ghazalKuch Alfaaz

kahooñ jo haal to kahte ho muddaa kahiye tumheen kaho ki jo tum yuñ kaho to kya kahiye na kahiyo ta'an se phir tum ki ham sitamgar hain mujhe to khoo hai ki jo kuchh kaho baja kahiye vo neshtar sahi par dil men jab utar jaave nigaah-e-naaz ko phir kyun na aashna kahiye nahin zariya-e-raahat zaraahat-e-paikaan vo zakhm-e-tegh hai jis ko ki dil-kusha kahiye jo muddai bane us ke na muddai baniye jo na-sazaa kahe us ko na na-sazaa kahiye kahii haqeeqat-e-jaan-kaahi-e-marz likhie kahii museebat-e-na-saazi-e-davaa kahiye kabhi shikaayat-e-ranj-e-giraan-nasheen kijeye kabhi hikaayat-e-sabr-e-gurez-paa kahiye rahe na jaan to qaateel ko khoon-bahaa deeje kate zabaan to khanjar ko marhaba kahiye nahin nigaar ko ulfat na ho nigaar to hai rawaani-e-ravish o masti-e-ada kahiye nahin bahaar ko furqat na ho bahaar to hai taraavat-e-chaman o khoobi-e-hawa kahiye safeena jab ki kinaare pe aa laga ghalib KHuda se kya sitam-o-jaur-e-na-khuda kahiye

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki dost bas meri tabiyat nahin ki isliye gaanv main sailaab aaya hamne daryaao ki izzat nahin ki jism tak usne mujhe saunp diya dil ne is par bhi kanaayat nahin ki mere e'jaz men rakhi gaii thii maine jis bazm men shirkat nahin ki yaad bhi yaad se rakha us..ko bhool jaane men bhi gafalat nahin ki us..ko dekha tha ajab haalat men phir kabhi uski hifaazat nahin ki ham agar fatah hue hai to kya ishq ne kis pe hukoomat nahin ki

Tehzeeb Hafi

74 likes

jinko maaloom nahin hogaa dua ka matlab vo ha men KHaak bataaenge KHuda ka matlab vo ye kahte hain mohabbat men saza paoge aur main khoob samajhta hooñ saza ka matlab yaanii kaanton se main KHushboo ke maani poochoon yaanii ab aap bataaenge vafaa ka matlab

Yasir Khan

21 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

ham se khul jaao b-waqt-e-may-parasti ek din warna ham chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din gharr-a-e-auj-e-bina-e-aalam-e-imkaan na ho is bulan dii ke naseebon men hai pasti ek din qarz ki peete the may lekin samjhte the ki haan rang laavegi hamaari faqa-masti ek din naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghaneemat jaaniye be-sada ho jaayega ye saaz-e-hasti ek din dhaul-dhappa us saraapa-naaz ka sheva nahin ham hi kar baithe the ghalib pesh-dasti ek din

Mirza Ghalib

1 likes

raftaar-e-umr qat-e-rah-e-iztiraab hai is saal ke hisaab ko barq aftaab hai meena-e-may hai sarv nashaat-e-bahaar se baal-e-tadarrav jalwa-e-mauj-e-sharaab hai zakhmi hua hai paashnaa pa-e-sabaat ka ne bhaagne ki goon na iqaamat ki taab hai jaadaad-e-baada-noshi-e-rindaan hai shash-jihat ghaafil gumaan kare hai ki geeti KHaraab hai naz zaraa kya hareef ho us barq-e-husn ka josh-e-bahaar jalwe ko jis ke naqaab hai main na-muraad dil ki tasalli ko kya karoon maana ki tere rukh se nigah kaamyaab hai guzra asad masarrat-e-paighaam-e-yaar se qaasid pe mujh ko rashk-e-sawaal-o-jawaab hai zaahir hai tarz-e-qaid se sayyaad ki garz jo daana daam men hai so ashk-e-kabaab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-laala-zaar ya'ni ye har varq warq-e-intikhaab hai

Mirza Ghalib

1 likes

ghar hamaara jo na rote bhi to veeraan hota bahar gar bahar na hota to biyaabaan hota tangi-e-dil ka gilaa kya ye vo kaafir-dil hai ki agar tang na hota to pareshaan hota baad yak-umr-e-waraa baar to deta baare kaash rizwan hi dar-e-yaar ka darbaan hota

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.