ik parinda abhii udaan men hai teer har shaKHs ki kamaan men hai jis ko dekho vahii hai chup chup sa jaise har shaKHs imtihaan men hai kho chuke ham yaqeen jaisi shay tu abhii tak kisi gumaan men hai zindagi sang-dil sahi lekin aaina bhi isee chataan men hai sar-bulan dii naseeb ho kaise sar-nigoon hai ki saayebaan men hai khauf hi khauf jaagte sote koi aaseb is makaan men hai aasraa dil ko ik umeed ka hai ye hawa kab se baadbaan men hai KHud ko paaya na umr bhar ham ne kaun hai jo hamaare dhyaan men hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Ameer Qazalbash
fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhaai hai zindagi kitne hawadis se guzar aayi hai log jis haal men marne ki dua karte hain main ne us haal men jeene ki qasam khaai hai ham na suqraat na mansoor na iisa lekin jo bhi qaateel hai hamaara hi tamannaai hai zindagi aur hain kitne tire chehre ye bataa tujh se ik umr ki haalaanki shanaasaai hai kaun na-waaqif-e-anjaam-e-tabassum hai ameer mere haalaat pe ye kis ko hañsi aayi hai
Ameer Qazalbash
2 likes
har gaam haadsa hai thehar jaaie janab rastaa agar ho yaad to ghar jaaie janab zinda haqeeqaton ke talaatum hain saamne KHvaabon ki kashtiyon se utar jaaie janab insaaf ki saleeb hooñ sacchaaiyon ka zahar mujh se mile baghair guzar jaaie janab din ka safar to kat gaya suraj ke saath saath ab shab ki anjuman men bikhar jaaie janab koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqaad mimbar ki seedhiyon se utar jaaie janab
Ameer Qazalbash
2 likes
paai har ek raah-guzar par udaasiyaan nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan khwaabida shahar jaagne vaala hai laut aao bai thii hui hain shaam se ghar par udaasiyaan main khauf se larzata raha padh nahin sakaa phaili hui theen ek khabar par udaasiyaan suraj ke haath sabz qabaon tak aa ga.e ab hain yahaañ har ek shajar par udaasiyaan apne bhi khatt-o-khaal nigaahon men ab nahin is tarah chha gaii hain nazar par udaasiyaan faila raha hai kaun kabhi sochta hooñ main KHvaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan sab log ban ga.e hain agar ajnabi to kya chhod aayengi mujhe mire dar par udaasiyaan
Ameer Qazalbash
0 likes
khauf ban kar ye khayal aata hai akshar mujh ko dasht kar jaayega ik roz samundar mujh ko main saraapa hooñ khabar-naama-e-imroz-e-jahaan kal bhula de na ye duniya kahii padh kar mujh ko har nafs mujh men taghayyur ki hawaaye larzaan murtasim kar na sakaa koi bhi manzar mujh ko apne saahil pe main KHud tishna-dahan baitha hooñ dekh dariyaa ki taraai se nikal kar mujh ko mire saa.e men bhi mujh ko nahin rahne dega mire hi ghar men rakhega koi be-ghar mujh ko kaargar koi bhi tadbeer na hone dega kya muqaddar hai ki le jaayega dar-dar mujh ko kaam aayegi na bedaar-nigaahi bhi ameer KHvaab kah jaayega ik din mira paikar mujh ko
Ameer Qazalbash
0 likes
vo sar-firi hawa thii sambhalna pada mujhe main aakhiri charaaghh tha jalnaa pada mujhe mehsoos kar raha tha use apne aas paas apna khayal KHud hi badalna pada mujhe suraj ne chhupte chhupte ujaagar kiya to tha lekin tamaam raat pighalna pada mujhe mauzoo-e-guftugoo thii mirii KHaamushi kahii jo zahar pee chuka tha ugalnaa pada mujhe kuchh door tak to jaise koi mere saath tha phir apne saath aap hi chalna pada mujhe
Ameer Qazalbash
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Qazalbash.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Qazalbash's ghazal.







