ishq ne jab bhi kisi dil pe hukoomat ki hai to use dard ki me'raaj inaayat ki hai apni taaid pe KHud aql bhi hairaan hui dil ne aise mire KHvaabon ki himayat ki hai shahr-e-ehsaas tiri yaad se raushan kar ke main ne har ghar men tire zikr ki jurat ki hai mujh ko lagta hai ki insaan adhoora hai abhii tu ne duniya men use bhej ke ujlat ki hai shahar ke teera-tareen ghar se vo khurshid mila jis ki tanveer men taaseer qayamat ki hai sochta hooñ ki main aise men kidhar ko jaaun teraa milnaa bhi kathin yaad bhi shiddat ki hai is tarah aundhe pade hain ye shikasta jazbe jaise ik vaham ne in sab ki imaamat ki hai ye jo bikhri hui laashen hain varq par javvaad ye mire zabt se lafzon ne baghaavat ki hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Jawwad Sheikh
gham-e-jahaan se main ukta gaya to kya hogaa KHud apni fikr men ghulne laga to kya hogaa ye na-guzeer hai ummeed ki numoo ke li.e guzarta vaqt kahii tham gaya to kya hogaa yahii bahut hai ki ham ko sukoon se jeene de kisi ke haathon hamaara bhala to kya hogaa ye log meri KHamoshii pe mujh se naalaan hain koi ye pooche main goya hua to kya hogaa main is li.e bhi bahut mukhtalif hooñ logon se vo sochte hain ki aisa hua to kya hogaa junoon ki raah ajab hai ki paanv dharne ko zameen tak bhi nahin naqsh-e-paa to kya hogaa ye ek khauf bhi meri khushi men shaamil hai tira bhi dhyaan agar hat gaya to kya hogaa jo ho raha hai vo hota chala gaya to phir jo hone ko hai vahii ho gaya to kya hogaa
Jawwad Sheikh
9 likes
sab ko bachao KHud bhi bacho fasla rakho ab aur kuchh karo na karo fasla rakho khatra to muft men bhi nahin lena chahiye ghar se nikal ke mol na lo fasla rakho filhaal is se bachne ka hai ek raasta vo ye ki is se bach ke raho fasla rakho dushman hai aur tarah ka jang aur tarah ki aage badho na peeche hato fasla rakho
Jawwad Sheikh
7 likes
na sahi aish guzaara hi sahi yaanii gar tu nahin duniya hi sahi chhodije kuchh to meraa bhi mujh men KHoon ka aakhiri qatra hi sahi ghaur to kijeye meri baaton par umr men aap se chhota hi sahi ranj ham ne bhi juda paa.e hain aap yaktaa hain to yaktaa hi sahi main bura hooñ to hooñ ab kya kijeye koi achha hai to achha hi sahi kis ko seene se lagaaun tire b'ad jaate jaate koi dhoka hi sahi kar kuchh aisa ki tujhe yaad raKHoon bhool jaane ka taqaza hi sahi tum pe kab rok thii chalte jaate meri sochon pe to pahra hi sahi vo kisi taur na hogaa meraa chalo aisa hai to aisa hi sahi surkh karne lagii har shay javvaad yaad ka rang sunhara hi sahi
Jawwad Sheikh
16 likes
daad to baad men kamaayenge pahle ham sochna sikhaayenge main kahii ja nahin raha lekin aap kya mere saath aayenge koi khidki khulegi raat ga.e kaii apni muraad paayenge khul ke rone pe ikhtiyaar nahin ham koi jashn kya manaaenge hasenge teri bad-havaasi par log rastaa nahin bataaenge tum uthaoge koi ranj mira dost ahbaab haz uthaaenge ha men apni talash men mat bhej khadi faslen ujaad aayenge
Jawwad Sheikh
16 likes
main chahta hooñ ki dil men tira khayal na ho ajab nahin ki mirii zindagi vabaal na ho main chahta hooñ tu yak-dam hi chhod jaa.e mujhe ye har ghadi tire jaane ka ehtimaal na ho main chahta hooñ mohabbat pe ab ki baar aa.e zawaal aisa ki jis ko kabhi zawaal na ho main chahta hooñ mohabbat sire se mit jaa.e main chahta hooñ use sochna muhaal na ho main chahta hooñ mohabbat mujhe fana kar de fana bhi aisa ki jis ki koi misaal na ho main chahta hooñ mohabbat mira vo haal kare ki KHvaab men bhi dobara kabhi majaal na ho main chahta hooñ ki itnaa hi rabt rah jaa.e vo yaad aa.e magar bhoolna muhaal na ho main chahta hooñ mirii aañkhen noch li jaayen tira khayal kisi taur paayemaal na ho main chahta hooñ ki main zakham zakham ho jaaun aur is tarah ki kabhi khauf-e-indimaal na ho mirii misaal ho sab ki nigaah men javvaad main chahta hooñ kisi aur ka ye haal na ho
Jawwad Sheikh
20 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jawwad Sheikh.
Similar Moods
More moods that pair well with Jawwad Sheikh's ghazal.







