is se pahle ki koii aur hata de mujh ko apne pahluu se kahiin door bitha de mujh ko main sukhan-fahm kisi vasl ka muhtaaj nahin chaandni raat hai ik she'r suna de mujh ko KHud-kushi karne ke mausam nahin aate har roz zindagi ab koii rastaa na dikha de mujh ko ek ye zaKHm hi kaafi hai mire jeene ko chaaragar theek na hone kii davaa de mujh ko yuñ to suraj hooñ magar fikr lagii rahtii hai vo charaaghon ke bharam men na bujha de mujh ko tujh ko ma'aloom nahin ishq kise kahte hain apne seene pe nahin dil men jagah de mujh ko har naye shaKHs pe khul jaane kii aadat mohan dene waale se kaho thodii ana de mujh ko
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
More from Balmohan Pandey
aish maazi ke gina haal ka ta'na de de ghar palatne ke li.e koi bahaana de de main ne is shahar ko ik shaKHs ka hamnaam kiya chahe ab jo bhi ise naam zamaana de de sang-zaadon ko bhi ta'aamir men shaamil kar lo is se pahle ki koi aaina-khaana de de us ka roomaal bhi majboori tha hamdar dii nahinus ko ye dar tha koi aur na shaana de de dil ke ujde hue jungle ko pada rahne do ain mumkin hai parindon ko thikaana de de
Balmohan Pandey
3 likes
dayaar-e-gham se ham baahar nikal ke she'r kahte hain masaail hain bahut se un men dhal ke she'r kahte hain dahakte aag ke sholoon pe chal ke she'r kahte hain ha men pahchaan lijye ham ghazal ke she'r kahte hain rivaayat ke pu jaarii is li.e naaraz hain ham se KHataa ye hai naye raston pe chal ke she'r kahte hain ha men tanhaaiyon ka shor jab bechain karta hai ikatthi karte hain yaaden ghazal ke she'r kahte hain sitaaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon men vo shaayad mom ki soorat pighal ke she'r kahte hain hamaari shaay'ri us ko kahii rusva na kar dale so us ke shahar men thoda sambhal ke she'r kahte
Balmohan Pandey
6 likes
samay se pahle bhale shaame-zindagi aa.e kisi tarah bhi udaasi ka ghaav bhar jaa.e jo she'r samjhe mujhe daad vaad deta rahe gale lag aa.e jise gham samajh men aa jaa.e ham udaas nahin sar b sar udaasi hain ha men chiraag nahin raushni kaha jaa.e kisi ke hansne se raushan hui thii baade-saba koi udaas hua to gulaab murjh aa.e
Balmohan Pandey
8 likes
samay se pahle bhale shaam-e-zindagi aa.e kisi tarah bhi udaasi ka ghaav bhar jaa.e ham ab udaas nahin sar-b-sar udaasi hain ha men charaaghh nahin raushni kaha jaa.e jo she'r samjhe mujhe daad-waad deta rahe gale lag aa.e jise gham samajh men aa jaa.e ga.e dinon men koi shauq tha mohabbat ka ab is azaab men ye zehan kaun uljh aa.e kisi ke hansne se raushan hui thii baad-e-saba koi udaas hua to gulaab murjh aa.e ye ek dukh hi daba rah gaya hai aankhoñ men vo ek misra jise she'r kar nahin paa.e agar hooñ ghusse men phir bhi main chahta ye hooñ main sirf hijr kahooñ aur phone kat jaa.e
Balmohan Pandey
5 likes
rawaangi men samay ka khayal karte hain phir us ko bhej ke paharon malaal karte hain zaraa se talkh-bayaani pasand hain phir bhi udaas log mohabbat kamaal karte hain ab un ko ishq ke aadaab kaun samjhaaye bujhe charaaghh hawa se sawaal karte hain gunah hai ishq pe paabandiyaan baja lekin tumhaare log to jeena muhaal karte hain is ek jumle ne karne nahin diya kuchh bhi jo log kuchh nahin karte kamaal karte hain
Balmohan Pandey
13 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Balmohan Pandey.
Similar Moods
More moods that pair well with Balmohan Pandey's ghazal.







