ghazalKuch Alfaaz

jala ke mishal-e-jan ham junun-sifat chale jo ghar ko aag lagae hamare saath chale dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin ajab nagar hai yahan din chale na raat chale hamare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi vahin pahunchti hai yaaro kahin se baat chale sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charaghh jahan talak ye sitam ki siyah raat chale hua asiir koi ham-nava to duur talak ba-pas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale bacha ke laae ham ai yaar phir bhi naqd-e-vafa agarche lutte rahe rahzanon ke haath chale phir aai fasl ki manind barg-e-avara hamare naam gulon ke muraslat chale qatar-e-shisha hai ya karvan-e-ham-safaran khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh' baghhal men ham bhi liye ik sanam ka haath chale jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale jo ghar ko aag lagae hamare sath chale dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin ajab nagar hai yahan din chale na raat chale hamare lab na sahi wo dahan-e-zakhm sahi wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh jahan talak ye sitam ki siyah raat chale hua asir koi ham-nawa to dur talak ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa agarche lutte rahe rahzanon ke hath chale phir aai fasl ki manind barg-e-awara hamare nam gulon ke muraslat chale qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh' baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

More from Majrooh Sultanpuri

jab hua irfaan to gham aaraam-e-jaan banta gaya soz-e-jaanaan dil men soz-e-deegaraan banta gaya rafta rafta munqalib hoti gaii rasm-e-chaman dheere dheere naghma-e-dil bhi fugaan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log saath aate ga.e aur kaarwaan banta gaya main to jab jaanoon ki bhar de saaghar-e-har-khaas-o-aam yuñ to jo aaya vahii peer-e-mugaan banta gaya jis taraf bhi chal pade ham aabla-paayaan-e-shauq khaar se gul aur gul se gulsitaan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gaii us ke huzoor lafz jo munh se na niklaa dastaan banta gaya dehr men majrooh koi jaavedaan mazmoon kahaan main jise chhoota gaya vo jaavedaan banta gaya

Majrooh Sultanpuri

1 likes

aah-e-jaan-soz ki mahroomi-e-taaseer na dekh ho hi jaayegi koi jeene ki tadbeer na dekh haadse aur bhi guzre tiri ulfat ke siva haan mujhe dekh mujhe ab meri tasveer na dekh ye zaraa door pe manzil ye ujaala ye sukoon KHvaab ko dekh abhii KHvaab ki taabeer na dekh dekh zindaan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjeer na dekh kuchh bhi hooñ phir bhi dukhe dil ki sadaa hooñ naadaan meri baaton ko samajh talkhi-e-taqreer na dekh vahii majrooh vahii shaair-e-aawara-mizaaj koi utha hai tiri bazm se dil-geer na dekh

Majrooh Sultanpuri

1 likes

yuñ to aapas men bigadte hain KHafaa hote hain milne waale kahii ulfat men juda hote hain hain zamaane men ajab cheez mohabbat waale dard KHud bante hain KHud apni davaa hote hain haal-e-dil mujh se na poochho mirii nazrein dekho raaz dil ke to nigaahon se ada hote hain milne ko yuñ to mila karti hain sab se aañkhen dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib log aisi hi adaaon pe fida hote hain

Majrooh Sultanpuri

4 likes

koi ham-dam na raha koi sahaara na raha ham kisi ke na rahe koi hamaara na raha shaam tanhaaii ki hai aayegi manzil kaise jo mujhe raah dikha de vahii taara na raha ai nazaaro na haso mil na sakunga tum se tum mire ho na sake main bhi tumhaara na raha kya bataaun main kahaan yoonhi chala jaata hooñ jo mujhe phir se bula le vo ishaara na raha

Majrooh Sultanpuri

2 likes

ham hain mata-e-koocha-o-bazaar ki tarah uthatii hai har nigaah khareedaar ki tarah is koo-e-tishnagi men bahut hai ki ek jaam haath aa gaya hai daulat-e-bedaar ki tarah vo to kahii hai aur magar dil ke aas-paas phirti hai koi shay nigah-e-yaar ki tarah seedhi hai raah-e-shauq pe yoonhi kahii kahii KHam ho gaii hai gesoo-e-dildaar ki tarah be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaan har naqsh-e-paa buland hai deewaar ki tarah ab ja ke kuchh khula hunar-e-naakhun-e-junoon zakham-e-jigar hue lab-o-rukhsaar ki tarah majrooh likh rahe hain vo ahl-e-wafa ka naam ham bhi khade hue hain gunahgaar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Majrooh Sultanpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Majrooh Sultanpuri's ghazal.