kaaba banaiye na kalisa banaiye dil ko tasavvurat ki duniya banaiye tasvir-e-husn khinchiye majnun ke bhes men aina-e-khayal ko laila banaiye hirs-o-hava-e-dar-e-fana se ghharaz nahin duniya se khoiye mujhe apna banaiye divangi-e-ishq ko rusva na kijiye laila ko qais qais ko laila banaiye hai fitrat-e-nazar ka taqaza ye baar baar muusa banaiye mujhe muusa banaiye kyuun nazm-e-husn-o-ishq ko tabdil kar diya kis ne kaha tha qais ko laila banaiye pahle nazar ko taqat-e-nazzara dijiye phir ikhtiyar hai mujhe muusa banaiye sidq-o-safa ke sanche men phir dil ko dhaal kar mehr-o-vafa ka gauhar-e-yakta banaiye jal kar bhi soz-e-ishq men uf tak na kijiye dil ko sukun-o-zabt ka putla banaiye 'kulsum' zindagi ka guzarna muhal hai duniya ko ik hasin tamasha banaiye kaba banaiye na kalisa banaiye dil ko tasawwuraat ki duniya banaiye taswir-e-husn khinchiye majnun ke bhes mein aaina-e-khayal ko laila banaiye hirs-o-hawa-e-dar-e-fana se gharaz nahin duniya se khoiye mujhe apna banaiye diwangi-e-ishq ko ruswa na kijiye laila ko qais qais ko laila banaiye hai fitrat-e-nazar ka taqaza ye bar bar musa banaiye mujhe musa banaiye kyun nazm-e-husn-o-ishq ko tabdil kar diya kis ne kaha tha qais ko laila banaiye pahle nazar ko taqat-e-nazzara dijiye phir ikhtiyar hai mujhe musa banaiye sidq-o-safa ke sanche mein phir dil ko dhaal kar mehr-o-wafa ka gauhar-e-yakta banaiye jal kar bhi soz-e-ishq mein uf tak na kijiye dil ko sukun-o-zabt ka putla banaiye 'kulsum' zindagi ka guzarna muhaal hai duniya ko ek hasin tamasha banaiye
Related Ghazal
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
ye saath aath padosi kahaan se aa.e mere tumhaare dil men to koi na tha sivaae mere kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin mujhe to dost vahaañ se utha ke l aa.e mere ye soch kar na ki.e apne dard uske supurd vo laalchi hai asaase na bech kh aa.e mere idhar kidhar tu naya hai yahaañ ki paagal hai kisi ne kya tujhe qisse nahin sun aa.e mere vo aazm aa.e mere dost ko zaroor magar use kaho ki tarike na aazm aa.e mere
Umair Najmi
59 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahzadi Kulsum.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahzadi Kulsum's ghazal.







