kaabe ki hai havas kabhi koo-e-butaan ki hai mujh ko khabar nahin mirii miTTi kahaan ki hai sun ke mira fasana unhen lutf aa gaya sunta hooñ ab ki roz talab qissa-khwaan ki hai paigham-bar ki baat par aapas men ranj kya mirii zabaan ki hai na tumhaari zabaan ki hai kuchh taazgi ho lazzat-e-aazaar ke li.e har dam mujhe talash naye aasmaañ ki hai jaan-bar bhi ho ga.e hain bahut mujh se neem-jaan kya gham hai ai tabeeb jo poori vahaañ ki hai hasrat baras rahi hai hamaare mazaar par kahte hain sab ye qabr kisi naujavaan ki hai waqt-e-khiraam-e-naaz dikha do juda juda ye chaal hashr ki ye ravish aasmaañ ki hai furqat kahaan ki ham se kisi vaqt tu mile din gair ka hai raat tire paasbaan ki hai qaasid ki guftugoo se tasalli ho kis tarah chhupti nahin vo baat jo teri zabaan ki hai jor-e-raqeeb o zulm-e-falak ka nahin khayal tashveesh ek khaatir-e-na-mehrabaan ki hai sun kar mira fasaana-e-gham us ne ye kaha ho jaa.e jhooth sach yahii khoobi bayaañ ki hai daaman sambhaal baandh kamar aasteen chadha khanjar nikaal dil men agar imtihaan ki hai har har nafs men dil se nikalne laga ghubaar kya jaane gard-e-raah ye kis kaarwaan ki hai kyunki na aate khuld se aadam zameen par mauzoon wahin vo khoob hai jo sunte jahaan ki hai taqdeer se ye pooch raha hooñ ki ishq men tadbeer koi bhi sitam-e-na-gahaan ki hai urdu hai jis ka naam humeen jaante hain daagh hindostaan men dhoom hamaari zabaan ki hai
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Dagh Dehlvi
ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii
Dagh Dehlvi
1 likes
raah par un ko laga laaye to hain baaton men aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton men ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton men aazmaaya hai tumhein ham ne kaii baaton men gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim kya mire qatl ko bhi jaan nahin haathon men abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid KHaak udti k abhii dekhi na kharaabaaton men yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun raushni jis ki ho in taaron bharii raaton men tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do lutf un baaton men aata hai ki in baaton men daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate haaye paida na hue paanv mire haathon men jalwa-e-yaar se jab bazm men ghash aaya hai to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon men aisi taqreer sooni thii na k abhii shokh-o-shareer teri aankhoñ ke bhi fitne hain tiri baaton men ham se inkaar hua gair se iqaar hua faisla khoob kiya aap ne do baaton men haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton men aur sunte abhii rindon se janaab-e-waaiz chal diye aap to do-chaar salaavaton men ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte jin ki shohrat thii ye hargiz nahin in baaton men bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan ek sarkaar luti jaati hai sougaaton men dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se is li.e aap ham aate hain tiri ghaaton men vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the shaam se subh hui un ki mudaaraaton men vo ga.e din jo rahe yaad buton ki ai daagh raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton men
Dagh Dehlvi
1 likes
dil ko kya ho gaya KHuda jaane kyun hai aisa udaas kya jaane apne gham men bhi us ko sarfaa haina khila jaane vo na kha jaane is tajaahul ka kya thikaana hai jaan kar jo na muddaa jaane kah diya main ne raaz-e-dil apnaus ko tum jaano ya KHuda jaane kya garz kyun idhar tavajjoh ho haal-e-dil aap ki bala jaane jaante jaante hi jaanega mujh men kya hai abhii vo kya jaane kya ham us bad-gumaan se baat karen jo sataish ko bhi gilaa jaane tum na paoge saada-dil mujh sa jo taghaaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzaam jab khata-waar bhi KHataa jaane nahin kotaah daaman-e-ummeed aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achha hazaar achhon ka wa'iz us but ko tu bura jaane ki mirii qadr misl-e-shaah-e-dakan kisi nawwaab ne na raja ne us se utthegi kya museebat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane daagh se kah do ab na ghabraao kaam apna bataa hua jaane
Dagh Dehlvi
2 likes
kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya mire qaabu men na paharon dil-e-naashaad aaya vo mira bhoolne vaala jo mujhe yaad aaya koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-bedaad aaya laaye hain log janaaze ki tarah mahshar men kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kehna khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassaad aaya us ke jalwe ko garz kaun-o-makaan se kya tha daad lene ke li.e husn-e-khuda-daad aaya bastiyon se yahii awaaz chali aati hai jo kiya tu ne vo aage tire farhaad aaya dil-e-veeraan se raqeebon ne muraadein paai kaam kis kis ke mira khirman-e-barbaad aaya ishq ke aate hi munh par mire phooli hai basant ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mire haath koi khaama-e-faulaad aaya eed hai qatl mira ahl-e-tamaasha ke li.e sab gale milne lage jab ki vo jallaad aaya chain karte hain vahaañ ranj uthaane waale kaam uqba men hamaara dil-e-naashaad aaya dii shab-e-wasl mo'azzin ne azaan pichhli raat haaye kam-bakht ko kis vaqt KHuda yaad aaya mire naale ne sunaai hai kharee kis kis ko munh farishton pe ye gustaakh ye azaad aaya gham-e-jaaved ne dii mujh ko mubaarakbaa dii jab suna ye ki unhen sheva-e-bedaad aaya main tamanna-e-shahaadat ka mazaa bhool gaya aaj is shauq se armaan se jallaad aaya shaadiyaana jo diya naala o shevan ne diya jab mulaqaat ko naashaad ki naashaad aaya leejie suniye ab afsaana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aaya aap ki bazm men sab kuchh hai magar daagh nahin ham ko vo khaana-kharaab aaj bahut yaad aaya
Dagh Dehlvi
0 likes
jo ho saka hai us se vo kisi se ho nahin saka magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin saka mohabbat men kare kya kuchh kisi se ho nahin saka mira marna bhi to meri khushi se ho nahin saka alag karna raqeebon ka ilaahi tujh ko aasaan hai mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin saka kiya hai waada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho yahaañ sabr o tahammul aaj hi se ho nahin saka ye mushtaqq-e-shahaadat kis jagah jaayen kise dhunden ki teraa kaam qaateel jab tujhi se ho nahin saka laga kar teg qissa paak keejie daad-khwaaho ka kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin saka mira dushman ba-zaahir chaar din ko dost hai teraa kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin saka pursish kahoge kya vahaañ jab yaa ye soorat hai ada ik harf-e-waada nazuki se ho nahin saka na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-aashnaa hain ham ye zaahir aap ki kya KHaamushi se ho nahin saka kiya jo ham ne zalim kya karega gair munh kya hai kare to sabr aisa aadmi se ho nahin saka chaman men naaz bulbul ne kiya jo apni naale par chatk kar guncha bola kya kisi se ho nahin saka nahin gar tujh pe qaabu dil hai par kuchh zor ho apna karoon kya ye bhi to na-taaqati se ho nahin saka na rona hai tariqe ka na hansna hai saleeqe ka pareshaani men koi kaam jee se ho nahin saka hua hooñ is qadar mahjoob arz-e-muddaa kar ke ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin saka ghazab men jaan hai kya kijeye badla ranj-e-furqat ka badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin saka mazaa jo iztiraab-e-shauq se 'aashiq ko hai haasil vo tasleem o raza o bandagi se ho nahin saka KHuda jab dost hai ai daagh kya dushman se andesha hamaara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin saka
Dagh Dehlvi
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







