ghazalKuch Alfaaz

vo kam-sukhan na tha par baat soch kar karta yahii saleeqa use sab men mo'tabar karta na jaane kitnii galat-fahmiyaan janam letiin main asl baat se pahlu-tahi agar karta main sochta hooñ kahaan baat is qadar badhti agar main tere ravayye se dar-guzar karta mira adoo to tha ilm-ul-kalaam ka maahir mire KHilaaf zamaane ko bol kar karta akelaa jang ladi jeet li to sab ne kaha pahunchte ham bhi agar tu ha men khabar karta mirii bhi chaanv na hoti agar tumhaari tarah main inhisaar buzurgon ke saa.e par karta safar men hoti hai pahchaan kaun kaisa hai ye aarzoo thii mire saath tu safar karta ga.e dinon men ye maamool tha mira taimoor ziyaada vaqt main ik KHvaab men basar karta

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

More from Taimur Hasan

vafaa ka zikr chhida tha ki raat beet gaii abhii to rang jama tha ki raat beet gaii mirii taraf chali aati hai neend KHvaab li.e abhii ye muzda suna tha ki raat beet gaii main raat zeest ka qissa sunaane baith gaya abhii shuruat kiya tha ki raat beet gaii yahaañ to chaaron taraf ab talak andhera hai kisi ne mujh se kaha tha ki raat beet gaii ye kya tilism ye pal bhar men raat aa bhi gaii abhii to main ne suna tha ki raat beet gaii shab aaj ki vo mire naam karne vaala hai ye inkishaaf hua tha ki raat beet gaii naved-e-subh jo sab ko sunaata firta tha vo mujh se pooch raha tha ki raat beet gaii uthe the haath dua ke li.e ki raat kate dua men aisa bhi kya tha ki raat beet gaii khushi zaroor thii taimoor din nikalne ki magar ye gham bhi siva tha ki raat beet gaii

Taimur Hasan

0 likes

ham duniya se jab tang aaya karte hain apne saath ik shaam manaaya karte hain suraj ke us jaanib basne waale log akshar ham ko paas bulaayaa karte hain yoonhi KHud se rootha karte hain pahle der talak phir KHud ko manaaya karte hain chup rahte hain us ke saamne ja kar ham yuñ us ko chakh yaad dilaayaa karte hain neendon ke veeraan jazeera par har shab KHvaabon ka ik shahar basaaya karte hain in KHvaabon ki qeemat ham se pooch ki ham in ke sahaare umr bitaya karte hain ab to koi bhi door nahin to phir taimoor ham khat kis ke naam likhaaya karte hain

Taimur Hasan

0 likes

nahin udaaunga KHaak roya nahin karunga karunga main ishq par tamasha nahin karunga mirii mohabbat bhi khaas hai kyunki khaas hooñ main so aam logon men zikr is ka nahin karunga use batao firaar ka naam to nahin ishqjo kah raha hai main kaar-e-duniya nahin karunga kabhi na socha tha guftugoo bhi karunga ghanton aur apni baaton men zikr teraa nahin karunga iraadtan jo kiya hai ab tak galat kiya hai so ab koi kaam bil-iraada nahin karunga tujhe main apna nahin samajhta isee li.e to zamaane tujh se main koi shikwa nahin karunga mirii tavajjoh faqat mire kaam par rahegi main KHud ko saabit karunga daava nahin karunga agar main haara to maan loonga shikast apni tiri tarah se koi bahaana nahin karunga agar kisi maslahat men peeche hata hooñ taimoor to mat samajhna ki ab main hamla nahin karunga

Taimur Hasan

0 likes

Tujhe zindagi ka shauur tha tera kya bana

Taimur Hasan

5 likes

vo jo mumkin na ho mumkin ye banaa deta hai KHvaab dariyaa ke kinaaron ko mila deta hai zindagi bhar ki riyaazat mirii be-kaar gaii ik khayal aaya tha badle men vo kya deta hai ab mujhe lagta hai dushman mira apna chehra mujh se pahle ye mira haal bataa deta hai chand jumle vo ada karta hai aise dhab se mere afkaar ki buniyaad hila deta hai ye bhi ejaz-e-mohabbat hai ki rone vaala rote rote tujhe hansne ki dua deta hai zindagi jang hai aasaab ki aur ye bhi suno ishq aasaab ko mazboot banaa deta hai baithe baithe use kya hota hai jaane taimoor jalta cigarette vo hatheli pe bujha deta hai ye jahaan is li.e achha nahin lagta taimoor jab bhi deta hai mujhe teraa gilaa deta hai

Taimur Hasan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Taimur Hasan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Taimur Hasan's ghazal.