ghazalKuch Alfaaz

jo ab bhi na taklif farmaiyega to bas haath malte hi rah jaiyega nigahon se chhup kar kahan jaiyega jahan jaiyega hamen paiyega mira jab bura haal sun paiyega khiraman khiraman chale aiyega mita kar hamen aap pachhtaiyega kami koi mahsus farmaiyega nahin khel naseh junun ki haqiqat samajh lijiyega to samjhaiyega hamen bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahan tak tavajjoh na farmaiyega sitam 'ishq men aap asan na samjhen tadap jaiyega jo tadpaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne diije karam kijiyega to pachhtaiyega kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat na farmaiyega to farmaiyega bhulana hamara mubarak mubarak magar shart ye hai na yaad aiyega hamen bhi na ab chain aaega jab tak in ankhon men aansu na bhar laiyega tira jazba-e-shauq hai be-haqiqat zara phir to irshad farmaiyega hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaiyega ye maana ki de kar hamen ranj-e-furqat mudava-e-furqat na farmaiyega mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin kahan tak tabi'at ko behlaiyega na hoga hamara hi aghhosh khali kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega junun ki 'jigar' koi had bhi hai akhir kahan tak kisi par sitam dhaiyega jo ab bhi na taklif farmaiyega to bas hath malte hi rah jaiyega nigahon se chhup kar kahan jaiyega jahan jaiyega hamein paiyega mera jab bura haal sun paiyega khiraman khiraman chale aaiyega mita kar hamein aap pachhtaiyega kami koi mahsus farmaiyega nahin khel naseh junun ki haqiqat samajh lijiyega to samjhaiyega hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par kahan tak tawajjoh na farmaiyega sitam 'ishq mein aap aasan na samjhen tadap jaiyega jo tadpaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne dije karam kijiyega to pachhtaiyega kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat na farmaiyega to farmaiyega bhulana hamara mubarak mubarak magar shart ye hai na yaad aaiyega hamein bhi na ab chain aaega jab tak in aankhon mein aansu na bhar laiyega tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat zara phir to irshad farmaiyega hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaiyega ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat mudawa-e-furqat na farmaiyega mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin kahan tak tabi'at ko behlaiyega na hoga hamara hi aaghosh khali kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega junun ki 'jigar' koi had bhi hai aakhir kahan tak kisi par sitam dhaiyega

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

More from Jigar Moradabadi

kiya ta'ajjub ki mirii rooh-e-ravaan tak pahunchen pahle koi mire nagmon ki zabaan tak pahunchen jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughaan tak pahunchen phir KHuda jaane ye hangaama kahaan tak pahunchen aankh tak dil se na aa.e na zabaan tak pahunchen baat jis ki hai usii aafat-e-jaan tak pahunchen tu jahaan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai dekh rindaan-e-khush-anfaas kahaan tak pahunchen jo zamaane ko bura kahte hain KHud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giraan tak pahunchen badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waaiz ke li.e girte padte jo dar-e-peer-e-mugaan tak pahunchen tu mire haal-e-pareshaan pe bahut tanj na kar apne gesu bhi zaraa dekh kahaan tak pahunchen un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanen meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunchen ishq ki chot dikhaane men kahii aati hai kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayaan tak pahunchen jalwe betaab the jo parda-e-fitrat men jigar KHud tadap kar mirii chashm-e-nigaraan tak pahunchen

Jigar Moradabadi

1 likes

be-kaif dil hai aur ji.e ja raha hooñ main khaali hai sheesha aur pi.e ja raha hooñ main paiham jo aah aah ki.e ja raha hooñ main daulat hai gham zakaat diye ja raha hooñ main majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhna jeena nahin qubool ji.e ja raha hooñ main vo dil kahaan hai ab ki jise pyaar keejie majbooriyaan hain saath diye ja raha hooñ main ruksat hui shabaab ke hamraah zindagi kehne ki baat hai ki ji.e ja raha hooñ main pahle sharaab zeest thii ab zeest hai sharaab koi pila raha hai pi.e ja raha hooñ main

Jigar Moradabadi

1 likes

vo jo roothein yuñ manana chahiye zindagi se rooth jaana chahiye himmat-e-qaatil badhaana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam zohd o jang ka maut kya hai bhool jaana chahiye hai inheen dhokon se dil ki zindagi jo haseen dhoka ho khaana chahiye lazzaaten hain dushman-e-auj-e-kamaal kulfaton se jee lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye jigar KHud se milne ko zamaana chahiye

Jigar Moradabadi

1 likes

jo ab bhi na takleef farmaiyega to bas haath malte hi rah jaaiyega nigaahon se chhup kar kahaan jaaiyega jahaan jaaiyega ha men paaiyega meraa jab bura haal sun paaiyega khiraamaan-khiraamaan chale aaiyega mita kar ha men aap pachhtaaiyega kamii koi mehsoos farmaiyega nahin khel naaseh junoon ki haqeeqat samajh leejiyega to samjhaaiyega ha men bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahaan tak tavajjoh na farmaiyega sitam ishq men aap aasaan na samjhen tadap jaaiyega jo tadpaaiyega ye dil hai ise dil hi bas rahne deeje karam keejiega to pachhtaaiyega kahii chup rahi hai zabaan-e-mohabbatna farmaiyega to farmaiyega bhulaana hamaara mubaarak-mubaarak magar shart ye hai na yaad aaiyega ha men bhi na ab chain aayega jab tak in aankhoñ men aansoo na bhar laaiyega teraa jazba-e-shauq hai be-haqeeqat zaraa phir to irshaad farmaiyega humeen jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaaiega mohabbat-mohabbat hi rahtii hai lekin kahaan tak tabeeyat ko bahlaaiyega na hogaa hamaara hi aaghosh khaali kuchh apna bhi pahluu tahee paaiyega junoon ki jigar koi had bhi hai aaKHir kahaan tak kisi par sitam dhaaiyega

Jigar Moradabadi

2 likes

ishq ko be-naqaab hona tha aap apna javaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab hona tha be-khud-e-iztiraab hona tha teri aankhoñ ka kuchh qusoor nahin haan mujhi ko KHaraab hona tha aao mil jaao muskuraa ke gale ho chuka jo itaab hona tha koocha-e-ishq men nikal aaya jis ko khaana-kharaab hona tha mast-e-jaam-e-sharaab KHaak hote ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rangus ko saada kitaab hona tha ham ne naakaamiyon ko dhundh liya aakhirsh kaamyaab hona tha haaye vo lamha-e-sukoon ki jise mahshar-e-iztiraab hona tha nigah-e-yaar KHud tadap uthatii shart-e-avval KHaraab hona tha kyun na hota sitam bhi be-paayaan karam-e-be-hisaab hona tha kyun nazar hairaton men doob gaii mauj-e-sad-iztiraab hona tha ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar jis ko jitna KHaraab hona tha

Jigar Moradabadi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jigar Moradabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jigar Moradabadi's ghazal.