kahan se dhundh ke laun purane khvab ankhon men koi manzar nahin tikta miri sairab ankhon men na ninden thiin na aansu the na khushiyan thiin magar tu tha ki ab tu bhi nahin aata hai in be-khvab ankhon men kisi bhi aaine men ab mira chehra nahin dikhta mira chehra nikalta hai inhin betab ankhon men jise ta'mir ka dar hai chala jaae vo bin bole jo hain tayyar sach ko vo rahenge khvab ankhon men dafaa kar 'ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jaae abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab ankhon men kahan se dhundh ke laun purane khwab aankhon mein koi manzar nahin tikta meri sairab aankhon mein na ninden thin na aansu the na khushiyan thin magar tu tha ki ab tu bhi nahin aata hai in be-khwab aankhon mein kisi bhi aaine mein ab mera chehra nahin dikhta mera chehra nikalta hai inhin betab aankhon mein jise ta'mir ka dar hai chala jae wo bin bole jo hain tayyar sach ko wo rahenge khwab aankhon mein dafa kar 'ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jae abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab aankhon mein
Related Ghazal
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho
Umair Najmi
59 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
yahaan har shaKHs har pal haadsa hone se dartaa hai khilauna hai jo miTTi ka fana hone se dartaa hai mire dil ke kisi kone men ik maasoom sa bachcha badon ki dekh kar duniya badaa hone se dartaa hai na bas men zindagi us ke na qaabu maut par us ka magar insaan phir bhi kab KHuda hone se dartaa hai ajab ye zindagi ki qaid hai duniya ka har insaan rihaai maangtaa hai aur rihaa hone se dartaa hai
Rajesh Reddy
28 likes
almaari se khat us ke purane nikal aa.e phir se mire chehre pe ye daane nikal aa.e maa baith ke takti thii jahaan se mira rastaa miTTi ke hataate hi khazaane nikal aa.e mumkin hai ha men gaav bhi pahchaan na paa.e bachpan men hi ham ghar se kamaane nikal aa.e ai ret ke zarre tira ehsaan bahut hai aankhoñ ko bhigone ke bahaane nikal aa.e ab tere bulane se bhi ham aa nahin sakte ham tujh se bahut aage zamaane nikal aa.e ek khauf sa rehta hai mire dil men hamesha kis ghar se tiri yaad na jaane nikal aa.e
Munawwar Rana
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sawan Shukla.
Similar Moods
More moods that pair well with Sawan Shukla's ghazal.







