kadam rakhta hai jab raaston pe yaar aahista aahista to chhat jaata hai sab gard-o-gubaar aahista aahista bharii aankhoñ se hokar dil men jaana sain thode hi hai chadhe daryaon ko karte hain paar aahista aahista nazar aata hai to yuñ dekhta jaata hooñ main us..ko ki chal padta hai kaarobaar aahista aahista teraa paikar KHuda ne bhi fursat men banaya tha banaayega tere jewar sunaar aahista aahista vo kahtaa hai hamaare paas aao par saleeke se ke jaise aage badhti hai kataar aahista aahista idhar kuchh auratein darwaaze par daudi hui aayi udhar ghodon se utre shehsawaar aahista aahista
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
abhii ik shor sa utha hai kahii koi KHaamosh ho gaya hai kahii hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahii tujh ko kya ho gaya ki cheezein ko kahii rakhta hai dhoondhta hai kahii jo yahaañ se kahii na jaata tha vo yahaañ se chala gaya hai kahii aaj shamshaan ki si boo hai yahaañ kya koi jism jal raha hai kahii ham kisi ke nahin jahaan ke siva aisi vo khaas baat kya hai kahii tu mujhe dhundh main tujhe dhundhun koi ham men se rah gaya hai kahii kitnii vehshat hai darmiyaan-e-hujoom jis ko dekho gaya hua hai kahii main to ab shahar men kahii bhi nahin kya mira naam bhi likha hai kahii
Jaun Elia
40 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho
Jawwad Sheikh
50 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
More from Tehzeeb Hafi
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
ashk zaaeaa ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mire gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ki meraa hum-safar rota na tha main ne us ke vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mire kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi us se tha magar itnaa nahin tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
48 likes
raat ko deep ki lo kam nahin rakhi jaati dhundh men roshni madhyam nahin rakhi jaati kaise dariyaa ki hifaazat tere jim men theharaau tujh se ik aankh agar nam nahin rakhi jaati isliye chhodkar jaane lage sab chaaragaraa zakhm se izzate marham nahin rakhi jaati aise kaise main tujhe chaahne lag jaaun bhala ghar ki buniyaad to yakdam nahin rakhi jaati
Tehzeeb Hafi
25 likes
aaj jin jheelon ka bas kaaghaz men naksha rah gaya ek muddat tak main un aankhoñ se bahta rah gaya main use na-qaabil-e-bardasht samjha tha magar vo mere dil men raha aur achha KHaasa rah gaya vo jo aadhe the tujhe milkar muqammal ho ga.e jo muqammal tha vo tere gham men aadha rah gaya
Tehzeeb Hafi
61 likes
mausamon ke taghayyur ko bhaanpa nahin chhatriyaan khol deen zakham bharne se pahle kisi ne mirii pattiyaan khol deen ham machheron se poochho samundar nahin hai ye ifreet hai tum ne kya soch kar sahilon se bandhi kashtiyaañ khol deen us ne va'don ke parbat se latke huoon ko sahaara diyaus ki awaaz par koh-paimaaon ne rassiyaan khol deen dasht-e-ghurbat men main aur mira yaar-e-shab-zaad baaham mile yaar ke paas jo kuchh bhi tha yaar ne gathriyaan khol deen kuchh baras to tiri yaad ki rail dil se guzarti rahi aur phir main ne thak haar ke ek din patriyaan khol deen us ne seharaaon ki sair karte hue ik shajar ke tale apni aankhoñ se aink utaari ki do hiraniyaan khol deen aaj ham kar chuke ahad-e-tark-e-sukhan par raqam dastkhat aaj ham ne naye sha'iron ke li.e bhartiyaan khol deen
Tehzeeb Hafi
37 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







