ham bahar haal dil o jaan se tumhare hote tum bhi ik-adh ghadi kaash hamare hote aks paani men mohabbat ke utare hote ham jo baithe hue dariya ke kinare hote jo mah o saal guzare hain bichhad kar ham ne vo mah o saal agar saath guzare hote kya abhi biich men divar koi baaqi hai kaun sa ghham hai bhala tum ko hamare hote aap to aap hain khaliq bhi hamara hota ham zarurat men kisi ko na pukare hote saath ahbab ke hasid bhi zaruri hain 'adim' ham sukhan apna sunate jahan saare hote hum bahar haal dil o jaan se tumhaare hote tum bhi ik-adh ghadi kash hamare hote aks pani mein mohabbat ke utare hote hum jo baithe hue dariya ke kinare hote jo mah o sal guzare hain bichhad kar hum ne wo mah o sal agar sath guzare hote kya abhi bich mein diwar koi baqi hai kaun sa gham hai bhala tum ko hamare hote aap to aap hain khaliq bhi hamara hota hum zarurat mein kisi ko na pukare hote sath ahbab ke hasid bhi zaruri hain 'adim' hum sukhan apna sunate jahan sare hote
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Adeem Hashmi
kisi jhooti vafaa se dil ko bahaana nahin aata mujhe ghar kaaghazi phoolon se mehkaana nahin aata main jo kuchh hooñ vahii kuchh hooñ jo zaahir hai vo baatin hai mujhe jhoote dar-o-deewar chamkaana nahin aata main dariyaa hooñ magar bahta hooñ main kohsaar kii jaanib mujhe duniya kii pasti men utar jaana nahin aata zar-o-maal-o-javahar le bhi aur thukra bhi saktaa hooñ koii dil pesh karta ho to thukraana nahin aata parinda jaanib-e-dana hamesha ud ke aata hai parinde kii taraf ud kar kabhi daana nahin aata agar sehra men hain to aap KHud aa.e hain sehra men kisi ke ghar to chal kar koii veeraana nahin aata hua hai jo sadaa us ko naseebon ka likha samjha adeem apne ki.e par mujh ko pachtana nahin aata
Adeem Hashmi
2 likes
tere li.e chale the ham tere li.e thehar ga.e tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar ga.e kat hi gaii judaai bhi kab ye hua ki mar ga.e tere bhi din guzar ga.e mere bhi din guzar ga.e tu bhi kuchh aur aur hai ham bhi kuchh aur aur hain jaane vo tu kidhar gaya jaane vo ham kidhar ga.e raahon men hi mile the ham raahen naseeb ban gaiin vo bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar ga.e vaqt hi judaai ka itnaa taveel ho gaya dil men tire visaal ke jitne the zaKHm bhar ga.e hota raha muqaabla paani ka aur pyaas ka sehra umad umad pade dariyaa bifar bifar ga.e vo bhi ghubaar-e-khwaab tha ham bhi ghubaar-e-khwaab the vo bhi kahiin bikhar gaya ham bhi kahiin bikhar ga.e koii kanaar-e-aabjoo baitha hua hai sar-nigoon kashtii kidhar chali gaii jaane kidhar bhanwar ga.e aaj bhi intizaar ka vaqt hunoot ho gaya aisa laga ki hashr tak saare hi pal thehar ga.e barish-e-wasl vo hui saara ghubaar dhul gaya vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar ga.e aab-e-muheet-e-ishq ka bahar ajeeb bahar hai taire to ghark ho ga.e doobe to paar kar ga.e itne qareeb ho ga.e apne raqeeb ho ga.e vo bhi adeem dar gaya ham bhi adeem dar ga.e us ke sulook par adeem apni hayaat-o-maut hai vo jo mila to jee uthe vo na mila to mar ga.e
Adeem Hashmi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Adeem Hashmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Adeem Hashmi's ghazal.







