ghazalKuch Alfaaz

ghar se ye soch ke niklaa hooñ ki mar jaana hai ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai jism se saath nibhaane ki mat ummeed rakho is musaafir ko to raaste men thehar jaana hai maut lamhe ki sadaa zindagi umron ki pukaar main yahii soch ke zinda hooñ ki mar jaana hai nashsha aisa tha ki may-khaane ko duniya samjha hosh aaya to khayal aaya ki ghar jaana hai mire jazbe ki badi qadr hai logon men magar mire jazbe ko mire saath hi mar jaana hai

Rahat Indori17 Likes

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

nahin aata kisi par dil hamaara vahii kashtii vahii saahil hamaara tere dar par karenge naukri ham teri galiyaan hain mustaqbil hamaara kabhi milta tha koi hotelon men kabhi bharta tha koi bill hamaara

Tehzeeb Hafi

83 likes

More from Rahat Indori

shajar hain ab samar-aasaar mere chale aate hain daavedaar mere muhaajir hain na ab ansaar mere mukhalif hain bahut is baar mere yahaañ ik boond ka muhtaaj hooñ main samundar hain samundar paar mere abhii murdon men roohen phoonk daalen agar chahein to ye beemaar mere hawaaein odh kar soya tha dushman ga.e bekar saare vaar mere main aa kar dushmanon men bas gaya hooñ yahaañ hamdard hain do-chaar mere hañsi men taal dena tha mujhe bhi KHataa kyun ho ga.e sarkaar mere tasavvur men na jaane kaun aaya mahak utthe dar-o-deewar mere tumhaara naam duniya jaanti hai bahut rusva hain ab ashaar mere bhanwar men ruk gaii hai naav meri kinaare rah ga.e is paar mere main KHud apni hifazat kar raha hooñ abhii soye hain pahre-daar mere

Rahat Indori

4 likes

chehron ki dhoop aankhoñ ki gehraai le gaya aaina saare shahar ki beenaai le gaya doobe hue jahaaz pe kya tabsira karen ye haadisa to soch ki gehraai le gaya haalaanki be-zabaan tha lekin ajeeb tha jo shaKHs mujh se cheen ke goyaai le gaya main aaj apne ghar se nikalne na paaooñga bas ik qamees thii jo mira bhaai le gaya ghalib tumhaare vaaste ab kuchh nahin raha galiyon ke saare sang to saudaai le gaya

Rahat Indori

19 likes

yuñ sadaa dete hue tere khayal aate hain jaise ka'be ki khulii chat pe bilaal aate hain roz ham ashkon se dho aate hain deewar-e-haram pagadiyaan roz farishton ki uchaal aate hain haath abhii peeche bandhe rahte hain chup rahte hain dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain chaand suraj mirii chaukhat pe kaii sadiyon se roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain be-hisi murda-dili raqs sharaaben nag men bas isee raah se qaumon pe zawaal aate hain

Rahat Indori

3 likes

hausale zindagi ke dekhte hain chaliye kuchh roz jee ke dekhte hain neend pichhli sadi ki zaKHmi hai KHvaab agli sadi ke dekhte hain roz ham ik andheri dhund ke paar qafile raushni ke dekhte hain dhoop itni karahati kyun hai chaanv ke zakham si ke dekhte hain tuktuki baandh li hai aankhoñ ne raaste waapsi ke dekhte hain paaniyon se to pyaas bujhti nahin aaiye zahar pee ke dekhte hain

Rahat Indori

7 likes

jo mansabon ke pu jaarii pahan ke aate hain kulaah tauq se bhari pahan ke aate hain ameer-e-shahr tiri tarah qeemti poshaak mirii gali men bhikaari pahan ke aate hain yahii aqeeq the shahon ke taaj ki zeenat jo ungliyon men madaari pahan ke aate hain hamaare jism ke daaghoon pe tabsira karne qameesen log hamaari pahan ke aate hain ibaadaton ka tahaffuz bhi un ke zim men hai jo masjidoon men safari pahan ke aate hain

Rahat Indori

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rahat Indori.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.