ghazalKuch Alfaaz

is tarah se tarjumaani kar gaya mere ashkon ko vo paani kar gaya us ne chehre se hata daala naqaab aur meri ghazlein puraani kar gaya rakh gaya vo apne kapde sookhne dhoop bhi kitnii suhaani kar gaya bhool jaane ki qasam dena teraa yaad aane ki nishaani kar gaya do ghadi ko paas aaya tha koi dil pe barson hukmraani kar gaya jis pe main eimaan le aaya asad mujh se vo hi be-imaani kar gaya

Related Ghazal

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

bulaati hai magar jaane ka nahin ye duniya hai idhar jaane ka nahin mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nahin zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho chale ho to thehar jaane ka nahin sitaare noch kar le jaaunga main khaali haath ghar jaane ka nahin vaba phaili hui hai har taraf abhii maahol mar jaane ka nahin vo gardan naapta hai naap le magar zaalim se dar jaane ka nahin

Rahat Indori

59 likes

More from Subhan Asad

vo jo soorat thii saath saath kabhi surkh mahke gulaab ki sooratus ki yaaden utarti rahtii hain zehn-o-dil pe azaab ki soorat ye ravayya sahi nahin hota yuñ ha men kashmakash men mat daalo ya ha men sach ki tarah apna lo ya bhula bhi do KHvaab ki soorat us ne an-dekha an-suna kar ke be-taalluq kiya hai to ab hamus ki tasveer se nikaalenge aañsuon ke hisaab ki soorat apni jhooti ana ki baaton men aa ke us ko sula to baithe hain ab hain seharaaon ke musaafir ham aur vo soorat saraab ki soorat

Subhan Asad

0 likes

rag-e-jaan men samaa jaati ho jaanaan tum itnaa yaad kyun aati ho jaanaan tumhaare saa.e hai pahluu men ab tak ki ja kar bhi kahaan jaati ho jaanaan mirii neenden uda rakkhi hain tum ne ye kaise KHvaab dikhlaati ho jaanaan kisi din dekhna mar jaaunga main mirii qasmen bahut khaati ho jaanaan vo sunta hooñ main apni dhadkano se tum aankhoñ se jo kah jaati ho jaanaan paraaya-pan nahin apnaiyat hai jo yuñ aañkhen chura jaati ho jaanaan

Subhan Asad

0 likes

dard ke daaimi rishton se lipt jaate hain aks rote hain to sheeshon se lipt jaate hain haaye vo log jinhen ham ne bhula rakha hai yaad aate hain to saanson se lipt jaate hain kis ke pairo'n ke nishaan hain ki musaafir bhi ab manzilen bhool ke raston se lipt jaate hain jab woh rota hai to yak-lakht mirii pyaas ke hontus ki aankhoñ ke kinaaron se lipt jaate hain jab unhen neend panaahen nahin deti hain asad KHvaab phir jaagti aankhoñ se lipt jaate hain

Subhan Asad

1 likes

is ka gham hai ki mujhe vaham hua hai shaayad koi pahluu men mire jaag raha hai shaayad jaagte jaagte pichhli kaii raatein guzri chaand hona mirii qismat men likha hai shaayad daud jaaun har ik aahat pe kiwaadon ki taraf aur phir KHud ko hi samjhaaoon hawa hai shaayad us ki baaton se vo ab phool nahin jhadte hainus ke honton pe abhii meraa gilaa hai shaayad us ko kholoon to rag-e-dil ko koi dasta hai yaad ki gathri men ik saanp chhupa hai shaayad mujh ko har raah ujaalon se bharii milti hai ye un aankhoñ ke charaaghon ki dua hai shaayad

Subhan Asad

4 likes

mujhe malaal men rakhna khushi tumhaari thii magar main KHush hooñ ki vaabastagi tumhaari thii bichhad ke tum se khizaan ho ga.e to ye jaana hamaare husn men sab dilkashi tumhaari thii b-naam-e-shart-e-mohabbat ye ashk bahne do ha men khabar hai ki jo bebaasi tumhaari thii vo sirf main to nahin tha jo hijr men roya vo kaifiyat jo mirii thii vahii tumhaari thii gilaa nahin ki mire haal par hañsi duniya gilaa to ye hai ki pahli hañsi tumhaari thii

Subhan Asad

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Subhan Asad.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Subhan Asad's ghazal.