ishq ko be-naqab hona tha aap apna javab hona tha mast-e-jam-e-sharab hona tha be-khud-e-iztirab hona tha teri ankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha aao mil jaao muskura ke gale ho chuka jo itaab hona tha kucha-e-ishq men nikal aaya jis ko khana-kharab hona tha mast-e-jam-e-sharab khaak hote ghharq-e-jam-e-sharab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang us ko saada kitab hona tha ham ne nakamiyon ko dhund liya akhirash kamyab hona tha haae vo lamha-e-sukun ki jise mahshar-e-iztirab hona tha nigah-e-yar khud tadap uthti shart-e-avval kharab hona tha kyuun na hota sitam bhi be-payan karam-e-be-hisab hona tha kyuun nazar hairaton men duub gai mauj-e-sad-iztirab hona tha ho chuka roz-e-avvalin hi 'jigar' jis ko jitna kharab hona tha ishq ko be-naqab hona tha aap apna jawab hona tha mast-e-jam-e-sharab hona tha be-khud-e-iztirab hona tha teri aankhon ka kuchh qusur nahin han mujhi ko kharab hona tha aao mil jao muskura ke gale ho chuka jo itab hona tha kucha-e-ishq mein nikal aaya jis ko khana-kharab hona tha mast-e-jam-e-sharab khak hote gharq-e-jam-e-sharab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang us ko sada kitab hona tha hum ne nakaamiyon ko dhund liya aakhirash kaamyab hona tha hae wo lamha-e-sukun ki jise mahshar-e-iztirab hona tha nigah-e-yar khud tadap uthti shart-e-awwal kharab hona tha kyun na hota sitam bhi be-payan karam-e-be-hisab hona tha kyun nazar hairaton mein dub gai mauj-e-sad-iztirab hona tha ho chuka roz-e-awwalin hi 'jigar' jis ko jitna kharab hona tha
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
More from Jigar Moradabadi
kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen
Jigar Moradabadi
1 likes
vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye
Jigar Moradabadi
1 likes
ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha
Jigar Moradabadi
1 likes
be-kaif dil hai aur ji.e ja raha hooñ main khaali hai sheesha aur pi.e ja raha hooñ main paiham jo aah aah ki.e ja raha hooñ main daulat hai gham zakaat diye ja raha hooñ main majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna jeena nahin qubool ji.e ja raha hooñ main vo dil kahaan hai ab ki jise pyaar keejie majbooriyaan hain saath diye ja raha hooñ main ruksat hui shabaab ke hamraah zindagi kehne ki baat hai ki ji.e ja raha hooñ main pahle sharaab zeest thii ab zeest hai sharaab koi pila raha hai pi.e ja raha hooñ main
Jigar Moradabadi
1 likes
sabhi andaaz-e-husn pyaare hain ham magar saadgi ke maare hain us ki raaton ka intiqaam na pooch jis ne hañs hañs ke din guzaare hain ai sahaaron ki zindagi waalo kitne insaan be-sahaare hain laala-o-gul se tujh ko kya nisbat naa-mukammal se isti'aare hain ham to ab doob kar hi ubharenge vo rahen shaad jo kinaare hain shab-e-furqat bhi jagmaga utthi ashk-e-gham hain ki maah-paare hain aatish-e-ishq vo jahannam hai jis men firdaus ke nazaare hain vo humeen hain ki jin ke haathon ne gesu-e-zindagi sanwaare hain husn ki be-niyaaziyo pe na ja be-ishaare bhi kuchh ishaare hain
Jigar Moradabadi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jigar Moradabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.







