jaisa hooñ waisa kyun hooñ samjha saka tha main tum ne poocha to hota batla saka tha main aasooda rahne ki KHvaahish maar gaii warna aage aur bahut aage tak ja saka tha main kahii kahii se kuchh misre ek-aadh ghazal kuchh she'r is pounji par kitna shor macha saka tha main jaise sab likhte rahte hain ghazlein naz men geet vaise likh likh kar ambaar laga saka tha main
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
More from Iftikhar Arif
ye bastii jaani-pahchaani bahut hai yahaañ va'don ki arzaani bahut hai shagufta lafz likkhe ja rahe hain magar lahjon men veeraani bahut hai subuk-zarfon ke qaabu men nahin lafz magar shauq-e-gul-afshaani bahut hai hai bazaaron men paani sar se ooncha mire ghar men bhi tugh yaanii bahut hai na jaane kab mire sehra men aa.e vo ik dariyaa ki toofaani bahut hai na jaane kab mire aangan men barase vo ik baadal ki nuqsaani bahut hai
Iftikhar Arif
0 likes
koi to phool khilaaye dua ke lehje men ajab tarah ki ghutan hai hawa ke lehje men ye vaqt kis ki ra'unat pe KHaak daal gaya ye kaun bol raha tha KHuda ke lehje men na jaane khalk-e-khuda kaun se azaab men hai hawaaein cheekh padeen iltijaa ke lehje men khula fareb-e-mohabbat dikhaai deta hai ajab kamaal hai us be-vafa ke lehje men yahii hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir ham apna haal kaheinge chhupa ke lehje men
Iftikhar Arif
1 likes
kahaan ke naam o nasab ilm kya fazilat kya jahaan-e-rizq men tauqeer-e-ahl-e-haajat kya shikam ki aag li.e phir rahi hai shahr-b-shahr sag-e-zamaana hain ham kya hamaari hijrat kya dimashq-e-maslahat o kuufa-e-nifaq ke beech fughan-e-qaafila-e-be-nawa ki qeemat kya maal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham badal ga.e to badlne pe itni hairat kya qimaar-khaana-e-hasti men ek baazi par tamaam umr laga dii to phir shikaayat kya farogh-e-sanat-e-qad-aavari ka mausam hai subuk hue pe bhi niklaa hai qadd-o-qaamat kya
Iftikhar Arif
0 likes
diyaar-e-noor men teera-shabon ka saa thii ho koi to ho jo mirii vahshaton ka saa thii ho main us se jhooth bhi boluun to mujh se sach bole mire mizaaj ke sab mausamon ka saa thii ho main us ke haath na aaun vo meraa ho ke rahe main gir padhoon to mirii pastiyon ka saa thii ho vo mire naam ki nisbat se mo'tabar thehre gali gali mirii rusvaaiyon ka saa thii ho kare kalaam jo mujh se to mire lehje men main chup rahoon to mire tevaron ka saa thii ho main apne aap ko dekhooñ vo mujh ko dekhe jaa.e vo mire nafs ki gumraahiyo ka saa thii ho vo KHvaab dekhe to dekhe mire hawaale se mire khayal ke sab manzaron ka saa thii ho
Iftikhar Arif
1 likes
mere KHuda mujhe itnaa to mo'tabar kar de main jis makaan men rehta hooñ us ko ghar kar de ye raushni ke ta'aqub men bhaagta hua din jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de main zindagi ki dua maangne laga hooñ bahut jo ho sake to duaon ko be-asar kar de sitaara-e-sahari doobne ko aaya hai zaraa koi mire sooraj ko ba-khabar kar de qabeela-waar kamaanein kadkane waali hain mere lahu ki gawaahi mujhe nidar kar de main apne KHvaab se kat kar jiyooun to meraa KHuda ujaad de mirii miTTi ko dar-b-dar kar de merii zameen meraa aakhiri hawala hai so main rahoon na rahoon is ko barvar kar de
Iftikhar Arif
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Arif.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Arif's ghazal.







