ghazalKuch Alfaaz

haath haathon men na de baat hi karta jaa.e hai bahut lamba safar yuñ to na dartaa jaa.e jee men thaanii hai ki jeena hai bahr-haal mujhe jis ko marna hai vo chup-chaap hi marta jaa.e KHud ko mazboot banaa rakhe pahaadon ki tarah ret ka aadmi andar se bikharta jaa.e surkh phoolon ka nahin zard udaasi ka sahi rang kuchh to mirii tasveer men bharta jaa.e mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare kab main kahtaa hooñ mujhe pyaar hi karta jaa.e ghar ki deewaar ko itnaa bhi tu ooncha na banaa teraa ham-saaya tire saa.e se dartaa jaa.e

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

More from Iftikhar Naseem

libaas-e-khaak sahi par kahii zaroor hooñ main bataa rahi hai chamak aankh ki ki noor hooñ main koi nahin jo mirii lau se raasta dekhe hawaa-e-tund bujha de tire huzoor hooñ main panaah deta nahin koi aur sayyaara bhatk raha hooñ khala men zameen se door hooñ main na ho giraa ke mujhe tu bhi KHaak men mil jaa.e mujhe gale se laga le tira ghuroor hooñ main nikal pada hooñ yoonhi itni barf-baari men badan ke garm lahu ka ajab suroor hooñ main saza bhi kaat chuka hooñ main jis KHataa ki naseem kise pukaaroon kahooñ is men be-qusoor hooñ main

Iftikhar Naseem

0 likes

apni majboori bataata raha ro kar mujh ko vo mila bhi to kisi aur ka ho kar mujh ko main KHuda to nahin jo us ko dikhaai na diya dhoondhta miraa pu jaarii kabhi kho kar mujh ko pa liya jis ne tah-e-aab bhi apna saahil mutmain tha miraa toofaan dubo kar mujh ko reg-e-saahil pe likhi vaqt ki tahreer hooñ main mauj aa.e to chali jaayegi dho kar mujh ko neend hi jaise koi kunj-e-amaan hai ab to chain milta hai bahut der se so kar mujh ko fasl-e-gul ho to nikale mujhe is barzakh se bhool jaa.e na tah-e-sang vo bo kar mujh ko

Iftikhar Naseem

2 likes

is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakho thak ga.e ho to mire kaandhe pe baazu rakho bhoolne paa.e na is dasht ki vehshat dil se shahar ke beech raho baagh men aahu rakho khushk ho jaayegi rote hue sehra ki tarah kuchh bacha kar bhi to is aankh men aañsu rakho raushni hogii to aa jaayega rah-rav dil kaus ki yaadon ke diye taq men har-soo rakho yaad aayegi tumhaari hi safar men us kous ke roomaal men ik achchhii si khushboo rakho ab vo mahboob nahin apna magar dost to haius se ye ek ta'alluq hi bahr-soo rakho

Iftikhar Naseem

0 likes

tamaam umr safar ka samar milega mujhe pas-e-ufuq hi kahii ab to ghar milega mujhe ye kis li.e main khala-dar-khala bhatkata hooñ vo kaun hai jo mira chaand par milega mujhe mila na jis ke li.e ghar ka narm garm sukoon yahiin kahii vo sar-e-rahguzar milega mujhe azaab ye hai ki tanhaa kategi umr tamaam safar ke baad koi hum-safar milega mujhe kahii dikhaai na de kaash chhodne vaala kahunga kya main use ab agar milega mujhe

Iftikhar Naseem

0 likes

KHud ko hujoom-e-dahr men khona pada mujhe jaise the log waisa hi hona pada mujhe dushman ko marte dekh ke logon ke saamne dil hañs raha tha aankh se rona pada mujhe kuchh is qadar the phool zameen par khile hue taaron ko aasmaan men bona pada mujhe aisi shikast thii ki kati ungliyon ke saath kaanton ka ek haar pirona pada mujhe kaari nahin tha vaar magar ek umr tak aab-e-namak se zakham ko dhona pada mujhe aasaan nahin hai likhna gham-e-dil ki waardaat apna qalam lahu men dubona pada mujhe itni taveel o sard shab-e-hijr thii naseem kitnii hi baar jaagna sona pada mujhe

Iftikhar Naseem

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Iftikhar Naseem.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Iftikhar Naseem's ghazal.