiye vo chaap deejie daava bahut badaa hai riyaazi men aap ko tool-e-shab-e-firaq ko to naap deejie sunte nahin hain shaikh nayi raushni ki baat engine ki un ke kaan men ab bhaap deejie is but ke dar pe gair se akbar ne kah diya zar hi main dene laaya hooñ jaan aap deejie
Akbar Allahabadi
0 likes
ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota jalwa na ho maani ka to soorat ka asar kya bulbul gul-e-tasveer ka shaida nahin hota allah bach aa.e marz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye aariza achha nahin hota tashbeeh tire chehre ko kya doon gul-e-tar se hota hai shagufta magar itnaa nahin hota main naz'a men hooñ aayen to ehsaan hai un ka lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
Akbar Allahabadi
1 likes
tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai
Akbar Allahabadi
0 likes
phir gaii aap ki do din men tabi'at kaisi ye vafaa kaisi thii sahab ye muravvat kaisi dost ahbaab se hañs bol ke kat jaayegi raat rind-e-aazaad hain ham ko shab-e-furqat kaisi jis haseen se hui ulfat vahii maashooq apna ishq kis cheez ko kahte hain tabi'at kaisi hai jo qismat men vahii hogaa na kuchh kam na siva aarzoo kahte hain kis cheez ko hasrat kaisi haal khulta nahin kuchh dil ke dhadkane ka mujhe aaj rah rah ke bhar aati hai tabi'at kaisi koocha-e-yaar men jaata to nazaara karta qais aawaara hai jungle men ye vehshat kaisi
Akbar Allahabadi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Akbar Allahabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.







