husn kab ishq ka mamnoon-e-wafa hota hai laakh parwaana mare shama' pe kya hota hai shaghl-e-sayyaad yahii subh o masaa hota hai qaid hota hai koi koi rihaa hota hai jab pata chaltaa hai KHushboo ki wafadari ka phool jis vaqt gulistaan se juda hota hai zabt karta hooñ to ghutta hai qafas men mira dam aah karta hooñ to sayyaad KHafaa hota hai KHoon hota hai sehar tak mire armaanon ka shaam-e-waada jo vo paaband-e-hina hota hai chaandni dekh ke yaad aate hain kya kya vo mujhe chaand jab shab ko qamar jalwa-numa hota hai
Related Ghazal
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge shaam hue khush-baash yahaañ ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane waalon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki baad-e-saba men aur to kya hota hogaa yoonhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat baanhon ka vo jo simtate honge un men vo to mar jaate honge meraa saans ukhadte hi sab bein karenge roenge ya'ni mere baa'd bhi ya'ni saans li.e jaate honge
Jaun Elia
88 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
chhod kar jaane ka dastoor nahin hota tha koi bhi zakham ho naasoor nahin hota tha mere bhi hont pe cigarette nahin hoti thii uski bhi maang men sindoor nahin hota tha auratein pyaar men tab shauq nahin rakhti thii aadmi ishq men mazdoor nahin hota tha
Kushal Dauneria
54 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
More from Qamar Jalalvi
surkhiyaan kyun Dhoondh kar laaun fasaane ke li.e bas tumhaara naam kaafi hai zamaane ke li.e maujen saahil se hataati hain habaabon ka hujoom vo chale aa.e hain saahil par nahaane ke li.e sochta hooñ ab kahii bijli giri to kyun giri tinke laaya tha kahaan se aashiyaane ke li.e chhod kar bastii ye deewane kahaan se aa ga.e dasht ki baithi-bithaai KHaak udaane ke li.e hañs ke kahte ho zamaana bhar mujhi par jaan de rah ga.e ho kya tumheen saare zamaane ke li.e shaam ko aaoge tum achha abhii hoti hai shaam gesuon ko khol do suraj chhupaane ke li.e kaayenaat-e-ishq ik dil ke siva kuchh bhi nahin vo hi aane ke li.e hai vo hi jaane ke li.e ai zamaane bhar ko khushiyaan dene waale ye bataa kya qamar hi rah gaya hai gham uthaane ke li.e
Qamar Jalalvi
0 likes
kabhi jo aankh pe gesoo-e-yaar hota hai sharaab-khaane pe abr-e-bahaar hota hai kisi ka gham ho mire dil pe baar hota hai usii ka naam gham-e-rozgaar hota hai ilaahi KHair ho un be-zabaan asiroon ki qafas ke saamne zikr-e-bahaar hota hai chaman men aise bhi do chaar hain chaman waale ki jin ko mausam-e-gul naagawaar hota hai sawaal-e-jaam tire may-kade men ai saaqi jawaab-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai ha men vafaa pe vafaa aaj tak na raas aayi unhen sitam pe sitam saazgaar hota hai labon pe aa gaya dam band ho chuki aañkhen chale bhi aao ki khatm intizaar hota hai kahaan vo vasl ki raatein kahaan ye hijr ke din khayaal-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai junoon to ek badi cheez hai mohabbat men zaraa se ashk se raaz aashkaar hota hai mire janaaze ko dekha to yaas se bole yahaañ pe aadmi be-ikhtiyaar hota hai KHuda rakhe tumhein kya koi jaur bhool ga.e jo ab talash hamaara mazaar hota hai hamaara zor hai kya baagbaan utha lenge ye aashiyaan jo tujhe naagawaar hota hai ajeeb kashmakash-e-bahr-e-gham men dil hai qamarna doobta hai ye beda na paar hota hai
Qamar Jalalvi
1 likes
kisi soorat sehar nahin hoti raat idhar se udhar nahin hoti khauf sayyaad se na barq ka dar baat ye apne ghar nahin hoti ek vo hain ki roz aate hain ek ham hain khabar nahin hoti ab main samjha hooñ kaat kar shab-e-gham zindagi mukhtasar nahin hoti kitnii paaband-e-waz'a hai shab-e-gham kabhi ghairoon ke ghar nahin hoti kitnii seedhi hai raah-e-mulk-e-adam haajat-e-raahbar nahin hoti sun liya hogaa tum ne haal-e-mareez ab davaa kaargar nahin hoti arsh milta hai meri aahon se lekin un ko khabar nahin hoti
Qamar Jalalvi
0 likes
kab meraa nasheeman ahl-e-chaman gulshan men gawara karte hain gunche apni aawazon men bijli ko pukaara karte hain ab naz'a ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat waapas lo jab kashtii doobne lagti hai to bojh utaara karte hain jaati hui mayyat dekh ke bhi wallaah tum uth ke aa na sake do chaar qadam to dushman bhi takleef gawara karte hain be-wajah na jaane kyun zid hai un ko shab-e-furqat waalon se vo raat badha dene ke li.e gesu ko sanwaara karte hain poncho na arq rukhsaaron se rangeeni-e-husn ko badhne do sunte hain ki shabnam ke qatre phoolon ko nikhaara karte hain kuchh husn o ishq men farq nahin hai bhi to faqat ruswaai ka tum ho ki gawara kar na sake ham hain ki gawara karte hain taaron ki bahaaron men bhi qamar tum afsurda se rahte ho phoolon ko to dekho kaanton men hañs hañs ke guzaara karte hain
Qamar Jalalvi
1 likes
baarish men ahd tod ke gar may-kashi hui tauba mari phiregi kahaan bheegti hui pesh aa.e laakh ranj agar ik khushi hui parwardigaar ye bhi koi zindagi hui achha to dono vaqt mile kosie huzoor phir bhi mareez-e-gham ki agar zindagi hui ai andaleeb apne nasheeman ki KHair maang bijli gaii hai soo-e-chaman dekhti hui dekho charaagh-e-qabr use kya javaab de aayegi shaam-e-hijr mujhe poochhti hui qaasid unhin ko ja ke diya tha hamaara khat vo mil ga.e the un se koi baat bhi hui jab tak ki teri bazm men chaltaa rahega jaam saaqi rahegi gardish-e-dauraan ruki hui maana ki un se raat ka vaa'da hai ai qamar kaise vo aa sakenge agar chaandni hui
Qamar Jalalvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qamar Jalalvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Qamar Jalalvi's ghazal.







