ghazalKuch Alfaaz

kaun bataaye kaun sujhaaye kaun se des sidhaar ga.e un ka rastaa takte takte nain hamaare haar ga.e kaanton ke dukh sahne men taskin bhi thii aaraam bhi tha hansne waale bhole-bhaale phool chaman ke maar ga.e ek lagan ki baat hai jeevan ek lagan hi jeevan hai pooch na kya khoya kya paaya kya jeete kya haar ga.e aane waali barkha dekhen kya dikhlaaye aankhoñ ko ye barkha barsaate din to bin preetam be-kaar ga.e jab bhi laute pyaar se laute phool na pa kar gulshan men bhanware amrit ras ki dhun men pal pal sau sau baar ga.e ham se poochho saahil waalo kya beetii dukhiyaaron par khevan-haare beech bhanwar men chhod ke jab us paar ga.e

Related Ghazal

dil phir us kooche men jaane vaala hai baithe-bithaye thokar khaane vaala hai tark-e-taalluq ka dhadka sa hai dil ko vo mujh ko ik baat bataane vaala hai kitne adab se baithe hain sukhe paude jaise baadal she'r sunaane vaala hai ye mat soch saraaye par kya bitegi tu to bas ik raat bitaane vaala hai eenton ko aapas men milaane vaala shaKHs asl men ik deewaar uthaane vaala hai gaadi ki raftaar men aayi hai susti shaayad ab station aane vaala hai aakhri hichki leni hai ab aa jaao baa'd men tum ko kaun bulane vaala hai

Zubair Ali Tabish

33 likes

kis tarah hogaa fakeeron ka guzaara soche usse kehna ki vo ik baar dobaara soche kaise mumkin hai use aur koi kaam na ho kaise mumkin hai ki vo sirf hamaara soche tere aflaak pe jaa.e to sitaara chamke mere aflaak pe aaye to sitaara soche toote patwaar ki kashtii ka muqaddar kya hai ye to dariyaa hi bataaye ya kinaara soche aisa mauka ho ki bas ek hi bach saka ho aur us waqt bhi ek shakhs tumhaara soche

Zahid Bashir

40 likes

pyaar men jism ko yaksar na mita jaane de qurbat-e-lams ko gaali na banaa jaane de tu jo har roz naye husn pe mar jaata hai tu bataaega mujhe ishq hai kya jaane de chaai peete hain kahiin baith ke dono bhai ja chuki hai naa to bas chhod chal aa jaane de

Ali Zaryoun

38 likes

bas ik usii pe to poori tarah ayaan hoon main vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya abhii kisi ne bataaya to tha falan hoon main main KHud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main main kis se poochhun ye rastaa durust hai ki galat jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main

Umair Najmi

55 likes

vaise main ne duniya men kya dekha hai tum kahte ho to phir achha dekha hai main us ko apni vehshat tohfe men doon haath uthaaye jis ne sehra dekha hai bin dekhe us ki tasveer banaa loonga aaj to main ne us ko itnaa dekha hai ek nazar men manzar kab khulte hain dost tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai ishq men banda mar bhi saka hai main ne dil ki dastaavez men likha dekha hai main to aañkhen dekh ke hi batla dooñga tum men se kis kis ne dariyaa dekha hai aage seedhe haath pe ek taraai hai main ne pahle bhi ye rastaa dekha hai tum ko to is baagh ka naam pata hogaa tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai

Tehzeeb Hafi

80 likes

More from Habib Jalib

ham ne dil se tujhe sadaa maana tu badaa tha tujhe badaa maana meer'-o-'ghalib ke baa'd anees ke baa'd tujh ko maana badaa baja maana tu ki deewana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab KHuda maana tujh ko parwa na thii zamaane ki tu ne dil hi ka har kaha maana tujh ko KHud pe tha e'timaad itnaa KHud hi ko to na rehnuma maana ki na shab ki kabhi paziraai subh ko laaiq-e-sana maana hañs diya sath-e-zehn-e-aalam par jab kisi baat ka bura maana yuñ to sha'ir the aur bhi ai josh ham ne tujh sa na doosra maana

Habib Jalib

0 likes

meer'-o-'ghalib bane yagaana bane aadmi ai KHuda KHuda na bane maut ki dastaras men kab se hain zindagi ka koi bahaana bane apna shaayad yahii tha jurm ai dost ba-wafa ban ke be-wafa na bane ham pe ik e'itraaz ye bhi hai be-nava ho ke be-nava na bane ye bhi apna qusoor kya kam hai kisi qaateel ke ham-nava na bane kya gilaa sang-dil zamaane ka aashna hi jab aashna na bane chhod kar us gali ko ai jaalib ik haqeeqat se ham fasana bane

Habib Jalib

0 likes

aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah

Habib Jalib

1 likes

apnon ne vo rang diye hain begaane yaad aate hain dekh ke is bastii ki haalat veeraane yaad aate hain is nagri men qadam qadam pe sar ko jhukaana padta hai is nagri men qadam-qadam par butkhaane yaad aate hain aañkhen puranam ho jaati hain ghurbat ke sehraaon men jab us rimjhim ki waa dii ke afsaane yaad aate hain aise-aise dard mile hain naye dayaaron men hamko bichhde hue kuchh log purane yaaraane yaad aate hain jinke kaaran aaj hamaare haal pe duniya hansati hai kitne zalim chehre jaane-pahchaane yaad aate hain yoon na luti thii galiyon-galiyon daulat apne ashkon ki rote hain to hamko apne ghamkhaane yaad aate hain koi to parcham lekar nikle apne garebaan ka jaalib chaaron jaanib sannaata hai deewane yaad aate hain

Habib Jalib

2 likes

us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya

Habib Jalib

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Habib Jalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.