ghazalKuch Alfaaz

falak se chand sitaron se jaam lena hai mujhe sahar se nai ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghhazal samajhte hain khuda ke samne kafir ka naam lena hai muamla hai tira badtarin dushman se mire aziiz mohabbat se kaam lena hai mahakti zulfon se khushbu chamakti aankh se dhuup shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai tumhari chaal ki ahistagi ke lahje men sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jaata mujhe khuda se ghhazal ka kalam lena hai bade saliqe se noton men us ko tulva kar amir-e-shahr se ab intiqam lena hai falak se chand sitaron se jam lena hai mujhe sahar se nai ek sham lena hai kise khabar ki farishte ghazal samajhte hain khuda ke samne kafir ka nam lena hai muamla hai tera badtarin dushman se mere aziz mohabbat se kaam lena hai mahakti zulfon se khushbu chamakti aankh se dhup shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lahje mein sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jata mujhe khuda se ghazal ka kalam lena hai bade saliqe se noton mein us ko tulwa kar amir-e-shahr se ab intiqam lena hai

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

More from Bashir Badr

maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha

Bashir Badr

1 likes

mirii nazar men KHaak tere aaine pe gard hai ye chaand kitna zard hai ye raat kitnii sard hai kabhi kabhi to yuñ laga ki ham sabhi masheen hain tamaam shahar men na koi zan na koi mard hai KHuda ki nazmon ki kitaab saari kaayenaat hai ghazal ke she'r ki tarah har ek fard fard hai hayaat aaj bhi kaneez hai huzoor-e-jabr men jo zindagi ko jeet le vo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayaat kah ke palkon par rakhoon agar mujhe yaqeen ho ye raaste ki gard hai vo jin ke zikr se ragon men daudti theen bijliyaan unhin ka haath ham ne choo ke dekha kitna sard hai

Bashir Badr

2 likes

agar yaqeen nahin aata to aazm aa.e mujhe vo aaina hai to phir aaina dikh aa.e mujhe ajab charaaghh hooñ din raat jalta rehta hooñ main thak gaya hooñ hawa se kaho buj aa.e mujhe main jis ki aankh ka aañsu tha us ne qadr na ki bikhar gaya hooñ to ab ret se uth aa.e mujhe bahut dinon se main in pattharon men patthar hooñ koi to aa.e zaraa der ko rul aa.e mujhe main chahta hooñ ki tum hi mujhe ijaazat do tumhaari tarah se koi gale lag aa.e mujhe

Bashir Badr

9 likes

KHoon patton pe jama ho jaise phool ka rang haraa ho jaise baarha ye ha men mehsoos hua dard seene ka KHuda ho jaise yuñ taras kha ke na poochho ahvaal teer seene pe laga ho jaise phool ki aankh men shabnam kyun hai sab hamaari hi KHataa ho jaise kirchen chubhti hain bahut seene men aaina toot gaya ho jaise sab ha men dekhne aate hain magar neend aankhoñ se KHafaa ho jaise ab charaaghon ki zaroorat bhi nahin chaand is dil men chhupa ho jaise

Bashir Badr

1 likes

chamak rahi hai paron men udaan ki KHushboo bula rahi hai bahut aasmaan ki KHushboo bhatk rahi hai puraani dulaaiyaan odhe haveliyon men mire khaandaan ki KHushboo suna ke koi kahaanii ha men sulaati thii duaon jaisi bade paan-daan ki KHushboo daba tha phool koi mez-posh ke neeche garaj rahi thii bahut pechvaan ki KHushboo ajab vaqaar tha sukhe sunhare baalon men udaasiyon ki chamak zard lawn ki KHushboo vo itr-daan sa lahjaa mire buzurgon ka rachi-basi hui urdu zabaan ki KHushboo ghazal ki shaakh pe ik phool khilne vaala hai badan se aane lagii zaafaraan ki KHushboo imaarton ki bulan dii pe koi mausam kya kahaan se aa gaii kacche makaan ki KHushboo gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah pahaadiyon se utarti azaan ki KHushboo

Bashir Badr

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.