ghazalKuch Alfaaz

falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin dor ko suljhaa raha hai aur sira milta nahin maarifat khaaliq ki aalam men bahut dushwaar hai shehr-e-tan men jab ki KHud apna pata milta nahin ghaafiloon ke lutf ko kaafi hai duniyaavi khushi aqiloon ko be-gham-e-uqba mazaa milta nahin kashti-e-dil ki ilaahi bahr-e-hasti men ho khairnaKHuda milte hain lekin ba-khuda milta nahin ghaafiloon ko kya sunaau daastaan-e-ishq-e-yaar sunne waale milte hain dard-aashna milta nahin zindagaani ka mazaa milta tha jin ki bazm men un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin sirf zaahir ho gaya sarmaaya-e-zeb-o-safa kya ta'ajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin pukhta tabon par hawadis ka nahin hota asar kohsaaron men nishaan-e-naqsh-e-paa milta nahin shaikh-saahib brahman se laakh barten dosti be-bhajan gaaye to mandir se tika milta nahin jis pe dil aaya hai vo sheerin-ada milta nahin zindagi hai talkh jeene ka mazaa milta nahin log kahte hain ki bad-naami se bachna chahiye kah do be us ke jawaani ka mazaa milta nahin ahl-e-zaahir jis qadar chahein karen bahs-o-jidaal main ye samjha hooñ khu dii men to KHuda milta nahin chal base vo din ki yaaron se bharii thii anjuman haaye afsos aaj soorat-aashna milta nahin manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ejaaz hai shah sab baste hain yaa koi gada milta nahin baar takleefon ka mujh par baar-e-ehsaan se hai sahal shukr ki ja hai agar haajat-rava milta nahin chaandni raatein bahaar apni dikhaati hain to kya be tire mujh ko to lutf ai mahlaqa milta nahin maani-e-dil ka kare izhaar akbar kis tarah lafz mauzoon bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Akbar Allahabadi

tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar boo-e-khoon naa men se aa.e usii jallaad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo ha men bhoola hua hai kahooñ kya haal agli ishraton ka vo tha ik KHvaab jo bhoola hua hai jafaa ho ya vafaa ham sab men KHush hain karen kya ab to dil atka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr humeen se aap ka shohra hua hai buton par rahtii hai maail hamesha tabeeyat ko khudaaya kya hua hai pareshaan rahte ho din raat akbar ye kis ki zulf ka sauda hua hai

Akbar Allahabadi

0 likes

hangaama hai kya barpa thodii si jo pee li hai daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajarba-kaari se wa'iz ki ye hain baatein is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai us may se nahin matlab dil jis se hai begaana maqsood hai us may se dil hi men jo khinchti hai waan dil men ki sad men do yaa jee men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai meraa bhi ajab jee hai har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se har saans ye kahti hai ham hain to KHuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karish men hain but ham ko kahein kaafir allah ki marzi hai sach kahte hain shaikh akbar hai taat-e-haq laazim haan tark-e-may-o-shaahid ye un ki buzurgi hai

Akbar Allahabadi

1 likes

zid hai unhen poora mira armaan na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki wallaah pareshaan na karenge hai zehan men ik baat tumhaare mutalliq khilwat men jo poochoge to pinhaan na karenge waiz to banaate hain musalmaan ko kaafir afsos ye kaafir ko musalmaan na karenge kyun shukr-guzaari ka mujhe shauq hai itnaa sunta hooñ vo mujh par koi ehsaan na karenge deewaana na samjhe ha men vo samjhe sharaabi ab chaak kabhi jeb o garebaan na karenge vo jaante hain gair mire ghar men hai mehmaan aayenge to mujh par koi ehsaan na karenge

Akbar Allahabadi

2 likes

har qadam kahtaa hai tu aaya hai jaane ke li.e manzil-e-hasti nahin hai dil lagaane ke li.e kya mujhe KHush aa.e ye hairat-sara-e-be-sabaat hosh udne ke li.e hai jaan jaane ke li.e dil ne dekha hai bisaat-e-quwwat-e-idraak ko kya badhe is bazm men aañkhen uthaane ke li.e khoob ummeedein bandhein lekin hui hirmaan naseeb badliyaan uthhiin magar bijli girane ke li.e saans ki tarkeeb par miTTi ko pyaar aa hi gaya KHud hui qaid us ko seene se lagaane ke li.e jab kaha main ne bhula do gair ko hañs kar kaha yaad phir mujh ko dilaana bhool jaane ke li.e deeda-baazi vo kahaan aañkhen raha karti hain band jaan hi baaki nahin ab dil lagaane ke li.e mujh ko KHush aayi hai masti shaikh jee ko farbahee main hooñ peene ke li.e aur vo hain khaane ke li.e allah allah ke siva aaKHir raha kuchh bhi na yaad jo kiya tha yaad sab tha bhool jaane ke li.e sur kahaan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-saamaeen josh-e-dil kaafi hai akbar taan udaane ke li.e

Akbar Allahabadi

2 likes

kahaan le jaaun dil dono jahaan men iski mushkil hai yahaañ pariyon ka majma hai vahaañ huroon ki mehfil hai ilaahi kaisi-kaisi sooraten tune banaai hain har soorat kaleje se laga lene ke qaabil hai ye dil lete hi sheeshe ki tarah patthar pe de maara main kahtaa rah gaya zalim meraa dil hai meraa dil hai jo dekha aks aaiine men apna bole jhunjhlaakar are tu kaun hai hat saamne se kyuuñ muqaabil hai hazaaron dil masal kar paavon se jhunjhla ke farmaaya lo pehchaano tumhaara in dilon men kaun sa dil hai

Akbar Allahabadi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Akbar Allahabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Akbar Allahabadi's ghazal.