ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye husn bhi betab hai aur kis qadar mere liye haan mubarak ab hai mearaj-e-nazar mere liye jis qadar vo dur-tar nazdik-tar mere liye khel hai bazicha-e-sham-o-sahar mere liye do gul-e-bazi hain ye shams o qamar mere liye vaqf hai sayyad ki ik ik nazar mere liye haan mubarak ye shikast-e-bal-o-par mere liye garm hai hangama-e-sham-o-sahar mere liye raat din gardish men hain shams o qamar mere liye main huun vahshi aah kis sahra-e-afat-khez ka hai gul-e-virana bhi begana-tar mere liye us maqam-e-ishq men huun marhaba ai be-khudi zarra zarra hai jahan garm-e-safar mere liye jazb ho kar rah gaya huun main jamal-e-dost men ishq hai tabinda-tar painda-tar mere liye main nahin kahta ki main huun tu ho teri khalvaten haan magar sab se juda khaas ik nazar mere liye allah allah main bhi kya nazuk-dimaghh-e-ishq huun nikhat-e-gul bhi hai vajh-e-dard-e-sar mere liye phir bhi ankhen dhundhti hain ik sarapa naaz ko main ne maana kuchh nahin hadd-e-nazar mere liye rahrav-e-rah-e-talab ko khizr ki hajat nahin zarra zarra hai charaghh-e-rah-guzar mere liye apne dil men juz tire main bhi sama sakta nahin mera har har saans hai zanjir-e-dar mere liye mujh ko jannat hi jo duniya hai to ya-rab bakhsh de bas yahi daman-e-tar chashman-e-tar mere liye tark-e-mai se aur bhi main to sharabi ban gaya roz aa jaata hai mina-e-sahar mere liye jis ne zahid se bhi kafir ke uda daale hain hosh us se bhi kuchh aur saaqi tez-tar mere liye vo mira saghhar-ba-kaf hona pashemani ke saath abr-e-rahmat ka vo uthna jhuum kar mere liye kal shab-e-mahtab men ik bulbul-e-afat-nava markaz-e-ghham ban raha tha raat bhar mere liye na-gahan lab-ha-e-barg-e-gul se ye aai nida naale karta hai abas ai be-khabar mere liye main bhi huun apni jagah khunin-jigar khunin-kafan tu na apni jaan kho ai musht-e-par mere liye bas ye sunna tha ki pa-e-gul pe gir kar mar mita ban gaya ik naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye zindagi ik tohmat-e-beja hai meri zaat par maut ik ilzam-e-na-jaez 'jigar' mere liye main to har halat men khush huun lekin us ka kya ilaaj dabdaba aati hain vo ankhen 'jigar' mere liye ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye husn bhi betab hai aur kis qadar mere liye han mubarak ab hai mearaj-e-nazar mere liye jis qadar wo dur-tar nazdik-tar mere liye khel hai bazicha-e-sham-o-sahar mere liye do gul-e-bazi hain ye shams o qamar mere liye waqf hai sayyaad ki ek ek nazar mere liye han mubarak ye shikast-e-baal-o-par mere liye garm hai hangama-e-sham-o-sahar mere liye raat din gardish mein hain shams o qamar mere liye main hun wahshi aah kis sahra-e-afat-khez ka hai gul-e-virana bhi begana-tar mere liye us maqam-e-ishq mein hun marhaba ai be-khudi zarra zarra hai jahan garm-e-safar mere liye jazb ho kar rah gaya hun main jamal-e-dost mein ishq hai tabinda-tar painda-tar mere liye main nahin kahta ki main hun tu ho teri khalwaten han magar sab se juda khas ek nazar mere liye allah allah main bhi kya nazuk-dimagh-e-ishq hun nikhat-e-gul bhi hai wajh-e-dard-e-sar mere liye phir bhi aankhen dhundhti hain ek sarapa naz ko main ne mana kuchh nahin hadd-e-nazar mere liye rahraw-e-rah-e-talab ko khizr ki hajat nahin zarra zarra hai charagh-e-rah-guzar mere liye apne dil mein juz tere main bhi sama sakta nahin mera har har sans hai zanjir-e-dar mere liye mujh ko jannat hi jo duniya hai to ya-rab bakhsh de bas yahi daman-e-tar chashman-e-tar mere liye tark-e-mai se aur bhi main to sharabi ban gaya roz aa jata hai mina-e-sahar mere liye jis ne zahid se bhi kafir ke uda dale hain hosh us se bhi kuchh aur saqi tez-tar mere liye wo mera saghar-ba-kaf hona pashemani ke sath abr-e-rahmat ka wo uthna jhum kar mere liye kal shab-e-mahtab mein ek bulbul-e-afat-nawa markaz-e-gham ban raha tha raat bhar mere liye na-gahan lab-ha-e-barg-e-gul se ye aai nida nale karta hai abas ai be-khabar mere liye main bhi hun apni jagah khunin-jigar khunin-kafan tu na apni jaan kho ai musht-e-par mere liye bas ye sunna tha ki pa-e-gul pe gir kar mar mita ban gaya ek naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye zindagi ek tohmat-e-beja hai meri zat par maut ek ilzam-e-na-jaez 'jigar' mere liye main to har haalat mein khush hun lekin us ka kya ilaj dabdaba aati hain wo aankhen 'jigar' mere liye
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Jigar Moradabadi
jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega
Jigar Moradabadi
2 likes
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Jigar Moradabadi
1 likes
ham ko mita sake ye zamaane men dam nahin ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahin be-faaida alam nahin be-kaar gham nahin taufeeq de KHuda to ye nemat bhi kam nahin mirii zabaan pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin mujh ko jaga diya yahii ehsaan kam nahin ya rab hujoom-e-dard ko de aur wusa'aten daaman to kya abhii mirii aañkhen bhi nam nahin shikwa to ek chhed hai lekin haqeeqatan teraa sitam bhi teri inaayat se kam nahin ab ishq us maqaam pe hai justujoo-navard saaya nahin jahaan koi naqsh-e-qadam nahin milta hai kyun mazaa sitam-e-rozgaar men teraa karam bhi KHud jo shareek-e-sitam nahin marg-e-'jigar'' pe kyun tiri aañkhen hain ashk-rez ik saanehaa sahi magar itnaa ahem nahin
Jigar Moradabadi
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







