ghazalKuch Alfaaz

khushi mehsoos karta hooñ na gham mehsoos karta hooñ magar haan dil men kuchh kuchh zer-o-bam mehsoos karta hooñ mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se niraali hai alam koi nahin lekin alam mehsoos karta hooñ mirii nazaron men ab baaki nahin hai zauq-e-kufr-o-deen main ik markaz pe ab dair-o-haram mehsoos karta hooñ jo lutf-e-zindagaani mil raha tha ghatta jaata hai khalish jo dil men rahtii thii vo kam mehsoos karta hooñ tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betaabi kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mehsoos karta hooñ kabhi paata hooñ dil men ek hashr-e-dard-e-betaabi kabhi main apne dil men dard-o-gham mehsoos karta hooñ zabaan par mirii shikwa aa nahin saka zamaane ka ki har aalam ko main un ka karam mehsoos karta hooñ ye dil men hai jo ghabraahat ye aankhoñ men hai jo aañsu is ehsaan ko bhi baala-e-karam mehsoos karta hooñ khushi ki mujh ko ab bahzaad kuchh haajat nahin baaki ki gham ko bhi main ab un ka karam mehsoos karta hooñ

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Behzad Lakhnavi

mohabbat mustaqil kaif-aafareen maaloom hoti hai khalish dil men jahaan par thii wahin maaloom hoti hai tire jalvo se takra kar nahin maaloom hoti hai nazar bhi ek mauj-e-tah-nasheen maaloom hoti hai nukush-e-paa ke sadqe bandagi-ishq ke qurbaan mujhe har samt apni hi jabeen maaloom hoti hai mirii rag rag men yuñ to daudti hai ishq ki bijli kahii zaahir nahin hoti kahii maaloom hoti hai ye ejaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kaavish haseen jo cheez hoti hai haseen maaloom hoti hai umeedein tod de mire dil-e-muztar khuda-haafiz zabaan-e-husn par ab tak nahin maaloom hoti hai use kyun may-kada kahtaa hai batla de mire saaqi yahaañ ki sar-zameen khuld-e-bareen maaloom hoti hai are ai chaara-gar haan haan khalish tu jis ko kahtaa hai ye shay dil men nahin dil ke qareen maaloom hoti hai kisi ke paa-e-naazuk par jhuki hai aur nahin uthatii mujhe bahzaad ye apni jabeen maaloom hoti hai

Behzad Lakhnavi

0 likes

hai khird-man dii yahii ba-hosh deewaana rahe hai vahii apna ki jo apne se begaana rahe kufr se ye iltijaaein kar raha hooñ baar baar jaaun to kaa'ba magar rukh soo-e-may-khaana rahe sham-e-sozaan kuchh khabar bhi hai tujhe o mast-e-gham husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwaana rahe zakhm-e-dil ai zakhm-e-dil naasoor kyun banta nahin lutf to jab hai ki afsaane men afsaana rahe ham ko waiz ka bhi dil rakhna hai saaqi ka bhi dil ham to tauba kar ke bhi paaband-e-may-khaana rahe aakhirsh kab tak raheingi husn ki naadaaniyaañ husn se poochho ki kab tak ishq deewaana rahe faiz-e-raah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai ham to manzil pa ke bhi manzil se begaana rahe may-kade men ham duaaein kar rahe hain baar baar is taraf bhi chashm-e-mast-e-peer-e-may-khaana rahe aaj to saaqi se ye bahzaad ne baandha hai ahd lab pe tauba ho magar haathon men paimaana rahe

Behzad Lakhnavi

0 likes

ik be-vafa ko dard ka darmaan banaa liya ham ne to aah kufr ko eemaan banaa liya dil ki khalish-pasandiyaan hain ki allah ki panaah teer-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan banaa liya mujh ko khabar nahin mire dil ko khabar nahin kis ki nazar ne banda-e-ehsaan banaa liya mehsoos kar ke ham ne mohabbat ka har alam khwaab-e-subuk ko khwaab-e-pareshaan banaa liya dast-e-junoon ki uqda-kushaai to dekhiye daaman ko be-niyaaz garebaan banaa liya taskin-e-dil ki ham ne bhi parwaah chhod dii har mauj-e-gham ko haasil-e-toofan banaa liya jab un ka naam aa gaya ham muztarib hue aahon ko apni zeest ka unwaan banaa liya ham ne to apne dil men vo gham ho ki ho alam jo koi aa gaya use mehmaan banaa liya aaina dekhne ki zaroorat na thii koi apne ko KHud hi aap ne hairaan banaa liya ik be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar bahzaad ham ne KHud ko pareshaan banaa liya

Behzad Lakhnavi

0 likes

KHuda ko dhundh raha tha kahii KHuda na mila zahe-naseeb ki bande ko muddaa na mila nigaah-e-shauq men be-nooriyon ka rang badha nigaah-e-shauq ko jab koi doosra na mila ham apni be-khudi-e-shauq par nisaar rahe khu dii ko Dhoondh liya jab ha men KHuda na mila tumhaari bazm men lab khol kar hua KHaamosh vo bad-naseeb jise koi aasraa na mila har ek zarre men main KHud to aa raha tha nazar ajeeb baat tumhaara kahii pata na mila bas ik sukoon hi ham ko na mil sakaa ta-umr wagarana tere tasadduq men ham ko kya na mila tiri nigaah-e-mohabbat-nawaaz hi ki qasam ki aaj tak to ha men tujh sa doosra na mila tira jamaal fazaaon men muntashir tha magar nigaah-e-shauq ko phir bhi tira pata na mila hazaar thokren khaaiin hazaar soo bahzaad jahaan-e-husn men koi bhi ba-wafa na mila

Behzad Lakhnavi

0 likes

dil miraa teraa taab-e-farmaan hai kya karoon ab teraa kufr hi miraa eemaan hai kya karoon ba-hosh hooñ magar miraa daaman hai chaak chaak aalam ye dekh dekh ke hairaan hai kya karoon har tarah ka sukoon hai har tarah ka hai kaif phir bhi ye miraa qalb pareshaan hai kya karoon kahtaa nahin hooñ aur zamaana hai ba-khabar chehre se dil ka haal numayaan hai kya karoon daaman karoon na chaak ye mumkin to hai magar muztar har ek taar-e-garebaan hai kya karoon saada sa ik varq hooñ kitaab-e-hayaat ka hasrat se ab na ab koi armaan hai kya karoon har samt pa raha hooñ vahii rang-e-dil-fareb haathon men kufr ke miraa eemaan hai kya karoon daaghoon ka qalb-e-zaar se mumkin to hai ilaaj un ke hi dam se dil men charaaghaan hai kya karoon ik be-wafa ke vaaste se sab kuchh luta diya bahzaad ab na deen na eemaan hai kya karoon

Behzad Lakhnavi

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Behzad Lakhnavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Behzad Lakhnavi's ghazal.