ham duniya se jab tang aaya karte hain apne saath ik shaam manaaya karte hain suraj ke us jaanib basne waale log akshar ham ko paas bulaayaa karte hain yoonhi KHud se rootha karte hain pahle der talak phir KHud ko manaaya karte hain chup rahte hain us ke saamne ja kar ham yuñ us ko chakh yaad dilaayaa karte hain neendon ke veeraan jazeera par har shab KHvaabon ka ik shahar basaaya karte hain in KHvaabon ki qeemat ham se pooch ki ham in ke sahaare umr bitaya karte hain ab to koi bhi door nahin to phir taimoor ham khat kis ke naam likhaaya karte hain
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain
Dagh Dehlvi
84 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
More from Taimur Hasan
vafaa ka zikr chhida tha ki raat beet gaii abhii to rang jama tha ki raat beet gaii mirii taraf chali aati hai neend KHvaab li.e abhii ye muzda suna tha ki raat beet gaii main raat zeest ka qissa sunaane baith gaya abhii shuruat kiya tha ki raat beet gaii yahaañ to chaaron taraf ab talak andhera hai kisi ne mujh se kaha tha ki raat beet gaii ye kya tilism ye pal bhar men raat aa bhi gaii abhii to main ne suna tha ki raat beet gaii shab aaj ki vo mire naam karne vaala hai ye inkishaaf hua tha ki raat beet gaii naved-e-subh jo sab ko sunaata firta tha vo mujh se pooch raha tha ki raat beet gaii uthe the haath dua ke li.e ki raat kate dua men aisa bhi kya tha ki raat beet gaii khushi zaroor thii taimoor din nikalne ki magar ye gham bhi siva tha ki raat beet gaii
Taimur Hasan
0 likes
vo kam-sukhan na tha par baat soch kar karta yahii saleeqa use sab men mo'tabar karta na jaane kitnii galat-fahmiyaan janam letiin main asl baat se pahlu-tahi agar karta main sochta hooñ kahaan baat is qadar badhti agar main tere ravayye se dar-guzar karta mira adoo to tha ilm-ul-kalaam ka maahir mire KHilaaf zamaane ko bol kar karta akelaa jang ladi jeet li to sab ne kaha pahunchte ham bhi agar tu ha men khabar karta mirii bhi chaanv na hoti agar tumhaari tarah main inhisaar buzurgon ke saa.e par karta safar men hoti hai pahchaan kaun kaisa hai ye aarzoo thii mire saath tu safar karta ga.e dinon men ye maamool tha mira taimoor ziyaada vaqt main ik KHvaab men basar karta
Taimur Hasan
0 likes
Tujhe zindagi ka shauur tha tera kya bana
Taimur Hasan
5 likes
nahin udaaunga KHaak roya nahin karunga karunga main ishq par tamasha nahin karunga mirii mohabbat bhi khaas hai kyunki khaas hooñ main so aam logon men zikr is ka nahin karunga use batao firaar ka naam to nahin ishqjo kah raha hai main kaar-e-duniya nahin karunga kabhi na socha tha guftugoo bhi karunga ghanton aur apni baaton men zikr teraa nahin karunga iraadtan jo kiya hai ab tak galat kiya hai so ab koi kaam bil-iraada nahin karunga tujhe main apna nahin samajhta isee li.e to zamaane tujh se main koi shikwa nahin karunga mirii tavajjoh faqat mire kaam par rahegi main KHud ko saabit karunga daava nahin karunga agar main haara to maan loonga shikast apni tiri tarah se koi bahaana nahin karunga agar kisi maslahat men peeche hata hooñ taimoor to mat samajhna ki ab main hamla nahin karunga
Taimur Hasan
0 likes
moti nahin hooñ ret ka zarra to main bhi hooñ dariyaa tire vujood ka hissa to main bhi hooñ ai qahqahe bikherne waale tu KHush bhi hai hansne ki baat chhod ki hansta to main bhi hooñ mujh men aur us men sirf muqaddar ka farq hai warna vo shaKHs jitna hai utna to main bhi hooñ us ki tu soch duniya men jis ka koi nahin tu kis li.e udaas hai teraa to main bhi hooñ ik ek kar ke doobte taare bujha ga.e mujh ko bhi doobna hai sitaara to main bhi hooñ ik aaine men dekh ke aaya hai ye khayal main kyun na us se kah doon ki tujh sa to main bhi hooñ
Taimur Hasan
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Taimur Hasan.
Similar Moods
More moods that pair well with Taimur Hasan's ghazal.







