ghazalKuch Alfaaz

ham ne khulne na diya be-sar-o-samani ko kahan le jaaen magar shahr ki virani ko sirf guftar se zakhmon ka rafu chahte hain ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko koi taqsim nai kar ke chala jaata hai jo bhi aata hai mire ghar ki nigahbani ko ab kahan jaun ki ghar men bhi huun dushman apna aur bahar mira dushman hai nigahbani ko be-hisi vo hai ki karta nahin insan mahsus apni hi ruuh men aai hui tughhyani ko aaj bhi us ko faraz aaj bhi aali hai vahi vahi sajda jo kare vaqt ki sultani ko aaj yusuf pe agar vaqt ye laae ho to kya kal tumhin takht bhi doge isi zindani ko subh khalne ki ho ya shaam bikhar jaane ki ham ne khushbu hi kiya apni pareshani ko vo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai jalva-e-husn kashish hai miri hairani ko kuza-e-harf men laaya huun tumhari khatir ruuh par utre hue ek ajab paani ko hum ne khulne na diya be-sar-o-samani ko kahan le jaen magar shahr ki virani ko sirf guftar se zakhmon ka rafu chahte hain ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko koi taqsim nai kar ke chala jata hai jo bhi aata hai mere ghar ki nigahbani ko ab kahan jaun ki ghar mein bhi hun dushman apna aur bahar mera dushman hai nigahbani ko be-hisi wo hai ki karta nahin insan mahsus apni hi ruh mein aai hui tughyani ko aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai wahi wahi sajda jo kare waqt ki sultani ko aaj yusuf pe agar waqt ye lae ho to kya kal tumhin takht bhi doge isi zindani ko subh khalne ki ho ya sham bikhar jaane ki hum ne khushbu hi kiya apni pareshani ko wo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai jalwa-e-husn kashish hai meri hairani ko kuza-e-harf mein laya hun tumhaari khatir ruh par utre hue ek ajab pani ko

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

More from Obaidullah Aleem

aziz itnaa hi rakho ki jee sambhal jaa.e ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaa.e mile hain yuñ to bahut aao ab milen yuñ bhi ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaa.e mohabbaton men ajab hai dilon ko dhadka sa ki jaane kaun kahaan raasta badal jaa.e zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar men rahe khosha vo umr jo KHvaabon hi men bahl jaa.e main vo charaaghh sar-e-rahguzar-e-duniya hooñ jo apni zaat ki tanhaaiyon men jal jaa.e har ek lahza yahii aarzoo yahii hasrat jo aag dil men hai vo she'r men bhi dhal jaa.e

Obaidullah Aleem

1 likes

hijr karte ya koi vasl guzaara karte ham bahr-haal basar KHvaab tumhaara karte ek aisi bhi ghadi ishq men aayi thii ki ham KHaak ko haath lagaate to sitaara karte ab to mil jaao ha men tum ki tumhaari khaatir itni door aa ga.e duniya se kinaara karte mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam aankh agar aaina hoti to nazaara karte ek chehre men to mumkin nahin itne chehre kis se karte jo koi ishq dobara karte jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke li.e phir koi aa.e yahaañ kaise gawara karte kaun rakhta hai andhere men diya aankh men KHvaab teri jaanib hi tire log ishaara karte zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan ham tire chehre se aaina sanwaara karte

Obaidullah Aleem

1 likes

vo raat be-panaah thii aur main gareeb tha vo jis ne ye charaaghh jalaya ajeeb tha vo raushni ki aankh uthaai nahin gaii kal mujh se meraa chaand bahut hi qareeb tha dekha mujhe to taba ravaan ho gaii mirii vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne vo yuñ bhi tha tabeeb vo yuñ bhi tabeeb tha har silsila tha us ka KHuda se mila hua chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan men naghma-sanj ajab andaleeb tha main bhi raha hooñ khalvat-e-jaanan men ek shaam ye KHvaab hai ya Vaaqaii main khush-naseeb tha harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab men KHud meraa tajurba hai vo be-had najeeb tha dekha hai us ko khilwat o jalvat men baar-ha vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleemus ko dikha na paao vo aisa habeeb tha

Obaidullah Aleem

0 likes

sahib-e-mehr-o-wafa arz-o-sama kyun chup hai ham pe to vaqt ke pahre hain KHuda kyun chup hai be-sabab gham men sulagna mirii aadat hi sahi saaz KHaamosh hai kyun shola-nava kyun chup hai phool to sahm ga.e dast-e-karam se dam-e-subh gungunaati hui aawaara saba kyun chup hai khatm hogaa na kabhi silsila-e-ahl-e-wafa soch ai daavar-e-maqtal ye fazaa kyun chup hai mujh pe taari hai rah-e-ishq ki aasooda thakan tujh pe kya guzri mire chaand bataa kyun chup hai jaanne waale to sab jaan ga.e honge aleem ek muddat se tira zehn-e-rasa kyun chup hai

Obaidullah Aleem

0 likes

koi dhun ho main tire geet hi g aa.e jaaun dard seene men uthe shor mach aa.e jaaun KHvaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam aur bas main isee mausam men nah aa.e jaaun tere hi rang utarte chale jaayen mujh men KHud ko likkhoon tiri tasveer ban aa.e jaaun jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaaun magar dil men bas aa.e jaaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai zindagi aa tujhe seene se lag aa.e jaaun yahii chehre mire hone ki gawaahi denge har naye harf men jaañ apni sam aa.e jaaun jaañ to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage koi awaaz diye jaa.e main aa.e jaaun shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayen dhoop men chaltaa rahoon s aa.e bichh aa.e jaaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mire bazm men aa hi gaya hooñ to sun aa.e jaaun

Obaidullah Aleem

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Obaidullah Aleem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Obaidullah Aleem's ghazal.